Red Spot: Chehra Laal Ho Jane Par Yeh Upay Apnaye

Aksar khushi, gam ya tez dhup se chehra laal ho jata hai, joki aam baat hai. Lekin yadi aisa har din hota hai to eh ek gambhir vishay ho sakta hai. Yeh rosacea ho sakta hai. Rosacea ek prakar ka twacha rog hota hai. Iss bimari mai chehra laal ho jana, funsiya nikalna aur khujali jesi shikayat hona aam baat hoti hai.

Steroid Rosacea se badi sankhya mai log pidit hai. Halaki iss samasya se bachav karna sambhav hai. To chaliye vistar se jane kya hai rosacea aur isse bachav ke tarike.

Red Spot-Rosacea

Kya Hai Rosacea aur Isse Bachav ke Tarike?

Yeh humari yaha hone wali sadharan samasya hai, jise rosacea kaha jata hai. Red wine, chocolate, dhup, chinta aur masaledar khana aadi ke sevan se iss bimari ko badhava milta hai. Isse bachav ke liye chehre ko thik se saaf kare aur khan-pan ka vishesh dhyan rakhe.

You may also like:- Janiye Bemisaal Home Remedies for Dark Spots in Hindi

Dhup mai nikalne se 15 se 20 minutes pehle UV aur UB se bachav wali sunscreen ka istemaal kare. Dhup mai jyada der rehne par sunscreen 2 ghante baad dobara istemaal kare. Khub pani ka sevan kare. Kabhi-kabhi twacha par (Khastour par chehre par) Rosacea ki samasya arthat bahut adhik laali aur jalan bhi twacha ke cancer ka lakshan ho sakte hai.

Matha, gaal, thuddi aur aankho ke aas-paas ki twacha laal ho aur usme khub jalan ho to bhi yeh twacha cancer ka sanket ho sakta hai. To aise lakshan dikhai dene par twacha rog visheshagya ko bhi avashya dikhaye.

Steroid Rosacea

Khaas baat yeh hai ki bimari sakshar logo mai adhik payi ja rahi hai. Doctor ke mutabit drug betamethasone, vemitazone, saltic acid aadi ke drug hai jinka jane anjane mai istemal iss bimari ko nyota de rahe hai. Doctor ka kehna hai ki samay rehte jagruk hone ki avashyakta hai anyatha desh ki badi aabdi inn steroid cream ki wajah se charm rog ka shikar ho sakti hai.

Twcha ki bimari ko lekar bazaar mai bik rahi dawai aur cream mai steroid use hone ka mamla samne aane je baad Indian association of Dermatologist, Venereologists & Leprologists ne drugs controller ko patra likha tha. Iske anusar inn dino alag-alag company ki kai dawaiya aur cream bazaar mai hai, jisme aise chemical aur steroid mile hai, jo skin ke liye ghatak sabit ho rahe hai.

Aahar Bhi Yeh Mahatvapurna?

Vitamin D ki sahi matra le yeh haddiyo ko majboot banane ke saath-saath twacha ko surya ki haanikarak ultraviolet kirano se bhi bachakar twacha cancer ke khatre ko bhi kam karta hai iske alawa chai piye isme moujud anti-oxidants yogik twacha ko haanikarak kirano se bachate hai. Green tea mai moujud polyphenols skin cancer se bachav karta hai. Aap tamatar aur angur bhi kha sakte hai.

Sanvedanshil twacha walo ke liye cotton aur silk fabric ka chunav karna sahi rehta hai. Synthetic vastro ke mukable yeh reaction kam karte hai. Makeup utarte samay bhi cotton bolls ka istemaal kare na ki synthetic bolls ka.

Upar aapna jane read spot se chutkara pane ke aasan tarike aur banaye apne chehre ko sundar aur khubsurat.

Loading...

You may also like...