Roop Chaudas Beauty Tips: Sondarya Badhane ke Liye Apnaye

Roop Chaudas ya Roop Chaturdashi, Dipawali ke ek din pehle manaya jata hai. Desh ke kuch hisso mai ise Narak Chaturdash and Kali Chaturdash ke naam se bhi jana jaata hai. Aesa kaha jata hai ki iss din bhagwan Krishna ne danav Mahisasur ka vadh kiya tha aur logo ko uske atyacharo se mukti dilai thi.

Bahut se log ise sondarya siddhi diwas kehte hai. Kaha jata hai ki iss din siddhi karne se sundarta prapt ki ja sakti hai. Kher yeh to hui kuch purani baate. Darahsal iss din ka ek dharmik mahatva hai jiske chalte har vyatki apni sundarta nikharne ke liye apne sharir ka dhyan rakhta hai.

Vaise to iss din mahilaye aur purush dono hi apne sharir ki swacchata ka khayal rakhte hai. Kintu mahilaye ise kuch jyada manti hai. Pichle dino mai iss din ubtan lagakar aur gulabo ke pani se snan kiya jata tha. Lekin samay ke sath sath khud ko swarne ke tarike bhi kuch badal se gaye hai.

Aajkal log wakt ki bachat karne ke liye, beauty parlor ke taraf rukh kar lete hai. Lekin yadi aap beauty parlor nahi bhi jana chahti hai, aur prakratik tariko se apni sundarta badhana chahti hai to pareshan mat hoiye kyoki aaj ke lekh mai ham aapke liye laye hai Roop Chaudas Beauty Tips.
 

Roop Chaudas Beauty Tips in Hindi – Nikhare Khubsoorti

 
Roop Chaudas Beauty Tips
 

Haldi aur Besan Ka Paste

Haldi aur Besan ka paste badhi hi aasani se mil jata hai. Yeh aapki twacha ke liye behad faydemand hai. Isse aapke chehre ka rang nikharta hai, daag dhabbe dur hote hai aur aapko milta hai gold facial sa nikhar.

  • Prayog ke liye ek katori mai besan, haldi, chandan aur kaccha dudh lele.
  • Fir sabhi chizo ka paste bana le. Iss paste mai thoda sa pani ya gualb jal dale.
  • Gulabjal se aapke chehre par jyada freshness dikhai deti hai.
  • Iss face pack ko sukhne tak ya fir 20 minute ke liye laga rehne de. Baad mai saaf pani se chehra dho le.
  • Isse aapko behad mulayam aur nikhri hui twacha milegi.
  • Yeh ek prabhavi Home Remedies for Fair Skin mai se bhi ek hai.

 

Methi Powder Scrub

Methi ke powder mai thoda sa gulab jal, haldi aur kuch bund nimbu ke ras ki daal de. Kam se kam 5-10 minute tak ise apne chehre aur pure sharir par scrub kare. Fir pani se dho le. Methi thodi chikni hoti hai to yeh aapki twacha se chipak jati hai aur aasani se nahi dhulti.

Isse aapko thoda ragad kar nikalna padhta hai. Yeh ghar par bana scrub twacha se dead cells nikal dega aur aapko milega nikhra chehra.
 

Multani Mitti aur Chandan Ka Ubtan

Teliya twacha walo ka chehra bahut jaldi kharab ho jata hai. Isliye aese logo ko iss tarah ka facepack chunna chahiye jisse ki unki twacha se sara tel nikal jaye. Multani mitti teliya twacha ke liye sabse behtar upay hai. Aaj ham teliya twacha walo ke liye do tarah ke facepacks batayenge.

  • Multani mitti mai thoda sa gulab jal milaye aur kuch nimbu ke ras ki bind dale. Sukhne tak laga rehne de baad mai gungune pani se dho le.
  • Chandan mai thodi si haldi aur dudh aur gualb ki pankhudiya milakar paste bana le. Fir iss ubatan ko aap apne chehre aur sharir par 10 se 15 minute ke laga kar rakhe. Sukhne ke bad ragad ke utar de aur dho le.
  • Inn dono tariko ko apnane ke bad yadi aapki twacha jyada rukhi ho jati hai to Vitamin A yukt moisturizer lagaye. Aap khud farak mehsus karengi.

 

Chehre Par Chamak Ke Liye Dahi

Aapki twacha rukhi hai to ho sakta ki upar diye gaye ubtan aapki twacha ko aur rukha karde. Aur rukhi twacha khichi khichi mehsus hoti hai. Aese mai yadi besan mai haldi aur dahi ka ubtan lagaya jaye to isse aapko milegi mulayam damakti twacha.
 

Aloe Vera

Aloe Vera ka naam sunte hai aapka dhyan aapke baalo ke taraf jayega. Lekin ham aapko batana chahte hai ki aloevera aapki twacha ke liye bhi utana hi faydemand hai jitna ki aapke baalo ke liye. Yahi wajah hai ki aloe vera ka upyog bahut sari beauty creams banaane mai bhi kiya jata hai. Aaiye jante hai beauty ke liye aloe vera uses.

  • Istemal ke liye fresh aloevera le aur usi bahari parat hatakar andar se fresh jel ko nikal le.
  • Apne chehre ko saaf karke, iss jel ko laga le. Aur karib 15 minute lage rehne de.
  • Baad mai saaf pani se dho le.
  • Baalo mai iska istemal karne ke liye shampoo se ek ghante pehle iske jel ko baalo mai laga le, fir baal dho le.

 
Upar aapne jana Roop Chaudas Beauty Tips in Hindi. Uprokt sabhi upay karne mai bhi aasan hai aur inhe karne mai aapka paisa bhi nahi lagta hai. Yeh upay keval ladkiyo ke liye nahi ladko ke liye bhi hai.

Loading...

You may also like...