Relationship Advice in Hindi: Rishto Mai Galti Karne Se Bache

Pyar ek behad hi khubsoorat ristha hai. Yeh ek aesa rishta hai jiske milne ke baad har kisi ki jindagi puri tarah se badal jati hai. Pyar mai insan puri tarah badal jata hai. Uski aadate, uska vyayhar aadi. Kai baar yeh parivartan apna aap aata hai to kai baar samne wale ki icchao ke khatir vyakti khud ko badal deta hai.

Pyar mai pade huye log apne love one ki khusi ko pura karne ke liye kuch bhi karne ko tariyar rehte hai. Kyoki wo iss rishte ke liye itne bhavuk hote hai ki unhe yeh lagne lagta hai ki yadi we samne wale ki nahi sunenge to samne wala unhe chhod ke chale jayega.

Agar ham rishto ki baat kare to dunia ke har ek rishte ki buniyad pyar aur bharose par tiki hoti hai. Choti choti galtiyo se bhi inme darar aa jati hai. Kai bar to darar itni jyada bhi badh jati hai ki log riste todne ki baat karne late hai. Isliye yadi ham pyar ka rishta banate hai to koshish kare ki aap ise acche se nibha bhi sake. Jitna ho sake galtiyo se bache. Yaha dekhiye Relationship Advice in Hindi aur janiye ki pyar mai kin galtiyo ko karne se bachna chahiye.
 

Relationship Advice in Hindi- Rishto Ko Behtar Banane Ke Liye

 
Relationship Advice in Hindi
 

Dosto Se Duri Na Banaye

Pyar mai padhte hi log sabko bhul jate hai. Wo apne relationship mai itna dhyan dene lagte hai ki unhe apne dosto se milne ka mouka bhi nahi mil pata hai. Aesa katai na kare. Kyoki aapke dost hi wo log hai jo aapka jindagi bhar sath dete hai. Aapke partner ko impress karne mai bhi aur yadi aapka partner aapko chhod ke chale jaye to aapke dost hi aapke dukho par malham lagate hai.

Isliye relationship mai aane se pehle jin logo ke sath aap pura din bitaya karte the, unke liye bhi apna wakt nikale. Khaskar purush mahila ke sath wakt bitane ke liye apne dosto se milna naa bhule.
 

Bharosa Karna Sikhe

Pyar mai thodi jalan to aam baat hai. Lekin iska matlab yeh nahi ki aap ise karte jaye. Relationship mai aane ke baad bahut bar aesa hota hai ki aapka partner aapka call nahi utha pata hai ya fir aapse milne ke liye samay nahi nikal pata hai iska matlab yeh nahi hai ki aap unpar shak kare. Bar bar shak karne se bhi rishto mai darare aa jati hai. Yeh galtiya aurte jyada karti hai. Relationship Advice for Women ke anusar aesa karne se bache.

Jab tak rishte mai bharosa nahi hoga, rishta majboot nahi hoga. Yadi kisi wajah se aapko aapke partner par shak hai to khul kar usse baat kare, uski jasusi karne ki koshish naa kare. Aur aapko bahut jyada hi lag raha hai ki samne wala aapko cheat kar raha hai. To vaise rishte mai naa rahe. Kyoki bina vishvas ke to rishta safal ho hi nahi sakta hai.
 

Pyar ke liye Kuch Bhi

Kuch log sochte hai ki pyar ke liye wo kuch bhi karenge. Lekin aapko kya lagta hai pyar ke liye kuch bhi karna sahi hai. Pyar mai samne walo ki khusiyo ka dhyan rakhna chahiye. Lekin sari chize maryada mai rakhte huye. Kuch log pyar mai itna dub jate hai ki apne maa baap, apne dosto, apne kaam kaaj sabhi ko bhul jate hai. Aesa katai na kare. Pyar kare lekin dusre rishto ka bhi khyal rakhe.
 

You may also like:- Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Rishte Zindagi Ke

 

Jyada Ummid naa Kare

Relationship mai rehne ke baad kuch log apne partners ke liye bahut kuch karte hai. Jaise unhe samay dena, unke liye kuch bhi kar gujarna. Aese log samne walo se bhi yahi ummid karte hai ki samne wala bhi unhe utni hi importance de, utni hi care kare aadi. Lekin aesa nahi hota. Do alag alag vyaktiyo ki pyar kene ki aadate alag alag hoti hai. kuch log pyar ko sabse upar mante hai wahi kuch log pyar ko jindagi ke anya hisso ki tarah hi mante hai.

Isliye kabhi bhi apne premi par had se jyada pressure naa banaye. Nahi to wo aapko chhod kar bhi jaa sakte hai.
 

Samne Wale Se Baate Kare

Relationship mai samne wale se baate karne ka bhi alag hi mahatva rehta hai. Aur baate karna bhi chahiye. Baate karne se samne wale ki pasand na pasansd ka bhi pata chalta hai. Kyoki jab aap samne wale ki pasand ke bare mai nahi jante hai to aapka rishta aage nahi badh pata hai. Jiske karan relationship mai pyar kam ho jata hai aur manmutav badhne lagta hai.
 

Samne Wale Ko Judge Naa Kare

Kisi Ko bhi accha nahi lagta ki unhe koi judge kare. Isliye yadi aapko samne wale ko judge karne ki aadat ho to aesa karna chhod de. Isse aapke rishte mai negative feelings bhi aa sakti hai. Yadi aap Healthy Relationship chahte hai to apna vyavhar samanya rakhe.
 

Apni Khusiyo Ka Dhyan Rakhe

Apni girlfriend ki khusiyo ke liye galti se bhi apni khuisyo ko naa bhule. Relationship mai hone ka matlab yeh nahi hai ki jaisa aapki girlfriend kehti hai vaisa karna jaruri hi hai. Yadi aap apni family ke sath samay vyatit karna chahte hai to apni khushiyo ka dhyan mai rakhe. Naa ki aapki girfriend jab kahe usse milne chale jaye. Apne parivar aur apne partner ke bich santulan bithaye. Wo chize kare jo aapko khusi deti hai.
 

Apna Aahar naa Badle

Kabhi bhi apne khane pine ki aadate apne sathi ke liye naa badle. Jaise yadi aap vegeterina hai aur aapke partner aapko nonveg khane par jor de rahe hai. To unki khusi ke khatir bhi aesa na kare. Kyoki samne wala yadi wakai aapse pyar karta hai to aapke faisle par amal karega. Lekin haa iska matlab yeh bhi nahi hai ki samne wala aapko aapki buri aadato ko badalne ke liye keh raha hai jaise ciggrete, sharab chodne ko tab bhi aap keh raho ho ki hamari jaise marji ho ham vaisa hi karenge.
 

Phehnave Ka khayal

Purusho mai yeh aadat aksar dekhi gayi hai ki wo dusri ladkiyo ki tarah apni girlfriend or wives ko kapde phene ke liye kehte hai. Yadi unki partner short kapde pehnti hai to wo unhe acche aur traditional libas pehnne ke liye kehte hai. Wahi yadi wo traidtional kapde pehnti hai to wo use modern aur short kapde pehnne ka sujhav dete hai.

Aap kin kapdo mai sundar lagti hai yeh to aapka sathi hi bata sakta hai. Lekin kisi ko bhi unke kapde ki pasand ke liye dabav nahi dalna chahiye. Chote mote badlav ki baat alag hai lekin sabhi tarah ke kapdo par sawal uthana sahi baat nahi hai.
 

You May Also Like:- Types of Hugs in Hindi – Gale Milne Ke Tarike aur Unka Arth

 

Apni Pehchan Naa Bhule

Kuch purush aese hote hai. Jo apni mahila partner ki khusi ka bahut hi khyal rakhte hai. Apni har khusi ko bhulakar wo samne walo ki sari icchao ko pura karne ka prayas karte hai. lekin aesa karna sahi nahi hai. Kyoki aesa karne se aap khud ka istemal hone se nahi bacha payenge. Lekin haa apne partner ki napasand ka khyal to rakhe lekin apne aapko bilkul uske anusar badalne ka pryas na kare.
 

Healthy Realtionship Tips: Anya Baate Inhe Bhi Jane:-

 
Healthy Realtionship Advice in Hindi
 
Bhale hi aap relationship mai hai lekin apni maryada ko naa bhule. Aap pati patni ho tab to theek hai. lekin jab tak aapne shadi nahi ki ho apni simao ko bandh kar chale. Yeh such hai ki prem mai sparsh jaruri hai. Lekin apne pyar ko hugging aur kissing tak hi rakhe. Aesa kuch naa kare, ki yadi aapka parnter future mai aapse shadi karne se mana kar deta hai to aapke paas pachtane ke alawa kuch aur naa bacha ho.

Yadi kisi comapnay mai ya kisi karya mai aap dono alag alag team ko support karte hai to samne wali team ko paksha badalne ke liye naa kahe. Thoda bahut competition to chalta hai. Kya pata yeh hi aap dono ko karib le aaye.

Har kisi ka jindagi jine ka andaj alag alag hota hai. Har koi apne anusar hi jindagi jina chahta hai. Iske liye apne partner ki khusiyo ka khayal jarur rakhe lekin uske anusar jine ka prayas bilkul naa kare. Iske atrikt apne partner ke sath talmek baithane ki koshish kare, lekin apni bithri aavaj ko njarandaj naa kare.

Kai bar to logo mai tv dekhne ko lekar jhagda ho jata hai. To aese mai dono ki pasand ka khayal rakhna chahiye. Ho sakta hai koi show aapko bahut pasand aata hai lekin aapke sathi ko wo pasand nahi hai to aap use uske pasand ka serial dekhne de. Lekin iska matlab yeh nahi hai ki aap har bar apni pasand ko sacrifice kare.
 
Upar aapne jana Relationship Advice in Hindi. Hame Yakin hai ki upar dee gayi baato ko jankar aap galtiya karne se bachenge aur apne rishto ko aur behtar bana payenge.
 

Loading...

You may also like...