Saree Draping Styles in Hindi: Janiye Sadi Pehnne Ke Tatike

Sadi bhartiya mahilao ka sabse purana aur pasandida paridhan hai. Vaise to aajkal india mai western kapde pehne jane lage hai. lekin jab koi tyohar ho, koi sanskratik karyakram ho, ya koi shadi ki party, aese mai sadi ki tulna koi paridhan nahi kar sakta. Inn khas mouko par mahilaye hi nahi ladkiya bhi sadi pehnna hi pasand karti hai.

Sadi se na keval stri ki sadagi dikhai deti hai, apitu yeh hamari sanskrati ka ek hissa bhi hai. Sadi shabad ko keval sochkar hi hamare man mai ek bhartiya nari ki chavi ban jati hai. Chahe hamari jeevansheli kitni bhi modern kyu naa ho jaye kintu hamara samaj nari ko aur ek pati apni patni ko sadi mai hi dekhne ki iccha rakha hai.

Fashion priya kuch logo ka yeh manna hai ki sadi keval adhik umra ki aurto ko hi pehnna chahiye, jabki kam umra ke logo ko keval western outfit hi prefer karna chahiye. Lekin ab samay mai thoda parivartan aaya hai, aajkal ki yuva pidhi sadi ko jayda pehnna pasand kar rahi hai.

Jeans skirt jaise pashchimi paridhano se sab bore ho chuke hai. Sadi pehnne se unhe kuch nayapan mil raha hai. Lekin aajal jaise logo ki jivansheli badal gayi hai waise hi sadi ko pehnne ke andaj bhi badal gaye hai. Yadi aapko sadi pehnna aur uske alag alag tarike nahi pata hai to fikra mat kijiye, yaha dekhiye Saree Draping Styles in Hindi.

Saree Draping Styles in Hindi: Sadi Pehnne Ke Alag – Alag Andaj

Sadi bhartiya nari dwara pehna jane wala sabse sundar wrast hai. Isse nari ki sundarta aur badh jati hai. Ise koi bhi stri kisi khas function ke alawa apni daily life mai bhi pehan sakti hai.

Sadi aakar mai 6 meter lambi aur 1 meter choudi hoti hai. Iske do hisse hote hai. Ek  hissa kamar par bandha jata hai vahi upari hissa kandhe par lagaya jata hai. Sadi ko kis tarah bandha ja sakta hai wo ham aapko niche batane ja rahe hai.

Par sadi pehnne ke liye sabse pehle aapko do aur chijo ki aavyashakta hoti hai.

Blouse– Blouse ko chhati ke uppar pehna jata hai. Ise aap alag alag style mai silwa sakti hai. Par yad rahe aapke blouse ka rang aapki sadi se milta julta ho.

Petticoat – Petticoat skirt ki tarah dikhta hai. Ise kamar par bhandha jata hai. Iski lambai takhno tak hoti hai isse sadi ke niche pehkar sadi ko ispar bandhna shuru kiya jata hai. Aaiye jante hai ise pehhne ka tarika.

You May Also Like:- Types of Mehndi Design in Hindi: Aapke Haatho Ke Liye

 

Sadi Kaise Pehne?

Pehli Step: Sabse pehle sadi ko puri tarah lambi kar le. Fir uski lambai ko dhyan mai rakhte huye uska nichla hissa kamar par lapetate huye, petticoat mai atkate jaye. Dhyan rahe ki sadi ko pehnne ki shuruwat baye taraf se kare.

Dusri Step: Ab sadi ko lapet kar jaha se shuri kiya tha wahi le aaye. Yadi sadi ki lambai jyada ho to aap use ek baar aur lapet sakte hai. Yeh baat dhayn rakhe ki sadi aapke takhno se thodi niche ho taki aapka petticoat na dikhe.

Tisari Step: Jab aap sadi ko ek bar lapet lete hai to sadi ka ek hissa samne ki taraf aa jata hai. Ab bari aati hai sadi bhi patli banane ki iske liye aap dahine hath se sadi ka istemal kare or bahine hath se sadi ko pakde.

Chouthi Step: Aap apne hatho ki ungliyon mai sadi ko pakadkar aage piche karte huye 8 se 10 paltes banaye aur unhe ungliyo mai pakad kar rakhe. Ab inhe acche se vyavasthit karle taki sari patliya ek katar mai ho. Ab sari patliya yane ki chunnat ko petticoat mai atka le aur vyavastit kar le. Yeh patliya wapis nahi bigde iske liye pin laga le.

Panchavi Step: Iske bad aap sadi ke bache huye hisse ko  kamar ke piche se lete huye samne ki taraf laye aur usko hatheliyo me le aur fir apni ungliyo ki  madad se plates banaye. Fir ise apne kandhe par dale. Apne pallu ko kamar ki taraf se khichkar thoda tight kar le taki sadi bilkul acche se set ho jaye.

Iss tarah aap apni puri sadi pehan sakti hai, sadi ko kisi bhi tyohar, birthday party, pooja ya shaadi mai pehna ja sakta hai. Ise kisi bhi tarah ke avasar me pehan sakte hai. Sadi ko alag alag tariko ke dwara bhi pehna ja sakta jai. Jo aapko or aakarshit aur khubsurat dikhne mai madad karega. Aaiye ham iske aur naye naye tarike ko jante hai.

Saree Wearing Styles: Sadi Pehnne Ke Different Tarike

Bengali Style

Jab bhi sadi ko pehnne ka soch jata hai bengali saree ke andaj ko bahut pasand kiya jata hai. Yeh dikhne mai behad khubsurat lagti hai kintu ise sambhalna thoda muskil ho jata hai.

Sundarta Badhane Ke Liye Lehnga Style

Aaj kal ke yuva pidhi ko lehnge pehnne ke bajaye sadi ko lehnga style mai pehnna jayada pasand aata hai. Isliye sadi ko aajkal lehnge jaisa bhi pehna jane laga hai. Lehenga Saree mai niche wala hissa lehnge jaisa hi hota or upar vale pallo ko piche ki jagah aage liya jata hai. Ise pehna bhi bhut aasan hota hai.

Net Wali Sadi Ke Sath Rajrani Style

Rajrani sadi gujrat mai mukhya rup se pehni jati hai. Agar aapko bhari net or silk ki sadi pehnna pasand hai to rajrani sadi aapke liye hi bani hai. Isme ek alag bat ye bhi hai ki iss sadi ka pallu sidhe hath ki taraf se liya jata hi.

Mumtaj Sadi – Purane Jamane Ki Yad Dilaye

Agar aap kisi party mai ja rahi hai aur aapko sabse alag dikhna hai to mumtaj sadi se aap apne aapko retro look de sakte hai. Iss sadi mai aapka figure bahut hi akarshak dikhai dega. Aur sab apki adao ko hi dekhte reh jayenge.

Jalpari Sadi

Ise fish cut sadi bhi bola jata hai. Yeh sadi skirt jaisi hoti hai. Jalpari sadi dubli-patli ladkiya jyada pehnna pasand karti hai, kyuki isme patli ladkiya jayda akarshit dikhai deti hai. Inn sadiyp par pallu mai jayda karya kiya jata hai. Ye sadi hips se patli or niche se khuli hui hoti hai. Aapko aesi kai Designer Saree market mai bani banai bhi mil jati hai.

Marathi Style mai Dikhe Maharastriyan

Iss sadi ko sabse jayda Maharashtra mai pehna jata hai.  Iss sadi ki lambai dusri sadi ki lambai se jayda hoti hai. Iske niche petticoat nahi pehna jata hai. Marathi sadi ko pehnne ka tarika baki sadiiyo se bahut alag hai.

Titali Sadi

Iss sadi ko pehnakar aap aadhunik fashion ki lagegi. Iss sadi ko chiffon net ke sath pehna jaye to alag hi look dikhai deta hai. Iska pallu bhut patla hota hai itna ki nabhi bhi dikhai deti hai.

Pent Style Sadi

Iss sadi ko aap kisi bhi denim, pent, sharara, palazzo ke  upar pehan sakte hai. Ise bahut hi asani se pehna ja sakta hai. Isko pehankar aapko chalne mai ya dance karne mai koi asuvidha nahi hogi. Iss sadi ko pehnne ke liye denim ke upar se lapete aur sadi ko plates ko dahine taraf rakhe or denim ko dikhne de. Sadi ka pallu bahine kandhe par ayega.

You May Also Like:- Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj

 

Kuch Hatkar – Belt Sadi

Belt sadi mai aapko kamarband ki jarurat nahi padti hai kyuko isme aap sadi par belt ya scarf ka upyog kiya jata hai. Ise kisi bhi printed sadi ke sath pehna ja sakta hai. Inn sadi me aapko blouse alag se nahi balki sadi ka hi material ka hi upyog mai lana chahiye.

Modern Dikhne Ke Liye Jacket style

Yadi aapko jacket pehhne ka shouk hai to aapke liye ek bahut accha vikalp hai. Jacket style mai sadi ke blouse ko jacket ki tarah stitched kiya jata hai. Jacket velvate ka ho to jayda ubhar kar ayega. Thandi mai aap iss pehnave ko try kar sakti hai.

Dhoti Style

Waise dhoti purush pehnte hai parantu badlte trend ke sath ye dharna bhi change ho rahi hai. Ab ladkiya bhi dhoti style ki sadi pehan rahi hai. Ya to aap purani sadi ko dhoti style mai silva sakti hai, ya fir bajar se dhoti style ki sadi lakar apne wardrobe mai rakh sakti hai.

Scarf Style – Thandi mai Pehne

Kai bar sadi ka pallu sambhalne mai bhut dikkat hoti hai, kabhi pin sahi se nahi lag pati kabhi pallu niche girne lagta hai. Scarf style ki sadi mai aapko in sab pareshaniyo ka samana nahi karna padega. Aap scarf ke jaise pallu ko gardan mai dal sakte hai. Ye thandi ke samay accha vikalp hai. Isse aap thand se bhi bach jate hai.

Upar aapne jana Saree Draping Styles in Hindi. To fir der kis baat ki, kisi bhi function par inhe pehne aur aakarshak dikhiye.

Loading...

This website uses cookies.