Sandesh Recipe in Hindi: Bangal ka Mashur Mishthan

Kai sare tyoharo ka mousam aa chuka hai, aur tyoharo ke aate hi gharo mai kai tarah ke misthan bante hai. Jab bhi hum mithe ka naam sunte hai muh mai pani aa jata hai aur hamari jaban mithe ke swad ko mehsus karne lag jati hai.

Har tyoharo mai ham kai tarah ki mithai ka luft uthate hai unhi mai se ek swadisht mithai hai jiska naam sandesh hai. Waise to sandesh paramparik rup se bangal ki mithai hai parantu isko khane ke shoukin na sirf bangal mai balki pure desh mai hai.

Aap iss mithai ko bina kisi mehnat ke aasani se aur jaldi se bana sakte hai. Sandesh ek mulayam mithai hai jisko aap muh mai rakhte hi iske swad aapko aanandit kar deta hai. Aaj hum aapko ise banane ki vidhi bata rahe hai jisse aap ise ghar par bana sakti hai. Aaiye jante hai Sandesh Recipe in Hindi.
 

Sandesh Recipe in Hindi – Jane Banane Ka Tarika

 

 

Jane Sandesh Banane Ki Aavshyak Samagri

 

Samagri Quantity
Dudh (Full cream) 1 Liter
Nimbu 2
Chini 1/3 Cup
Elaichi 5
Kesar Dhage 25
Piste 25

 

Sandesh Banane Ke Liye Samay:- 

Karib 12 se 15 sandesh banane mai aapko 50 minute ka samay lagega,sandesh banane ke liye niche vidhi batai ja rahi hai jisse aap swadisht sandesh bana payenge.
 

Jane Sandesh Banane Ki Vidhi

  1. Sabse pehle dudh ko bhari tale wale bartan mai le aur use garam hone ke liye rakh de. Jab dudh mai ubal aa jaye to use gas se utar le aur dudh ko thanda hone ke liye rakh de. Ab nimbu ko kat le aur uska ras nikaal le tatha usme thoda sa pani mila de.
  2. Jad dudh puri tarah thanda ho jaye to usme dhire dhire se nimbu ka ras dalte huye dudh ko chammach se hilaye. Iss tarah dudh puri tarah se fat jayega aur pani tatha chena alag alag dikhne lagega. Aesa hone par nimbu ka ras dalna band kar de.
  3. Ab ise ek kapde se bandh le taki pani alag ho jaye aur chena alag ho jaye. Ab chene ke upar pani dale taki nimbu ka swad chene mai na rahe. Iske bad kapde ko charo taraf se utha le aur kapde ko hatho se daba le taki atirikt bacha hua pani bhi chene se alag ho jaye.
  4. Ab chene ko kisi thali mai nikal le aur ise 5 se 6 minute hatho se masal kar chikna kar le. Ab elaichi ko kutkar powder bana le aur piste ko patla patla kat le. Iske bad chene mai kesar ke dhage aur chini dale tatha use 2 se 3 minute tak mila le.
  5. Ab non stick fry pain le tatha usme chehe ke mishran ko dalkar use gas par rakhe. Dhyan rakhe gas ki aanch maddhi hona chahiye aur chene ko karib 2 se 3 minute tak chalate rahe aur ise bhun le. Ab gas ko band kar de tatha ek plate mai chene ko nikal le.
  6. Chene ko thanda hone ke liye rakh de jab chena halka thanda ho jaye to isme elaichi powder dale aur fir iss mishran ko mila le. Ab chene se thoda thoda mishran nikale aur gol karke use thoda chapta karke ek thali mai rakh de.
  7. Aese hi sare mishran ko thoda thoda lekar gol gol bana le aur inhe sajane ke liye upar se pista laga de. Aapke swadisht sandesh sweet taiyar hai.

 

Pista Sandesh Banaye

Pista Sandesh Banane Ke Liye Aavshyak Samagri

  • 1/3 Cup – Pisi chini
  • 12 chhoti chammach- Pista powder
  • 1 Liter- Gay ka dudh
  • 10 – Pista
  • 2 chutki – Citric acid

 

Pista Sandesh Banane Ki Vidhi

Bengali sweets banane ke liye sabse pehle dudh garam kare aur usme dhire dhire citric acid dalkar dudh chalaye jab tak dudh na phat jaye. Ab isse saaf kapde se chhan le aur use thanda hone de. Ek bartan mai chena nikale tatha isme chini milakar 4 se 5 minute ke liye rakh de.

Ab iss mishran ko mixer mai acche se pees le aur isme pista powder ko mila le. Iss mishran ko ek thali mai nikale aur ise gol gol bana le tatha inhe sajane ke liye inke upar pista laga de.
 
Upar apne jana Sandesh Recipe in Hindi. Inn tyoharo ke dino mai apne manpasand sandesh banaye aur tyoharo ki khushi ko dugna kar le. Yeh swadisht sandesh parivar ke sabhi sadasyo ko khilaye.

Loading...

This website uses cookies.