Remove Water from Ears: Kaan Se Pani Nikalne Ke Asan Upay

Yeh aam tor par dekha jata hai ke swimming ya nahate samay kaan mai pani chala jata hai, isse na kewal kaan me jhanjhni paida hoti hai balki kabhi-kabhi bahut tej pain aur kaam sunayi deta hai.

Yeh samasya koyi ghambhir samasya nhi hai par ise andekha bhi nhi kiya ja sakta. Kaan me pani se hone wali jhanjnahat kaan ke bhitar pani fas jane se hoti hai. Aur is jhanjnahat se tabhi aaram milta hai jab pani kaan se nikle.

Yaha humne10 assan kaan se pani nikalne ke liye gharelu upay yani (Remove Water from Ears) batane ja rahe hai. Jiski madat se aap ghar bethe kaan se pani bahar nikla sakte hai.

Behtrin 10 Home Remadies to Remove Water from Ears in Hindi

  • Hatheli Ki Madat Se Vacuum Banaye:

Apke jis kaan me pani gaya hai us taraf apne sir ko is prakar mode ki apka kaan jamin ke samanater ho jaye, fir apni hatheli se kuch seconds ke liye ear ko dabaye fir ek dum se hath lijiye. Isse kaan ke bhitar vacuum banega aur pani bahar nikalne mai madat milegi. Iske bad cotton ki madat se bacha hua pani ko bahar nikal lijiye.

Remove Water from Ears

  • Muh aur Naak Band Kare:

Apna Muh band kar naak ko ungli se pakad kar gahri saas le aur dhire se saas ko bahar chode, aisa krne se hawa ke dabaw ko control kiya ja sakta hai aur Eustachian tubes ko khola ja sakta hai. Iss upay se kaan mai hone wali jhanjnahat ko kam kiya ja sakta hai.

  • Blow Hair Dryer:

Hair dryer ki madat se kaan me jama pani aasani se nikala ja sakta hai, blow dryer kaan se 1 feet ki duri par rakhe. Hit aur blow ko sabse niche level par rakhe jisse kaan mai koyi nuksan na ho. Kuch seconds tak kaan mai hawa blow kare apko jarur aaram milega.

  • Namak (Salt) Ka Saik:

¼ cup namak(salt) ko microwave me garam karne ke bad us namak ko ek saaf cotton ke kapde mai kass ke bandh kar, iss kapde se us area mai sikai kare. Aisa krne se kaan ka pani bhap ban kar nikal jayega aur aaram milega.

  • Lahsun Ka Juice:

Kuch lahsun ki kaliyo ka juice bana kar raat ko sote samay 2-3 drop kaan mai dal kar soiye, 1-2 minutes tak isse kaan mai aise hi rahne dijiye. Iske bad kuch duri se blow dryer kare. Aisa krne se jhanjnahat ke sath-sath Ear Pain bhi kaam ho jata hai.

  • Ek Disha Mai Raat Bhar Soyiye:

Bina kuch kare bhi kaan se pani nikala ja sakta hai, iske liye jis kaan me pani gaya hai us kaan ke sahare puri raat sone se pani apne aap nikal jata hai.

  • Eardrops:

Eardrop ke istemal se bhi nijat mil jata hai. Medical store par achi drops mil jati hai jinme vaporize quality hoti hai. In drops ke istemal se turant labh mil jata hai.

  • Homemade Ear-drops (1/2 rubbing alcohol aur 1/2 white vinegar):

50% rubbing alcohol aur 50% white vinegar ka ghol bana le, iss ghol ki kuch drops ko kaan mai savdhani se dale. Alcohol paani ko bhap banane mai madat karta hai. Iss ghol mai paye jana wala acid earwax break kr ke jo pani hai usko bhap bana deta hai. Agar apka eardrum punctured hai to iss upay ko bilkul bhi mat kijiye.

  • Ubasi:

Kabhi kabhar ubasi (yawning) krne se bhi kaan me dabaw paida ho jata hai jisse pani ko shift karne me madat mil jati hai.

  • Doctor Se Le Salha:

Inn sab upayo ko krne pr bhi nijat na mile to turant doctor se salah le.

Upper bataye gaye sare kaan se pani (Remove Water from Ears in Hindi) nikalne ke gharelu upay bilkul shurakshit hai. Ins sab se kaan ko koyi nuksan nhi hota, bas apko savdhani iss bat ki rakhni hai kai jaldbaji mai koyi nukili chig kaan mai na dale. Aur hair blow dryer ke istemal ke samaye usko bilkul low level par rakhe or kaan se 1 feet ki duri par rakh ke hi istemal kare.

Loading...

You may also like...