Janiye Prostate Cancer Symptoms and Treatment in Hindi

Prostate Cancer keval purusho ko hota hai, kyoki prostate granthi purusho mai hi hoti hai. Umra badne ke saath saath prostate cancer ke hone ki sambhavna hoti hai. To chaliye iss article mai hum aapko batate hai, Prostate Cancer Symptoms and Treatment.

World Health Organization ke anusaar pichle do dashak mai prostate cancer ke mamle bharat sahit pure desh mai bad rahe hai. Cancer ka yeh prakaar 60 se adhik umra vale purusho ke prostate granthi mai hone ki sambhavana adhik hoti hai.

Prostate granthi mai akhrot ke aakar ki ek aisi istithi hoti hai, jo urethra ke charo aur hoti hai. Iska kaam semen mai moujud ek dravya padarth ka nirmand karna hota hai. Agar iske lakshan starting mai ptaa chal jaye to iss gambhir bimari hone se bacha ja sakta hai.

Chaliye hum aapko batate hai, Prostate Cancer Symptoms in Hindi. Jisse aap iss bimari se bach sakte hai aur hamesha swasth rah sakte hai.

Prostate Cancer Symptoms, Pahchaniye Iske Lakshano ko aur Rahiye Swasth

Peshab karne mai Problem

Peshab karne mai samasya prostate cancer ka pramukh karan hota hai. Raat mai bar bar peshab jana, achanak se peshab nikal jana, peshab rokne mai samasya aadi lakshan prostate cancer mai dikhai padte hai. Agar peshab karne mai samasya kai dino tak bani rahe to ise bilkul bhi najarandaaj na kare. Yeh cancer ka karan ho sakta hai.

Khoon Nikalna

Prostate cancer ke karan peshab ke saath khoon bhi aana aur mal ke saath bhi khoon nikal sakta hai. Prostate cancer ke alawa cologne, kidney, bladder cancer mai bhi khoon nikalta hai. Lagatar khoon nikalna bhi cancer ka lakshan ho sakta hai. Agar cancer hai to iske karan khoon malashaye ke dwara bahar nikalta hai. Halaki yeh samasya 50 ki umra ke baad hoti hai, lekin lifestyle ke karan yeh kisi bhi umra mai ho sakti hai.

Twacha Mai Badlav

Prostate Cancer Symptoms ki baat kare to yeh iska bahut bada lakshan hai ki, Agar sharir ke kisi bhi hisse ki twacha mai kisi bhi tarah ka badlav ho to doctor se sampark kijiye. Twacha mai asamanya roop se privartan hone se cancer ka shurvati lakshan ho sakta hai. Agar kisi vyakti ki twacha bevajah kali padane lagti hai ho to ise avoid na kare. Tawcha ka peela padana bhi prostate cancer ka shurvaati lakshan hota hai.

Dard Hone

Agar aap bahut kaam karte hai aur der tak kursi par baithte hai to kamar, peeth aadi mai dard hona bahut samanya hai. Lekin bina kisi samasya ke sharir ke kisi bhi hisse mai lagatar dard hona iss type ke cancer ka lakshan hota hai. Agar lagatar peeth mai dard ho raha hai to yeh cholesterol ya prostate cancer ka karan bhi ho sakta hai. Iske alawa kamar ke aas paas ki maspeshiya mai bhi dard ho sakta hai.

You may also like:- Melanoma Cancer Symptoms: Iss Bimari ke Lakshan aur Upay

Weight Kam Hona

Agar bina kisi karan aapka weight kam ho raha hai, to cancer ka shuravatai lakshan ho sakte hai. Vajan kam karne vale kisi  pyas ke bina hi sharir ka vajan 10 pound se jyada kam ho jaye to ise cancer ke prathamik lakshan ke roop mai dekha ja sakta hai. Cancer hone ke baad khana acche se nahi pachta aur pachan kriya bhi sahi tarike se kaam nahi karti hai, jiske karan sharir ka vajan kam hone lagta hai.

Thakan aur Bukhar

Prostate cancer hone par vyakti ke sharir ka immune system kamjor ho jata hai, jiske karan sharir bimariyo ke hone ki sambhavna bad jati hai. Yaha tak ki flu ka bhi bachav nahi kar pate hai. Lagatar khansi aana, bukhar hona, thakan ki samasya bane rahna aadi prostate cancer ko darshata hai. Iske alawa vyakti ke muh mai bhi badlav hota hai.

Prostate Cancer Treatment in Hindi, Iss Bimari ko Rokne Ke Liye Aahar

Prostate cancer hone ke baad khan-pan par kai bandishe lag jati hai. Khan-pan ka prostate cancer ko badne athva niyantirti rakhne mai aham bhumika hoti hai. Aaiye jane food jo dur kare iss bimari ko.

Gajar

Gajar sehat ke liye bahut faydemand hota hai. Isme bharpur matra mai antioxidant paya jata hai. Gajar koshikao mai hone vali kami ko rokta hai aur sharir ka immune system bhi badta hai.

Tamatar

Tamatar khane se prostate cancer ka khatra kam ho jata hai. Saath hi yeh tumor ke badne ki gati ko kam kar dete hai. Tamatar mai lycopene tatva paye jate hai. Ek study ke anusaar week mai 10 ya use jyada tamatar khane se prostate cancer hone ka khatra lagbhag 45% tak kam ho jata hai.

Fish

Prostate Cancer Treatment ke fish ka naam sabse pahle aata hai. Iss cancer ke marijo ko fish ka sevan karna chahiye. Fish mai omega 3 paya jata hai, jo iss cancer ki koshikao ko badne se rokne mai help karta hai.

Chai

Iss cancer mai chai ka sevan bahut faydemand hota hai. Soya ke baad sabse jyada matra mai isoflavone chai mai paya jata hai. Chai mai polifenoles paya jat hai, jo cancer pratirodhi hota hai aur testosterone ke istar ko kam karne mai madad karta hai.

Soyabean

Soybean mai isoflavone hota hai, jo Testosterone ke istar ko kam kar sakta hai. Isliye iss cancer ke marijo ko soyabean  ka sevan karna chahiye.

Tarbuj

Vitamin C aur Vitamin A ke pramukh source tarbuj mai beta carotene prachut matra mai hota hai. Laal tarbuj mai carotene antioxidant bhi paya jata hai, jisse lycopene kahte hai. Lycopene purusho mai hone vale iss cancer ke khatre ko kam karta hai.

Upar aapne jana Prostate Cancer Symptoms and Treatment. To bas iss type ke cancer ke lakshan ko pahchan kar bachiye iss bimari se aur hamesha sawasth rahiye.

Prostate Cancer se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

 

 

Loading...

This website uses cookies.