सेक्स लाइफ को बेहतर बनाने में सहायक है शतावरी के फायदे

Shatavari ek aushadhiya podha hai jiska ullekh ayurveda me kiya gaya hai. Iska vanaspati naam Asparagus Racemosus hai. Iska prayog kai prakar ke rogo me kiya jata hai. To aaiye aise hi rogo ko bhagane ke Asparagus Health Benefits ko jankar iske aise gun jo aapki har bimari ko bhagane me sahayak hai.

Yeh podha tamam tarah ke female rog jese Baanjh Pan, Garbh Paat ya Maa ke dudh me kami ko pura karta hai. Ayurveda me shatavari ki pattiyo aur jado ko shurajann, shital, madhur aur diyva rasayana mana gaya hai.

Purane jamane me Shatavari ko mahilao ki jadi booti mana gaya hai, halaki yeh podha purusho ke hormone level ko bada kar unki sexuality level me ijhafa kar sakta hai. Aaiye jante hai Shatavari Health Benefits, jo ki aapko kis tarah swasth bana sakta hai.
 

Asparagus Health Benefits: Janiye Shatavari ke Behatrin Swasth Laabh

 

1) Shaktivardhak

Asparagus ke patto ke ras me 2 spoon dudh mila kar roz sevan karege to ye aapko shakti pradan karega.
 

 
You may also like: Broccoli Benefits: Isme Chupe Hai Swasth Sehat Ke Raaz
 

2) Vajan Kam Kare

Mahilao me masik dharm ke douran atirikt pani ki vajah se jo vajan badta hai asparagus use kam karti hai.
 

3) Maa Ke Stan Ka Dudh Badhaye

Maa ko yadi dudh ki nahi aa pata hai yak am aata hai to shatavari ki jado ke churana ka sevan din me kam se kam 4 baar avashya karna chaiye. Isse aapko fayda milega.
 

4) Diabetes

Iski jado ke churna ka sevan bina sugar ke kare. Dudh ke saath iska niyamit sevan kare, ye aapke liye kafi faydemand sabit hoga.
 

5) Bukhar ya Jalan

Asparagus Health Benefits aapke bukhar, jalan ya pet ke alsar ko dur karti hai. Isko giloy ke saath lene se bhi fayda milta hai.
 

6) Bimariyo ka Naash Kare

Yeh ek laabhkari jadi-booti hai jo, Typhoid, Cholera, aadi bimari se lad sakte hai.
 

7) Sundarta Nikhare

Shatavari me Vitamin A hota hai jo ki twacha ki sundarta ko nikharta hai. Yeh chehre se wrinkles ko mitata hai.
 

8) Migraine Dur Kare

Shatavari ki taazi jad ko mota-mota kut le, iska ras nikale aur isme barabar matra me til ka tel milakar paka le. Iss tel ko migraine aur sar dard me lagaye aur laabh dekhe.
 

9) Cancer ke Liye

Asparagus me anti-oxidant hota hai, jo ki cancer rogi ke liye faydemand hota hai. Isme Vitamin A,B,C, Potassium aur Zinc paya jata hai. Isme histone namak protein paya jata hai jo ki cancer ke upchar me yogdan dete hai.
 

10) Prajnan Kshamta Badaye

Yeh garbh ko puri tarah se poshan pahucha kar prajann rate ko badata hai. Aur Asparagus Health Benefits ke dwara aap apna reproductive system proper kar sakte hai.
 

11) Anidra Ki Samasya Ko Dur Kare

Jo log anidra ki samasya se pareshan hai unhe shatavari ka sevan karne par fayda milega. Shatavari ka 5 se 10 gm churan ko ghee ke sath ya fir dudh mai dalkar pine se nind na aane wali pareshani dur ho jati hai.
 

12) Peshab ya dast mai Khun Aane Par

Yadi aapko peshab ke sath ya dast ke sath khun nikalta hai, to shatavari ko dudh mai milakar piye. Aapko iss samasya se nijat mil jayega.
 

13) Kabj Se Nijat Dilaye

Aapko kabj ya apach ki pareshani bani rehti hai to aap shatavari ka sevan kare isse aapka pachan tantra majboot hoga, aapka khana acche se pach jayega aur kabj ki samasya dur ho jayegi.
 

14) Yon Iccha Ko Badaye

Shatavari mai aphrodisiac hota hai jo vyakti ki yon iccha ko badane mai sahayak hota hai, aap raat ko sone se pehle dudh mai milakar ise pee sakte hai.
 

Shatavari mai Moujud Tatva

Nutrients Quantity
Vitamin K 80mg
Vitamin A 15 %
Vitamin C 9 %
Calcium 2 %
Iron 12 %

 
Upar aapne jane Shatavari Health Benefits jo aapko dega kai guno se bharpur aushadhi. Iske sevan se aapka swasth bilkul thik rehta hai.
 
Get more update about Asparagus Benefits from Food.

Loading...

This website uses cookies.