Yog karne se sharir ke har ek ang ki acchi kasrat ho jati hai, isse na keval bharat ke log apitu pure vishva ke log labhanvit ho rahe hai. Yoga karne se sharir ki maspeshiya to majboot hoti hai hi sath hi kai prakar ke rogo se mukti bhi mil jati hai.
Yog ko apni dincharya mai shamil karne par aapko koi nuksan nahi hoga balki kai fayde hi milenge. Sath hi yoga karne se aapko mansik shanti tatha aatmik gyan bhi milta hai.
Yoga mai kai sare aasan hote hai jinko karne ke liye sahi disha nirdesh ki aavshyakta hoti hai. Aaj hum aapko aese hi yog ke ek aasan ke bare me batane ja rahe hai, to aaiye jante hai Sarvangasana in Hindi.
Sarvangasana in Hindi: Jane Iski Vidhi, Labh aur Savdhaniya
Sarvangasana shabd ka janam sanskrit shabd se hua hai sarvang ka hindi mai arth hota hai sabhi aang. Jab aap sarvangasana ko karte hai to iss asana ko karne se aapke pure sharir ke ango ki acche se kasrat ho jati hai.
Yahi karan hai ki ise sarvangasana tatha angreji mai Shoulder Stand Pose kaha jata hai. Kuch visheshgyo ki mane to iss asana ko sabhi aasano ki janni bhi kaha gaya hai. Jab iss asana ko kiya jata hai to sharir ka pura bhaag kandho par aa jata hai aur sharir mai rakt sanchar viprit disha ki aur behne lagta hai. Iss aasana se kundilini shakti ko jagane mai bhi madad milti hai tatha yeh asana sharir ke sare vikaro ko dur kar naya jivan deta hai.
Sarvangasana Steps – Jane Ise Karne Ki Vidhi
- Iss asana ko karne ke liye sabse pehle jameen par aasan ya chatai ko bicha de.
- Ab aasan par peeth ke bal let jaye aur dono pairo ko aapas mai mila le.
- Dono hatho ko sharir se ekdam sata kar rakh le tatha chehre ko aasman ki taraf rakhe.
- Iske pashchat aankho ko puri tarah band kar de aur sharir ko dheela chhod kar shithil ho jane de.
- Ab dono pairo ko dhire dhire upar ki taraf uthaye aur dhyan rakhe ki aapke pair guthne se mude nahi.
- Jab aap pairo ko upar ki taraf utha rahe ho tab ghehri saanso ka abhyas kare.
- Pairo ko uthate samay aapki kamar ko bhi upar ki taraf uthana shuru kar de.
- Jab aap kamar ko upar ki taraf uthaye hatho ka sahara le tatha kohniya jameen par tiki hui hona chahiye
- Pair kamar aur peeth ko itna upar uthaye ki sar aur gardan sharir ke samkon ho jaye.
- Aapke sar tatha pairo ke dwara jameen se 90 degree ka kon banta hai.
- Sharir ko sahara dene ke liye dono hatho ke sahare se kamar ko pakde.
- Aapka sar aasman ki taraf aur thuddi gardan se lagi hona chahiye.
- Iss stthi mai aapki shamata anusaar ruke rahe tatha dhire dhire pairo ko niche ki tarah lekar aaye pure sharir ko jameen par rakh de aur aaram kare.
Sarvangasana Benefits – Jane Iske Fayde
- Sarvangasana karne par pith tatha kandhe majboot bante hai
- Mahilao mai garbhashya tatha masik dharm se judi samasyao se nijat milta hai.
- Thyroid granthi ko kriyasheel banti hai tatha dama ke rogiyo ke liye bahut asarkari hai.
- Iske alawa iss asana ko karne se prajnanang aur haddiyo ka vikas hota hai.
- Iss asana ko karne se hormone kriya sheel hote hai tatha jine ki umra bad jati hai.
- Shoulder Stand Yoga ko karne se atirikat charbi kam hoti hai aur chehre ke daag dhabe bhi hatate hai.
- Iss asana ko rojana karne se sharirik kamjoori dur hoti hai tatha vyakti mai budhapa deri se aata hai.
- Yeh bhukh ko badata hai tatha sharir mai pachan tatha kabj sambandhi samssya ko dur bhagata hai.
- Iss asana ko karne se yadaasht badti hai aur jo vyakti mansik tour se bimar hai to usse iss asana ko jarur karna chahiye.
- Jab aap iss asana ko karte hai to rakt saaf hota hai aur sharir mai chram rog nahi hota hai. Iske atirikat twacha mai kasavat banaye rakhta hai.
Sarvangasana Precautions – Ise Karte Samay Savdhaniya
Upar aapne jana Sarvangasana in Hindi. Aap iska abhyas karke iska labh pa sakte hai. lekin ise karne se pehle inn savdhaniyo par jarur gaur kijiyega.
- Yadi aapko ucch raktchaap, dil se judi bimari, kamar dard, gardan dard, chakkar aana, garbhavastha ya masik dhram jesi pareshani hai to iss aasan ko na kare.
- Jab aap iss aasan ko kar rahe ho tab sar ko upar ki taraf na uthaye.
- Dhyan rakhe pairo ko upar ki taraf uthate samay guthne ko mode nahi.