Safed Daag ko Curing Vitiligo (Leucoderma) ke naam se bhi jana jata hai, jiska matlab hai safed (leuco) aur charm (derma). Isko ‘achromia’ ke naam se bhi jana jata hai jiska matlab hai rang ki kami hona. Iss bimari me chamadi ke samanya rang me farq aa jata hai aur wah safed ho jati hai. Aaiye Safed Daag Treatment in Hindi ko jane aur kare apni twacha ko samanya.
Safed daag ek twacha rog hai. Humare bharat me kai log is rog ko kusth rog ka naam de kar humare mann me iss rog ke liye grahna paida kar di hai. Vishva me 1 se 2 pratishat log iss rog se prabhavit hai, lekin bharat me iss rog ke shikar 8% log hai aur uske baad Mexico me paye jate hai. Iss bimari par alag-alag aakar ke saed daag dekhe ja sakte hai.
Ye pareshani kisi ko bhi ho sakti hai jese bacche, mahilaye aur purush koi bhi iss rog ki chapet me aa sakta hai aur ye kisi bhi umra ke vyakti me me payi ja sakti hai.
Kai baar ye rog vanshanugat bhi hota hai. Safed Daag ka rog thik ho jata hai, isliye aapko dherya rakhne ki jarurat hai. Agar aap safed daag ke rog ko dur karna chahte hai to aapko kuch Gharelu Nuskho ke saath bhi bahut hi Jaruri baato ka bnhi dhyaan rakhna hoga.
Safed Daag Treatment In Hindi: Janiye Iss Rog ko Dur Karne ke Upay
You may also like: Gharelu Nuskhe Chehre ke Daag Dhabbe Hatane ke Liye
1) Toxic Padarth ko Bahar Nikale
Sharir ka toxic tatva nikalne se na roke, jese- mal, mutra, pasina aadi.
2) Ye Chize na Khaye
Iss rog me aapko mithai, rabdi, dudh aur dahi ka ek saath sevan nahi karna chahiye. Isse aapki skin par galat asar pad sakta hai. To dhayn rahe iss situation me aise khadya padarth se bache.
3) Garisth Bojan na Kare
Bahut jyada garisth bhojan ka sevan na kare isse aapko taklif ho sakti hai. Jese- urad ki daal, meat, fish aadi ka sevan na kare.
4) Inn Baato ka Khayal Rakhe
Bhojan me khatai, tej mirch aur gud ka sevan na kare.
5) Jyada Namak na Khaye
Safed Daag Treatment in Hindi ki baat kare to jyada namak khana aapke liye haanikarak ho sakta hai. Isiliye Adhik namak ka prayog na kare. Kam se kam namak ka sevan kare aur kare apni iss pareshani ko dur.
6) Bathua (Lamb’s Quarters) hai Faydemand
Roz bathua ki sabji khaye. Isko ubal kar uske pani se safed daag ko dhoye. Kacche bathua ka ras 2 cup nikal kar aadha cup til ka tel milakar dhimi aanch par pakaye. Jab sirf tel reh jaye tab utar kar bottle me bhar le. Ise lagatar lagate rahe.
7) Akhrot Khaye
Akhrot me itni shakti hai ki wah aapki safed pad chuki twcah ko kali kar sakta hai. Iska niyamit roop se sevan kare aur dekhiye isse aapko kitna fayda hota hai.
8) Alfalfa
Yeh matar parivar fabasiye ka phul hai dene wala ek poudha hai jiski kheti ek mahatvapurna
chare ke fasal ke roop me ki jati hai. Rizaka 100 gm aur 100 gm kakadi ka ras milakar daad thik kiya ja sakta hai.
9) Lahsun
Lahsun ka sevan niyamit kare. Iske ras me harad ghiskar lep kare isse aapke daag mit jayge aue aapko iss rog se chutkara mil jayga.
10) Urad ki Dal
Pani me bheegi hui urad ki dal piskar safed daag par 4 months lagane se daag theek ho jayga.
11) Neem ka Upyog Kare
Neem ki paati, phul, nimboli aadi ko sukhakar piss le aur pratidin fanki le. Safed daag ke liye neem ek vardan hai. KOi bhi daag wala vyakti neem tale jitna rahega utna hi usko fayda hoga.
12) Kuch Anya Ayurvedic Chize
Arogya Vardhini, Khadirarishta, Trivanga Bhasma, Krumikhuthar Rasa, Mahamanjishthadi Qadha (decoction), Krumimudgar Rasa, Saarivasav. Inn ayurvedic chizo ki madad se aap safed daag thi kar sakte hai.
13) Kuch Anya Herbal Chize
Manjishtha (Rubia Cordifolia), Saarvia (Hemidesmus Indicus), Khadir (Acacia Catechu),Triphala (Three Fruits), Haridra (Curcuma Longa), Vidanga (Embilia Ribes), Daruharidra (Berberis Aristata) aur Bavachi (Psoralia Corylifolia) inn sab herbal padarth ka use kare aur kijiye apne saed daag ko apne se dur.
Vitiligo Causes: Safed Daag Hone ke Mukhya Karan
Safed daag ka rog jyadatar anuvanshik karano se paida hota hai. Yeh rog bachpan, javani ya budapa kisi bhi avastha me ho sakta hai. Iss rog ke hone ki bahut si aisi avasthaye hoti hai jo sharir par kisi prakaar ke chot lag jane ke karan hoti hai tatha jiske karam sharir kar safed daag ho jata hai. Baad me yeh daag bade hokar failne lagte hai. Yadi safed daag sar ki khopdi par ho jaye to yeh prabhavit bhaag par paye jane wale baalo ka rang bhi uda deta hai. Yeh rog anuvanshikta ke alawa bhojan me Vitamin A tatha Vitamin D ki matra ki kami hone ke karan bhi ho sakta hai.
Upar aapne jane Safed Daag Treatment in Hindi. To aaj se hi inn upay ko apnaiye aur kijiye apne daag ko bedaag aur rahiye apni skin ko javan
Get more details about Safed Daag-Dhabbe from Beauty Tips in Hindi.