Sciatica in Hindi: Janiye Iske Lakshan aur Karan

Sciatica ko grdhrasee ke naam se bhi jana jata hai. Sadharantah disk plow, secrolytic, spinal code aur spinal tumor mai sankraman iss bimari ki sabse badi wajah mani jati hai.

Iss dard hone ka sabse bada karan hai aajkal ka galat khan pan aur jivansheli jiski wajah se kamar se judi naso mai dard hona shuru ho jata hai.

Sciatica ke karan naso mai ashaniya dard hota hai, jo dhire dhire badta jata hai. Vaise to yeh barsat aur sardiyo ke mosam mai sabse jyada prabhavit hoti hai lekin sciatica ke lakshan 50 sal ki umra ke bad hi dikhai dete hai. Kyoki kaam ke chalte kai log lagatar kai ghante kursi par baithe rehte hai, jiske karan unke kamar se lekar pairo ki naso tak dard hota hai.

Sciatica mai vyakti ke sharir mai jaha jaha haddiyo ka jod hota hai waha waha haddiya ghisne lagti hai aur iska sharir par bahut bura asar padta hai. Aaiye vistar purvak jante hai Sciatica in Hindi.
 

Sciatica in Hindi – Badhti Umra mai Hone Wali Samasya

 

 
Iss dard se pidit vyakti ko dhire dhire uthna baithna tatha chalne mai mushkil hone lag jati hai. Jiski wajah se vyakti bistar par pada reh jata hai tatha jyada dard hone par steroid ka istemal karna padta hai.
 

Sciatica Symptoms – Iske Lakshano Ko Pehchane

Yadi aap sharirik dard se gujar rahe hai to iske lakshan janna aapke liye bahut jaruri hai aur iske lakshano ko samjh kar aap iske bare mai aasani se pata laga sakte hai aur sahi illaj le sakte hai. Janiye Symptoms of Sciatica in Hindi:-
 

  1. Pairo ki maspeshiyo mai sunnpan aur kamjori mehsus hone lagti hai.
  2. Pairo ke panje mai jhanjnahat aur sunnpan mehusus hota hai sath hi jalan bhi hoti hai.
  3. Sciatica ke karan kamar ke nichle hisse mai matlab jangho par bhi iska dard bana rehta hai.
  4. Kulho mai bhi iska dard bana rehta hai aur vyakti iss dard ki wajah se so bhi nahi pata hai.
  5. Kamar se pairo ki taraf aa rahi naso mai dard hota hai aur baithte samay ya chalte samay iska dard kaafi bad jata hai.
  6. Toilet mai baithne mai mushkil hona bhi iska ek mukhya lakshan hai, tatha kamar aur piche ki taraf lagtar dard bana rehta hai.
  7. Pairo ka dard jab jyada bad jata hai to pairo ke anguthe aur ungliyo ka hilana bhi bahut mushkil ho jata hai aur pairo ko uthana bhi kathin ho jata hai.

 

Sciatica Causes in Hindi – Jane Iske Karan

Sciatica ke lakshan ko janne ke sath Causes of Sciatica janna bhi bahut jaruri hai taki jin karno se yeh pareshani hamare sharir mai ho rahi hai unka dhyan rakhkar ham iss bimari se dur rahe.
 

Galat Jivan Sheli

  • Aajkal ki aniyamit jivan sheli aur khanpan iska ek karan hai.
  • Office mai kaam karte samay ya TV dekhte samay ghanto lagatar bethna isko badhava deta hai.
  • Har thodi der mai antral na lena, iska karan banta hai.
  • Jyada der tak aaram karna bhi iss bimari ko nyota de deta hai.

 

Disk Herniation Ke Karan

  • Disk herniation ki wajah se bhi yeh samasya ho sakti hai.
  • Slipped disk bhi ek mahatvapurn karan hai.

 

Merudand mai Dard

  • Badti umra ke sath ridh ki haddi ghis jati hai.
  • Kai bar ridh ki haddiyo mai tanav hone ke karan bhi yeh samasya ho sakti hai.

 

Badti Umra Ke Karan

  • Badti umra ke karan haddiya kamjoor ho jati hai tatha bahari saman uthane mai samasya aati hai.
  • Iss samasya ke lagatar badne par aantarik naso par bura prabhav padta hai.

 

Inn Baato Ka Rakhe Dyan

  1. Jab aapko adhik dard ho to kaam na kare aur kuch der aaram kar le.
  2. Jyada uchi hil ki chappal na pehne tatha bhari saman na uthaye.
  3. Mulayam gaddo par na soye tatha garam pani ki theli se sikai kare.
  4. Jab bhi aap iss samssya se gujar rahe ho aage ki taraf jhukne se bache.
  5. Isse pidit vyaktiyo ko western toilet ka upyog karna jyada accha rahega.
  6. Rojana kuch yogasana karke aapko Sciatica Pain mai rahat milegi.

 
Upar aapne jana Sciatica in Hindi. Yadi aapko uprokt lakshan dikhai de rahe hai to iske karako ko jane aur turant chikitsak se sampark kare.

Loading...

This website uses cookies.