Bekar Ke Tanav Se Ho Sakta Hai Schizophrenia

Schizophrenia ek dimag se judi pareshani hai jisme ki dimag kamjor ho jata hai. Yeh bimari kisi bhi age ke logo mai kabhi bhi ho sakti hai. Ise Mental Disorder bhi kehte hai, jisme insan apne dimag mai apni ek alag kalpanik pehchan viksit kar leta hai aur vastvikta se alag usi pehchan mai jine lagta hai.

Tanav ko ab aap halke mai lena band kijiye, kyuki agar yeh sthai tor par aap par havi raha, to aapki pratirakshak koshikaye mai badlav kar yeh ‘Schizophrenia’ jesi gambhir bimari ka karan ban sakta hai. Yeh bimari jab baccha garbh nai hota hai uss samay neuron maime hui gadbadi se hoti hai.

World ke 1% population iss bimari se grasit hai aur ye bimari 15 se 25 ki umra wale logo mai jyada payi jati hai. Par Kabhi-Kabhi Symptoms of Schizophrenia 12 se kam age wale baccho mai bhi dikh sakti hai. Aaiye jante hai iss bimari se bachne ke kuch khas upay:-
 

Schizophrenia Symptoms: Janiye Iss Bimari Ke Lakshan

 
Schizophrenia Symptoms
 
Schizophrenia ke kai prakar paye gaye hai aur har ek prakar dusre se alag hota hai. Jab hum iss bimari ki baat karte hai to pehli baat humare dimag mai aati hai paranoid personality ki. Iss prakar ke marij ek chote samuh mai rehna pasand karte hai aur unhe aisa lagta hai ki log unhe pasand nahi karte. Agar inki baat koi nahi manta to yeh chid kar apne kaam mai man lagana chod dete hai.
 
You may also like: Home Remedies for Depression: Tanav se Paaye Chutkara
 

  • Schizophrenia se grasit logo ki soch mili juli hoti hai jisse ki vo apni soch ko na hi sahi disha mai le ja pate hai aur na hi kisi parinaam tak pahuch pate hai. Iss prakar ki mili juli soch lucination aur delusion ko janm deti hai.
  • Residual schizophrenia wah stithi hai jo normal schizophrenia jesi stithi nahi hai lekin iss bimari se grasit log jivan mai apni ruchi kho dete hai. Iske marij bahut hi sust aur udasin hote hai.
  • Delusions, Hallucinations, lack of motivation, social withdrawal, thought disorders, disorganized speech aur disorganized behaviours ye sab iss bimari ke pramukh lakshan hai.

 

Schizophrenia Ka Nidan

Schizophrenia ka Nidan, rogi ke lakshan ko dekhkar kiya jaata hai. Yadi doctor ko kisi tarah ka sandeh najar aata hai to wo rogi ke chikitsak aur manorog itihas ke bare mai janne ki koshish karte hai.
Kuch parikshan kiye jaate hai, jisse ki yeh jaana ja sake ki Schizophrenia hone ke piche ka karan kya hai. Parikshan ke liye niche diye gaye udaharan shamil hai:-
 

  1. Rakt Ki Jaanch
  2. Imaging Adhyan – Mastishk mai tumor ki sarachna aur anya samasyao ko janne ke liye
  3. Manovegyanik Mulyankan – Isme visheshgya rogi ki mansik stithi ka aaklan karte hai. Iske liye we rogi se kai sawal puchte hai jaise rogi ke vichar, mood, aatmahatya ke tarike unki hinsak pravattiya aadi.

 

Jo vyakti pehli bar iska shikar hota hai, wo bahut hi apriya ho sakta hai. Use theek karne ke liye ek lamba samay lag sakta hai. Isliye isse pidhit vyakti ko apne pariwar, dosto se pura samarthan milna jaruri hai.

Kabhi kabhi pariwarik itihas ke chalte bhi iski samasya dekhne ko milti hai. Jab pariwar mai isse grast koi vyakti hai to iske hone ke chances kitne hote hai yaha dekhiye:-
 


Pariwar Ke Prabhavit Sadasya Iska Anumanit Zokhim
Bina Pariwarik Itihas Ke 1%
Ek Maa Ki Santan 7-10%
Maata Ya Pita Kisi Ek Ko 7-16%
Dono Abhibhavak Less than aur Equal to 50%
Dusra Rishtedar 2-5%

 

Schizophrenia Treatment: Janiye Iss Bimari Se Bachne Ke Upay

  1. Symptoms of Schizophrenia se grasit marij ko antipsychotic drugs diya jata hai. clozapine drugs ka istemal bahut samay se hote aaya hai aur yeh nayi dawai se bhi jyada prabhavi hai.
  2. Inn dawai ko lene ke baad bhi bimari puri tarah se theek ho jaye tab yeh tablets ka istemaal dhire-dhire band karna chahiye.
  3. Schizophrenia Treatment mai aage jakar anti-depressive, anti-anxiety aur anti-convulsive medicine ke istemal se prathmik chikitsa ke atirikt asar nahi dikhte aur bipolar mania se bhi bacha ja sakta hai.
  4. Schizophrenia jesi gambhir mansik bimari se bachne ke liye aapko thoda savdhan rehna hoga. To aaj se hi apne aapko fresh aur happy rakhne ki koshish kijiye aur ho jaiye tanav se mukt.

 

Get more details about Mental Disorder from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...