Salt Water Drinking Benefits: Sharir Se Vishele Padarth Hataye

Aapne hamesha namak ka upyog khane mai kiya hoga. Lekin kya kabhi aapne namak ka pani piya hai? Aap mai se adhikansh logo ka jawab na hoga. Ham aapko batana chahte hai namak ka pani life enhancing solution ki tarah hai jo sharir ki prakratik kshamta ko badhane mai madad karta hai.

Ham saalo se yahi sunte aa rahe hai ki namak hamare liye faydemand hai to fir namak ka pani bhi to faydemand hi hua. Aajkal hamne yeh bhi suna hai ki namak ki matra kam khana chahiye, lekin aesa tab jab namak ka istemal refined table salt ki tarah hone laga.

Unrefined salt hamare sehat ke liye bahut hi faydemand hai. Yeh sharkara ki matra ko niyantrit rakhta hai, haddiyo ko majboot banata hai, metabolism rate ko badhata hai, pachan tantra ko sudharta hai aadi. Jab iske itne sare fayde hai to chaliye vistar se jante hai Salt Water Drinking Benefits in Hindi.
 

Salt Water Drinking Benefits in Hindi: Khali Pet Peena Faydemand

 

 

Namak aur Pani Ko Milane Se Kya Hota Hai?

Iske fayde janne se pehle aap sabhi yahi soch rahe honge ki yeh kis tarah se kaam karta hai. Jab prakratik namak ko filtered pani mai dala jaata hai tab namak ke negative ion pani ke positive ion se mil jate hai aur namak ke positive ion, pani ke negative ion se mil jate hai.

Iske karan ek naye dance ki sarachna hoti hai jise electric charge kaha jata hai. Yeh electric charge ko aapka sharir aasani se absorb kar leta hai. Iske bad pani aur namak jaisa kuch nahi reh jata.

Jab aap iss pani aur namak ke mishran ko pite hai to electric charge aapke sharir ke sath milkar koshikao ke bich electric signal bhejte hai., jiske chalte kidney apna karya sahi se kar pati hai. Ham aapko bata de ki namak ka pani pina koi nai baat nahi hai, salo se log is ek prakratik upchar ke tarah istemal kar rahe hai.
 

Twacha Ke Liye Faydemand

  • Beshak hai ki aap bhi sabhi ki tarah acchi twacha ki chahat rakhte honge. To ham aapko bata de yeh kaafi aasan hai. Salt Water Skin Benefits bhi hai.
  • Pani aur namak ke mishran mai minerals paye jate hai jo aapki twacha ko sehatmand banane mai madad karte hai.
  • Isme moujud chromium rukhi twacha ko se nijat dilata hai sath hi isse twacha ka sankraman bhi thik hota hai.
  • Isme moujud sulfur aapki twacha ko saaf aur mulayam banata hai. Isse rashes aur khujli ki samasya bhi thik hoti hai, kyoki yeh sulfur ki kami ke karan hi hota hai.
  • Isme moujud zinc ghavo ko bharta hai aur immunity system ko badhata hai sath hi oil glands ki karya ko thik karta hai.

 

Aapko Hydrate Rakhne mai Madad Kare

Hamse hamesha se hi jyada pani pine ke liye kaha jata hai. Kyoki kuch logo ke sharir ko pani ki bahut jyada jarurat hoti hai. Wahi kuch log bewajah hi jyada pani piye jate hai. Lekin kya aap jante hai bahut jyada pani peena bhi hame over diluted kar deta hai.

  • Darahsal aesa karne se aapke sharir ka metabolism rate kam ho jata hai
  • Aapke sharir mai cellular health, mineral aur electrolytes ke ratio par depend hoti hai. Lekin jyada pani pine se aapko sahi parinaam nahi mil pate hai.
  • Lekin Drinking Salt Water aapke liye accha hai. Kyoki ise peene par aapka sharir pani ko acche se absorb karta hai aur uska istemal karta hai.

 

Detoxification – Sharir Se Toxins Hataye

  • Namak mai moujud minerals ke chalte, ise pani ke sath milakar pine par yeh aapke sharir mai detoxification ki prakriya karta hai.
  • Isme antibacterial gun moujud hote hai, isliye yeh aapke sharir se bacteria ko nikal deta hai jo ki aapke swasthya ke liye hanikar hota hai.

 
Yadi aap namak ke pani ko subah khali pet pite hai to aapko yeh fayde milte hai:-

  1. Urja mai badhotari
  2. Rakt mai sharkara ki matra kam hoti hai
  3. Muscle mai aenthan kam hoti hai
  4. Vajan kam hota hai
  5. Hormonal system thik hota hai
  6. Naso ka swath hona

 
Yeh swasth ko thik karne ka sabse sasta aur saral tarika hai. Yeh aapke pure swasthya ko thik karne mai madad kjarta hai. Jab aao salt water peena shuru kar denge tab aapka sharir hath ke sath aapko iske fayde dene lag jayega. Yaha tak ki aapko 7 din mai bhi kafi farak dikhega.
 

Kaise Kare Prayog

Istemal ke liye aap ek glass pani le aur usme 2 chammach sea salt dale (table salt ka istemal na kare), ise acche se mix kare aur khali pet pile. Ek hafte tak lagatar piye aur fir 1 hafte ke liye chod de. 1 hafte ke bad aap fir isi tarah start kar sakte hai.
 
Upar aapne jana Salt Water Drinking Benefits in Hindi. Aap bhi namak aur pani ke mishran se milne wale faydo ka labh utha sakte hai. Lekin yadi aapko uccha raktchaap ya koi anya bimari hai to ise lene se pehle aap doctor se pehle ray lele.

Loading...

This website uses cookies.