Yoga sharir, atma aur mann ko ek sutra mai bandhata hai. Jiske jariye hume mansik aur sharirik labho ki prapt hoti hai, lekin iske bare mai logo ko jankari nahi hoti hai kis yoga ko karne se kya labh hota hai aur iss inhe kaise kiya jata hai. Aaj hum aapko kuch aise yogasan batane ja rahe hai jo aapke mansik tanav ko kam karne mai bahut sahayak sabit honge.
Aaj ke samay mai har 10 mai se 8 vyakti tanav, chinta aur depression se grasit hote hai. Yah ek itna samanya rog ban gaya hai ki ab har aayu ka vyakti phir wo chahe baccha ho ya budha aur stri ho ya purush, sabhi iski giraft mai hai. Aadhunik jivanshelly aur aniyamit khanpan iska sabse mukhya karan hai.
Aaj har vyakti ko samay ka abhav sata raha hai, uske paas na to khud ke liye samay hai aur na hi apne pariwar ke liye. Apne kaamkaaj aur naukari mai sabhi itna busy ho gaye hai ki unke paas thik se bhojan karne tak ka time bhi nahi hai. Jiske parinaam swaroop wo dhire-dhire mansik tanav aur stress se grast ho jata hai. Yaha hum aapko iss tanav se mukti pane ke liye kuch aasan yoga kriyaye bata rahe hai, jo aapko swasth sharir ke sath-sath, surakshit jivan bhi pradan karte hai. To aaiye jante hai Relaxing Yoga Poses in Hindi.
Relaxing Yoga Poses in Hindi: Tension Mukt Hokar Rahe Swasth
Yoga ke dwara hum apne sharir ko sabhi tarah ke vikaro se bacha sakte hai, lekin iske liye ise karne ke sahi tariko ko janana behad jaruri hai, kyoki iski sahi vidhi aapko labh pahucha sakti hai to galat tarike se ise karne se yah aapke liye hanikarak bhi sabit ho sakte hai. Isliye iski shuruaat kisi yogya yoga shikshak ki upasthiti mai hi kare. Aaiye ab hum jante hai tanav se mukti dilane wale kuch yogasano ke Vishay mai.
Shavasana
Shavasana yoga ki ek aisi kriya hai jo apke sharir mai mojud tanav aur sharir thakan ko badi aasani se dur kar deta hai. Sath hi yah aapke mashtishk ki karyashamta ko viksit bhi karta hai. Iske alawa ise karne karne se sharirik thakan, anidra tatha sardard jaisi pareshaniyo se bhi hume mukti dilane mai sahayak hota hai. Aaiye jante hai ise karne ki vidhi.
- Sabse pahle kisi aasan ya chatai par pith ke bal let jaye.
- Ab apne dono hatho ko sharir se 5 inch aur pero ke bicha 1 foot ka antar rakhe. Aapki hathelia aasman ki taraf hona chahiye.
- Iske baad sabhi ango ki uar dhyan lagate huye sharir ko dhila chod de tatha aankh aur muh ko ban kar le.
- Ab dhire-dhire sans le aur apna pura dhyan unhi par rakhe. Kisi aur vichar ko dimag main a laye.
- Iss yogasan ko karte samay agar aapko nind aaye to lambi aur gahri sans le.
Shashankasana
Shashankasana unn logo ke liye dawa ki tarah kaam karta hai, jo mansik tanav aur chidchidepan se pareshan hai. Iss aasan ko karte samay humare sharir ka aakar khargosh ki tarah hota hai isliye Shashankasana kaha jata hai.
- Ise karne ke liye sabse pahle Vajrasana ki sthiti mai baith jaye arthat apne dono pero ko ghutne se modkar apne hips ke niche rakhe.
- Ab sans lete huye apne dono hatho ko upper ki taraf kare tatha kandho ko kano se chipka kar rakhe.
- Iske baad ko chodte huye dono hatho aur sir ko bhumi se laga le.
- Kuch samay iss sthiti mai rahe uske baad punah vajrasan ki avastha mai aa jaye. Iss tarah 2 se 3 baar kare.
Anulom Vilom
Anulom Vilom pranayam ko karne se mann shant rahta hai aur tanav se rahat milti hai sath hi yah mashtishk mai oxygen ki bharpur matra pahunchata hai. AAiye jane ise karne ki vidhi-
- Sabse pahle kisi saaf stahan par chatai bichakar sukhasana, siddhasana ya padmasana ki avastha mai baith jaye.
- Ab apne daye hath ke anguthe se naak ked aye chidra ko band kr le aur baye chidra sans ko andar khiche.
- Iske baad bayi naak ke chidra ko anguthe ke paas wali dono ungliyo se band kare aur daye hath ke anguthe ko chidra se hatakar sans chode.
- Ab yahi kriya baye chidra se bhi kare.
Balasana
Balasana karna bahut hi aasan hai aur humare sharir ke liye labhkari bhi. Iske karne ke liye adhyatmik labh bhi prapt hote hai. Yah sharir ke andruni hisso ko lachila banana ke sath-sath dimag ko shant, gusse ko kam tatha mahilao mai period ke samay hone wale dard aur pareshaniyo se bhi rahat dilane mai sahayak hota hai.
- Sabse pahle palthi banakar baith jaye.
- Ab apni adiyo par baith jaye aur sharir ke upari bhaag ko apni jhangh par tikaye.
- Iske baad sar ko jamin se tika le.
- Ab apne hatho kaan se lagate huye aage ki tarah kare aur hatheliyo ko jamin se laga le.
- Iske baad apne hips ko adiyo ki taraf le jate huye sans ko chod de.
- Iss avastha mai aap 15 second se 2 minute tak rahe.
Aaj humne aapko bataye hai Relaxing Yoga Poses in Hindi. Inn yogasano ka prayog karne se tanav aapke dur-dur tak najar nahi ayega aur aap khulkar aapni zindgi ko enjoy kar sakenge.