Rotavirus in Hindi: Janiye Iske Lakshan, Karan aur Roktham

Rotavirus ek tarah ka virus hai. Yeh virus jyadatar 5 varsh se kam umra wale baccho ko prabhavit karta hai. Chhote baccho mai iske lakshan jaise atisaar ya fir dast ka hona bahut hi samanya baat hai. World Health Organization ke anumanit anusaar 5 sal se kam umra ke bacche mai ek bar yeh bimari jarur hoti hai.

Adhiktar bacche iska shikar 3 sal se pehle hi ho jate hai. Rotavirus mai bacche ko dast lagte hai, ultiya aati hai aur bukhar aata hai. Vaise to yeh virus vayasko ko bhi ho sakta hai parantu unme yeh sankraman kam hota hai.

Rotavirus failne ke kai karan ho sakte hai kintu iske kitanu gandagi mai jyada panapate hai. Iske karan bharat mai har sal kai baccho ki moute hoti hai. Sardiya shuru hote hi yeh virus jyada sakriya ho jata hai. Isi karan isse winter diarrhea rotavirus bhi kehte hai.

Yeh pidit bacche mai gastroenteritis ki samasya utpanna kar deta hai. Iss bimari ke liye pehle se bachav karna accha hota hai iske liye bacche ke aas paas saf safai ka dhyaan rakhna chahiye. Yeh unn baccho mai adhik hota hai jinki rog pratirodhak shamata kamjor hoti hai. Aaj hum iss article mai isse sambandhit sari jankari padenge. Aaiye jane Rotavirus in Hindi.

Rotavirus in Hindi: 5 Saal Se Kam Umra Ke Baccho Ko Khatra

Rotavirus in HindiRotavirus in Hindi

Rotavirus Symptoms in Hindi: Janiye Iske Lakshan

  1. Isme bacche ko pani ki kami tatha bahut pet dard hota hai.
  2. Susti, twacha aur muh mai sukhapan hone lagta hai.
  3. Bacche thode chidchide ho jate hai.
  4. Aankhe andar ki taraf dhas jati hai.
  5. Bacche ka peshab karne mai kami aa jati hai.
  6. Kai bar pani ki jyada kami se baccha behosh ya fir mar bhi sakta hai.
  7. Iss bimari mai bacche ko bhukhar bhi aa sakta hai.
  8. Yeh koshikao ko nuksaan pahuchata hai aur infection paida kar deta hai.
  9. Rotavirus baccho ki aanto ko sankramit karta hai. Jisse bacche ko ulti, dast shuru ho jate hai.

You may also like:- Newborn Baby Care in Hindi: Navjaat Shishu ki Dekhbhaal

Rotavirus Hone Ke Karan Jane

Rotavirus Causes ki baat kare to iske hone ka mukhya karan jab vyakti shoch ke bad acche se hath nahi dhota ya ache se hatho ki safai na hone par rotavirus ke kitanu hatho mai reh jate hai. Yeh jivanu vyakti mai ya bacche mai sparsh se fail sakte hai.

Bacche ka diaper badalne ke bad hatho ki acche se safai nahi hone par ya ghar mai rakhe bacche ke khilone, bartan aadi mai yeh virus kaafi samay tak reh jata hai. Jab bhi baccha inko hath lgata hai. Iss bimari se sankramit ho jata hai.

Yadi bacche mai ek se adhik sankraman hai to bhi rotavirus ke jivanu sakriya ho jate hai. Jo bacche child care ya bahari mahol mai pale jaate hai unhe iske hone ki sambhavana jyada hoti haui.

Rotavirus Ke Roktham Ke Upay:

ORS Ka Ghol

Isse bachne ke liye bacche ke sharir mai pani ki kami na hone dena hi sabse accha illaj hai.  Isliye dast hone par ORS ka ghol aur thoda thoda sada pani har thodi der mai dete rahe.

Rotavirus Vaccine

Rotavirus Vaccine muh ke dwara diya jane wala ek jivit virus tika hota hai. Jisse rotavirus se bachane ke liye baccho ko pehle se hi iss vaccine ki khurak di jati hai. Iss dava ko sabse pehle 1 ½ mahine ke najat shishu, dusri bar 2 ½ mahine ke bacche ko, tisri bar 3 ½ mahine ke bacche arthat har mahine mai bacche ko 5-5 bundo ki khurak ko pilaya jata hai.

Dast Rokne Ke Liye Dawai Na De

Dhyan rakhe ki dast ko ek dam se band karne ke liye doctor par dabav na dale. Aur na hi dast ko rokne wali koi dawai de. Kyuki ki iski wajah se bacche ko nuksaan ho sakta hai.

Saline De Sakte Hai

Jyada pani ki kami hone par bacche ko aspatal mai bharti kare aur aese mai saline dene ki jarurat pad sakti hai. Taki sharir mai ho rahi pani ki kami ko jaldi se dur kiya ja sake.

You may also like:- Polio Disease in Hindi – Jane Isse Bachne aur Upchar Ke Tarike

Antibiotics Na De

Rotavirus ko thik karne mai antibiotics sahayta nahi karte hai. Kyoki iske liye abhi tak antiviral tarah ki koi dawai nahi bani hai

Swasth Vibhag Mission – Sarkar Degi Muft Rotavirus Vaccine

Swasth vibhag ne rotavirus bimari se nijat dilane ke liye nai skim shuru ki hai jiske antargat baccho ko diarrhea se bachane ke liye baccho ko samay samay par dawai pilai jayegi. Yeh vaccine bajar mai karib 3 hajar rupey tak milta hai lekin sarkari aspatalo mai aapko yeh muft milega.

Iss skim ko national immunization schedule ke antargat rakha gaya hai. Yadi koi baccha iss dava se vanchit reh jata hai to iska sarve  kiya jayega aur usse aaganvadi, aasha worker ke dwara har bacche ko ghar ghar jakar pilvaya jayega.

Upar aapne jana Rotavirus in Hindi. Iss bimari se bacche ko bachane ke liye swasth vibhag ne baccho ko dawa pilvane ka kaam shuru kar diya hai. Aap bhi iski satik jankari paa kar apne bacche ko isse bachay.

Loading...
whatsapp