Sehat ke Liye Faydemand Hai Bathua (Goosefoot)

Bathua har ghar me khaya jane wala aam saag hai jisse aap iske bina swasth Laabh jane hi kha lete hai. Isme bahut se Vitamin A, Calcium, Phosphorus, aur Potassium paya jata hai. Aaiye jante hai Goosefoot ke dhero anmol fayde jisse aap swasth jivan ji sakte hai.

Ye ek green vegetable hai jo nitrogen yukt mitti me ugti hai. Sadiyo se iska upyog kayi bimariyo ko dur karne me hota raha hai. Asia samet yeh America, Europe aur Australia me paya jata hai.

Bathua ho hamesha ek limit me khana chahiye kyuki isme oxygelic acid ka level bahut high hota hai. Ise jyada khane se diarrhea bhi ho sakta hai. Iske alawa ayurveda me pregnanct lady ko yeh salah di jati hai ki iska sevan na kare nahi to miscarriage hone ki sambhavna jyada rehti hai.

Par agar kaam ki baat kare to yeh bade aur bacche sabhi ke liye bahut hi faydemand hai kyuki ise khane se kai tarah ki bimari me Laabh milta hai. Chahe aniyamit periods ho, kabj, mokhik swasthya ya phir baal ye sabhi chizo ko sehatmand banata hai. Aaiye jante hai iske swasth laabh ke bare me.

Bathua (Goosefoot): Banaiye Apni Sehat aur Rahiye Swasth

 

You may also like: Oregano Benefits: Ajwain Leaves ke Swasthvardhak Laabh

  • Baalo ko Banaye Sehatmand

    Baalo ka original color banaye rakhne me Goosefoot (Chenopodium) amla se kam gunkari nahi hai. Sach puchiye to isme Vitamin aur Khanij tatva ki matra amla se jyada hoti hai. Isme Iron, Phosphorus aur Vitamin A aur D ki prachur matrame paye jate hai.

  • Daanto ki Samasya me Asardar

    Goosefoot Leaves ko kaccha chabane se muh ka ulcer, smell, pyorrhea aur daanto se judi anya samasyao me bada fayda hota hai.

  • Kabj ko Kare Dur

    Kabj se rahat dilane me bathua behad karagar hai. Lakwa, gas ki samasya aadi me bhi yeh atyant laabhprad hai.

  • Pachan Shakti Badata Hai

    Bhukh me kami aana, bhojan der se pachna, khatti Dakar aana, pet fulna jesi mushkile dur karne ke liye lagatar kuch week tak bathua khana kafi faydemand hota hai.

  • Bavasir ki Samasya se Dilaye Nijaat

    Subah sham goosefoot khane se bavasir me kafi Laabh milta hai. Tilli (Spleen) badne par kali mirch aur sendha namak ke saath isko ubal le. Dhire-dhire tilli ghat jayegi.

  • Pet ke Keede Nasth Karta Hai

    Baccho ko kuch dino tak lagatar isko khilaya jaye to unke pet ke keede mar jate hai aur unko bahut aaram milta hai.

  • Jaundice

    Isko aur giloy ke ras le kar ek simit matra me dono ko milaye, phir iss mishran ka 25-30 gm roz din me 2 baar le aur jaundice ki samaysa se dur rahe.

  • Aniyamit Periods

    Goosefoot Seed aur sonth mila kar powder banaiye. Phir 400 gram liter pani me 15-20 gm powder mila kar uss pani ko ubal kar 100 gram kar lijiye. Phir ise chaniye aur din me kam se kam 2 baar pijiye. Aisa karne se aapko bahut jald aaram milega.

  • Prasav ke Baad Sankraman ko Thik Kare

    Yadi aap abhi abhi prasav se uthe hai aur uske baad ke sankraman se pareshan hai to 10 gm bathua, ajwain, methi aur gud le kar mila lijiye. Ise 10 se 15 din tak lagatar khane se iss pareshani me Laabh milega.

  • Mutra Sankraman me Laabh Dilaye

    Kya aap mutra sankraman se pareshan hai to roz 10 gm Bathua ki patti ka ras le kar usme 50 ml pani milaye. Iss mishran ko mishri ke saath har roz khaye. Isko khane se avashya Laabh milega.

  • Khoon Saaf Kare

    Isko niyamit roop se khane se khoon saaf hota hai saath hi ye khoon bhi badata hai. Yadi isko roz 4-5 neem ki pattiyo ke ras ke saath khaya jaye to khoon andar se shuddh ho jata hai.

Upar aapne jane Goosefoot ke dhero fayde. Iska niyamit roop se sevan kare aur dhero bimari ko dur kare taki aap ji sake swasth aur khushaal jivan.

Get more update about Bathua Benefits from Food.

Loading...

This website uses cookies.