Aap sabhi ne pudine ki chatni to jarur khayi hogi. Kabhi aapne iska luft garam garam aalubade ke sath uthaya hoga, ya fir kabhi sandwich mai ise dalkar uska swad badhaya hoga.
Aur ham bhartiya to hote hi hai chatni khane ke shoukin. To bhala pudine ki chatni kisko nahi acchi lagti hogi.
Aapne bhale hi pudine ka upyog masale ya chatni ke roop mai kiya hoga. Lekin kya aap jante hai ki pudine mai kai aushdhiya gun bhi chupe huye hai. Ji ha pudino se aapko sehat se jude kai fayde milte hai.
Pudina aapke sharir ki kai taklifo ko dur kar sakta hai. Yahi wajah hai ki iska istemal antibiotic banane mai bhi kiya jata hai. Pudine se niklane wala tel bhi bahut kaam ka hota hai. Yeh dant peeda ko dur karta hai. Yadi aap iske aur bhi faydo se parichit hona chahte hai to padhe Peppermint Benefits in Hindi.
Peppermint Benefits in Hindi: Pudina Se Paye Aneko Labh
Garmiyo mai Faydemand
- Pudine ka sabse jyada fayda garmiyo mai hota hai. Garmi ke wajah se logo ko ghabrahat aur jee machalne ki samasya hoti hai.
- Isliye aap pudine ki pattiyo ko pani mai dalkar ubale, sath hi usme elaichi bhi dal de. Thanda hone ke bad pani ko chankar pee le. Isse aapko rahat milegi.
- Iske alawa yadi aap niyamit tour par pudine se bana pani ya iski chatni khate hai to aapke pet mai thandak bani rahegi, jisse aapko uprokt samasya hone ki sambhavna kam ho jayegi.
Muh Ki Badbu Dur Kare
- Bahut se logo ke muh se durgandh aati hai. Aese mai sab log unse dur bhagte hai aur unhe sab ke bich sharminda hona padhta hai.
- Yadi aapke sath bhi yeh samasya hai to ham aapko bata de ki pudine ki pattiyo mai iska upchar chupa hua hai.
- Pudine ki kuch patti le aur uske halke se dhokar chav mai sukha de. Jaise hi yeh acche se sukh jaye uska churn bana le.
- Ab aap iss churn ka istemal dant manjan ki tarah kare. Isse aapke masude swasth bante jayenge aur aapke muh se badbu aane ki samasya dur hoti jayegi.
- Vaise to iss prayog ko karne par aapko 2 hafte mai hi fayda mil jayega. Lekin yadi aapko labh nahi mila hai to aap 1 mahine tak iss prayog ko kar sake hai.
Sardi – Jukham
- Pudine mai ek menthol naam ka ghatak hota hai jo ki decongestant ka kaam karta hai. Decongestant aapki naak ki granthiyo ki sujan ko dur karta hai, jisse aap aasani se saas le pate hai.
- Menthol ek prakar se kafostarak(expectorant) bhi hai. Yeh fefdo ke andar balgam ko dhila karne aur nikalne mai madad karta hai. Isliye khasi ki samasya walo ke liye pudina bahut faydemand hai.
Rusi Se Nijat Dilaye
- Pudine ke tel se sir ki malish karne par garmi ke wajah se hone wala sardard band hota hai. Aur rusi ki samasya se chutkara milta hai.
- Peppermint Oil for Hair aapko bajar mai aasani se mil jayega.
Pudina Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Dekhe
- Pudine aur tulsi ke patte ko dhokar uska kadha bana le aur subah sham malaria ke marij ko pine ke liye de. Isse labh hota hai.
- Yadi aapki twacha teliya hai to pudine ki patti ko peeskar, dahi mai mila le aur uska lep banakar lagaye. Isse teliya twacha se kai had tak chutkara milega. Aapki twacha fresh dikhegi.
- Agar aapka gala baith gaya hai to ek glass pani aur pudine ki pattiya ubalkar, uss pani ko chan le aur fir usse kulla evam garara kare. Isse gala khul jayega.
- Pudine ki khusbu aapki memory power aur ekagrata badhane mai madadgar hoti hai.
- Peppermint Essential Oil se sharir ki malish karne ya fir use nahane ke pani mai dalne se mashpeshiyo ka dard kam hota hai.
- Peppermint mai moujud menthol tatva prostate cancer ke vikas ko badhit karta hai.
- Pudine mai fiber bhi moujud hota hai jisse cholesterol ke level ko kam hone mai madad milti hai.
Upar aapne jana Peppermint Benefits in Hindi. Aap bhi iska istemal karke fayda pa sakte hai. Lekin pudina ek tarah ka herb hai jo dusri tarah ki herb ke sath milkar nuksan kar sakta hai. Isliye kisi bhi tarah ka illaj chalne par aap ise lene se pehle apne chikitsak se sampark kare. Iske alawa madhumeh, uccha raktchaap, hernia ke marij aur 7 saal se chote bacche ko pudina nahi khana chahiye.