Rice Bran Oil Benefits Dwara Paiye Swasth Sehat

Market mai rice bran oil ek sehadmnad oil ke roop mai pahchana jata hai. Yeh tel chawal ki bhusi se banaya jata hai. Isko banane ke liye chawal ke chhilka se iss oil ko taiyar kiya jata hai. Jo ki aapko bahut swasth laabh deta hai.

Lekin fir bhi dekha gaya hai ki, bahut se log iske faydo ke baare mai theek tarike se nahi jante hai. Jiske liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Rice Bran Oil Benefits. Jisse aap iss gunkari tel ke faydo ka luft aasani se utha sakte hai.

Hamare gharo mai tel ka prayog khana pakane mai kafi had tak kiya jata hai. Hum bhartiye tel aur ghee se kabhi inkar nahi kar sakte hai. Isliye accha hai ki apni diet mai ek sehandmand tel joda jaye. Aise mai rice bran oil iss mamalo mai kafi accha sabit hota hai.

Iske guno ke karan hi iska use Ashiyan desho mai cooking ke tor par kiya jata hai. Iss mai anye telo ki apeksha  mai sab se adhik santulit fatty acid composition paya jata hai. Jo ki swasth ke najriye se bahut laaabh kari hai.

Aaj kal ke itne sare brand moujud hai, jinme se yeh andaja lagane ki kon sa tel swasth ke liye puri tarah se sehadmand hai ya nahi, yeh  janna thoda mushkil hai. Lekin cahe to iss oil ko puri tarah se bharosemand man sakte hai.

Rice Bran Oil Benefits

Rice Bran Oil Benefits mai Chupe Hai Sehatmand Rahne ke Raaz

Cholostrole Kam Karta Hai

Rice Bran Oil Benefits mai iska sabse badha fayda hai ki, yeh cholesterol mai kam hota hai. Rice brain oil mai polyunsaturated fats paya jata hai. Saath hi isme vitamin, antioxidant bhi paya jat hai. Yeh cholesterol ko kam karta hai. Aur sharir ki rog pratiridhak kshamta  ko badhata hai. Isliye  Healthy Cooking Oil mai iss oil ki mukhaye bhumika hai.

Heart Rog se Dur

 Rice Bran oil mai orijen namak padarth mila huya hai , jo ki aapko dil ki bimari se dur rakhte hai. Isliye aapko iss low cholesterol oil ka sevan aaj se hi shuru kar dena chahiye.

Cancer Fighter

Iss oil mai tokoferols and tocotrienols namak padarth hote hai, jo ki viridhiyo prakrti ke hote hai.Yeh free radical se hone vale cancer se prabhavi tarike se ladhta hai.

Swasth Twacha 

Yeh jhuriyo ko mitane kar umra ko kam dikhane mai sahayk hota hai. Yeh suraj ki dhup se hone vali samasya ko dur karta hai aur skin ko tonning karta hai. Saath hi yeh eczema rogo ko bhi theek karne mai sahayk hai.

Immune  Badhaye

Yeh antioxidant se bhra huya tel hai, jo ki sharir ki immune system ko badhata hai. Jab aap ise apni diet ka asham hissa banate hai. Tab yeh tel free radical se ladta hai aur kai bimariyo se bhi ladhte hai.  Jisse hamare sharir ki rog pratirodhak kshamta bhi badhti hai.

Endocrine System Sudhare

Iss tel mai der sara vitamin E hota hai. Vitamin sharir mai endocrine system ko sudhar karke hormone ko durust karta hai. Isliye aap iska use jarur kare. Jisse aapke sharir mai hormone ka balance bana rahe.

Menopause Se Chutkara

Menopause ke samay mahilaye hot flash ki shikayat se gari jati hai. Yeh tel unhe iss samasya se kafi had tak nijat dilata hai.Ialiye mahilao ko iska sevan jarur karna chahiye. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Rice Bran Oil Benefits hai.

You may also like:- Janiye Menopause Symptoms and Treatment in Hindi

Hair Growth

Iss oil mai ferulic acid and esters hota hai, jo ki baalo ki growth ke liye jimmedar hai Iske alawa isme vitamin E, omega 3 aur omega 6 hote hai, jo ki baalo ko safed hone se bachate hai aur unhe swasth banane mai madda karte hai.

Rice Bran Oil Guno ka Khajana Hai

rice bran oil

Motapa Ghataye

Isme bilkul bhi tran fats acid aur cholesterol nahi hota hai Agar aap motapa kam karne ki soch rahe hai to, iss oil mai khana pakaye, kyoki isme motapa badhne  vale fats nahi hote hai par ha isme jaruri fats hote hai, jo hamare sharir ke liye avshayak hai.

Liver ke Liye Laabhdayak

Isme jaruri poshak tatva aur  bahut se aise gun  hote hai, jo ki liver ki prakriya ko sudharte hai. Isliye aap iss oil ke dwara apne liver ko swasth bana sakte hai. Jisse aapka sharir hamesha swasth rahega.

Kidney Stone

Kidney stone hone par iss oil ka sevan kijiye. Isse aapko bahut fayda milega. Saath hi yeh bimari jad se khatam ho jati hai.

Diabetes

Diabetes se bachne ke liye aapko rice bran oil ka istemaal karna chahiye. Jisse aapko bahut se bemisaal swasth laabh milega. Saath hi aapki sugar bhi control mai rahegi. Isliye diabetic patient  ko iska use rozana karna chahiye.

You may also like:-Home Remedies for Diabetes: Madhumeha ka Ilaj Ab Ghar Par hi

High blood Pressure

Ucch rakt chap se pareshan logo ko aur bhi bahut se paresahniyo se paresahn rahna padta hai . Isliye agar aap bhi iss samasya ke shikar hai, to aaj se iss tel ka use start kar de aur iss bimari se bach kar hamesah ke liye swasth rahiye.

Natural Energy Increaser

Iss oil ko natural energy increaser bhi kaha jata hai. Iske  sevan se aapke sharir mai energy ka leval jaldi se badhta hai. Saath hi aapko kabhi bhi thakaan nahi mahsus hoti hai.

Blood Vessel Disease se Bachata

Iss oil ke sevan se aap blood vessel disease se aasani se bach sakte hai. To agar aap iss bimari se paresahn nahi hona chahte hai, to iss oil ko apne aahar mai shamil kijiye.

Upar aapne jane Rice Bran Oil Benefits. To bas aaj se hi iss tel ko sevan kijiye aur iske swasthvardhak laabh ka luft uthaiye. Taki aap aasani se ek healthy life jee sake.

Loading...

You may also like...