स्वस्थ जीवन और वजन कम करने के लिए बाबा रामदेव योग अपनाये

Aaj ke wakt mai har tisra vyakti apne badhte vajan ko lekar pareshan hai. Har kisi ke man mai yahi dar hai ki kahi uska yeh badhta vajan uski khubsoorti na chhin le. Isliye fit dikhne ke liye log kai sambhavat prayas karte hai.

Koi jim mai jakar kasrat karte hai to koi dieting shuru kar dete hai. Lekin isse bhi unke vajan par koi asar nahi padta. Aur jyadatar cases mai to log niras hokar prayas karna hi chhod dete hai.

Darhasal motapa ya vajan badhna aesi chiz hai, jisse nijad pana thoda muskil hai. Vajan kam karne mai tabhi safalta hasil ki ja sakti hai, jab aap bina niras hue lagatar mehnat karte jaye. Agar aapko aapki body ko shape mai banaye rakhna hai to Yoga sabse accha tarika hai.

Yoga karne se naa keval aapka vajan kam hota hai balki aapke sharir se kai bimariya bhi dur hoti hai. Aap Ramdev baba ke yogasana ko apna sakte hai. Swami Ramdev ji aese vyakti hai jinhone bharat mai yog aasano ka prachar prasar kiya aur unhe aage badaya hai. Aaj dunia mai anginat log unke dwara bataye gaye yog se labh utha rahe hai. To aaiye jane Ramdev Baba Yoga for Weight Loss, jiski madad se aap aasani se apna vajan kam kar sakte hai.

Ramdev Baba Yoga for Weight Loss in Hindi – Body ko Tone Rakhe

Baddha Konasana

Baddha Konasana unn logo ke liye uttam aasan hai jinhe apne jangho ki charbi ko kam karna hai. Iss aasan ko karne se vajan kam hota hai aur sharir charhara banta hai.

  1. Iss aasan ko karne ke liye pehle sukhasan ke mudra mai baith jaye.
  2. Uske baad dono pairo ke talwo ko ek dusre se milaye, jis rarah hath jodne par aakriti banti hai. Us tarah aapke pair dikhna chahiye.
  3. Iss ke baad pairo ke thakno ko haatho se pakadkar, titali ke saman upar niche kare.
  4. Aesa karne se aapke sharir mai lachilapan aata hai aur aapke jangho ki charbi kam hoti hai.

 

Kapalbhati

Kapalbhati pranayam karne se pet ki charbi dur hoti hai. Ise karne se saans se sambhandit vikar bhi dur hote hai. Aasan hone ke karan jyadatar log ise karna pasand karte hai. Ise karne se vajan bhi kam hota hai.

  1. Ise karne ke liye sabse pehle aap sukhasan mai baith jaye.
  2. Kamar aur gardan ko sidha rakhe, aur chhati aage ki aur ubhari hui ho.
  3. Aankhe band karke gehri saans lijiye.
  4. Apne pet ko andar ki aur khichte hue, balpurvak saas ko bahar ki aur chodiye
  5. Is prakriya ko 10-15 baar dohraye.

 

Trikonasana

Iss aasan ka naam Sanskrit se liya gaya hai. Jiska matalb hota hai trikon. Yeh aapko peeth dard se chutakara dilane mai madad karta hai. Ise karne se aapki gardan, bhujaye aur janghe shape mai aati hai.

  1. Iss aasan ko karne ke liye apne pairo ko faila lijiye aur sidha pair bahar nikale.
  2. Iske baad apne hatho ko bahar ki aur khol le.
  3. Sidhe hath ko dhire dhire niche ki taraf sidhe pair ki aur le jaye.
  4. Sidhi kamar ki sath niche ki aur dekhe.
  5. Apni sidhi hatheli ko jamin par rakhe aur ulte hath ko upar ki aur le jaye.
  6. Iss prakriya ko dusri side se bhi dohraye.

 

You May Also Like:- Home Remedies for Weight Loss Se Ghataye Apna Vajan

 

Anulom Vilom

Yeh sabse jyada kiya jana wala aasan hai. Anulom Vilom Pranayam ko karne se sharir mai rakt ka sanchar thik rehta hai, jisse pet ki charbi nahi badti. Ise naadi shodhan pranayam bhi kaha jata hai.

  1. Ise karne ke liye cross leg karke jamin par beth jaiye.
  2. Fir apne hatho ko apne ghutano par rakhe.
  3. Ab dhire se apne baye hatho ke anghute se bai aur ke naak ke chidra ko band kare aur daye aur se gehari saas le.
  4. Ab usi hath ke ungaliyo se daye naak ke chidra ko band kare aur baye wale chidra se saans ko chhode.
  5. Iss prakraiya ko 5-10 baar kare.

 

Balasan

Iss aasan ko karne se bhi vajan kam hota hai. Jo log ise karte hai unka pet bhi andar rehta hai aur mashpesiya bhi majbut hoti hai.

  1. Ise karne ke liye ghutane ke bal jamin par baith jaye, jisse sharir ka sara bhar aediyo par ho.
  2. Gehri saans lete hue aage ki aur zhuke.
  3. Aapka sina jangho ko chuta hua hona chahiye, aur mathe se fars chhune ki kosis kare.
  4. Kuch der is awastha mai rehne ke baad wapis purani awastha mai aa jaye.

 

Yoga Cycling

Weight Loss karne ke liye yoga cycling sabse behtar vikalp hai. Yeh aapka vajan ghatane ke sath sath aapke pet aur pairo ki charbi bhi ghatati hai.

  1. Ise karne ke liye sabse pehle peeth ke bal jamin par let jaye.
  2. Apne dono hatho ko body ke parallel side me rakh de.
  3. Ab apane pairo ko jamin se 90 degree par rakhe
  4. Ab pedaling motion me apne pero ko ghumaye, jaise ki aap cycle chala rahe ho.
  5. Aesa ek minute clockwise direction mai karne fir agle minute anti clock wise direction mai kare. Iss kriya ko 15 minute tak dohare.

 

Marjariasana

Marjariasana se naa keval aap apna vajan kam kar sakte hai, balki yeh rojmarra ke hone wale kamar dard se bhi raahat dilata hai. Marjari asana mahilao ke liye to bahut hi faydemand hai. Garbhavastha ke douran teen mahine iss aasan ka abhyas karne se sharir majboot banta hai.

  1. Ise karne ke liye chatai par billi ke saman khade ho jaye, dono hatho aur dono pairo par.
  2. Aapke hath bilkul kandhe ki seedh mai hona chahiye. Iss wakt aapki hatheli farsh par hogi.
  3. Ghutno ko aap ek dusre se satakar bhi rakh sakte hai aur door bhi.
  4. Ab andar ki aur saans lete huye, peeth ko upar ki aur khiche. Iss douran aapka sir bhi upar hona chahiye.
  5. Aapko saans tab tak ki andar lena hai, jab tak aapka pet hawa se naa bhar jaye. Fir 2-3 minute saans rok kar rakhe.
  6.  Ab peeth ko upar uthate huye nabhi ke aur dekhe.
  7. Iske paschat dhire dhire saans chhodte jaye aur nitambo ko andar ki aur kar le.
  8. Lagbhag 3 se 4 second ruke fir samanya avastha mai wapis aa jaye.

 

Ek Najar mai Dekhe:- 


Baba Ramdev Yog Aasan Iske Fayde
Marjariasana Vajan Ghataye, Kamar Dard Dur Kare
Baddha Konasana Charbi Jalaye, Sharir mai Lachilapan Laye
Kapalbhati Allergy Ko Thik Kare, Pet Ki Charbi Jalaye
Trikonasana Vajan Ghataye, Pachan Tantra Sucharu Rakhe
Anulom Vilom Belly Fat Ghataye, Madhumeh mai Faydemand

Agar aap majbut irado ke sath upar diye gaye yoga aasano ko karenge to aapko vajan ghatane mai jarur safalta milegi. Dhyan rakhe yadi inn vyayamo ko karte wakt aapko sharir mai kahi bhi asahniya dard ho to ise bilkul naa kare. Aur yadi aapko uccha raktchaap ya ghutne mai dard jaisi samasya ho to kisi bhi yog sikshak ki salah liye bina ise naa kare.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

This website uses cookies.