Shikakai Benefits: Ghane Baal Banana Huya Aasan

Shikakai (Acacia Concinna) ek adbhut jadi buti hai jisko baalo ki dekhbhal ke liye saalo se istemaal kiya ja raha hai. Ye ek atiavashyak chiz hai jiski madad se aap sundar dikh sakte hai. Aaiye jante hai Shikakai Benefits aur banate hai baalo ko sundar.

Har mahila ki iccha hoti hai ki uske baal kale, chamakdar aur mulayam ho, lekin ye itna aasan nahi hai, adhiktar mahilao ke liye ye ek sapna hota hai, lekin hum aapko ek aesi cheez ke bare me batane ja rahe hai jiska istemaal baalo ke  liye bahut hi faydemand hai.

Kya aap bhi baki ladkiyo ki tarah lambe aur ghane baalo ke sapne dekhti hai? Kya laakh koshish karne ke baujud aapke baal patle aur bejaan hai? Aur dekhe bhi kyu nahi. Lambe, majboot aur sundar baal har ladki ka sapna hota hai.

Wese bhi lambe baal humesha faishon me rehte hai. Aise hi baal pane ke liye aapke paas ek aasan rasta hai, Shikakai. Iske istemaal se aap apne baalo ko jesa banana chahte hai vesa roop de sakte hai.
 
Shikakai Benefits
 
Iska istemaal barso se baalo aur scalp ke liye kiya jata raha hai. Shikakai baalo ke liye cleanser ka kaam karta hai. Iska istemaal sabun ke roop me aasani se kiya ja sakta hai.
 

Shikakai Benefits in Hindi: Baalo ke Liye Bahut Hi Asardar

Niche hum aapko batane ja rahe Shikakai (Acacia Concinna) ke bahumulya fayde, jiski madad se aap apne baalo ko sundar aur majboot bana sakte hai. Aaiye jante hai iske dhero fayde:

  • Cooling Hair Pack:

    Shikakai ek soothing-cooling hair pack banana ke liye perfect ingredient hai. Aamtour par Shikakai, amla, dahi ko milakar ye pack taiyar kiya ja sakta hai aur puri garmiyo me iska istemaal kiya jaye to ye aapke liye bahut hi faydemand ho sakta hai. To garmiyo me iss pack ka istemaal kare aur rahe cool aur attractive.

  • Dandruff se Chutkara:

    Shikakai dandruff ki samasya ke liye samadhan hai. Isme anti-fungal, anti-bacterial aur nutritional tatva moujud hote hai. Ye aapko dandruff se chutakar dilane mai madad karte hai. Iske niyamit istemaal se aapke kandhe par bikharne wale dandruff se chutkara milta hai. Isse sahi dhang se chutkara pane ke liye Shikakai Soap ka istemaal jarur kare.

 
You may also like: Home Remedies for Straight Hair, Baalo ko Seedha Kijiye
 
  • Grey Hair ki Samasya Dur Hogi:

    Kuch logo ko kafi kam umra me hi grey hair ki samasya ho jati hai. Yani unke kuch baal safed hone lagte hai. Iska sabun ka istemaal karke aap apne baalo ko prakritik roop se kala rakh sakte hai. Isse baalo par ageing ke prabhav dikhne kam ho jate hai.

  • Baal Ghane Hote Hai:

    Baal jhadna kisi bhi ladki ke liye bure sapne jesa hota hai. Lekin aap baalo ke jhadne ki iss samasya par rok lagakar apne baalo ko ghana bana sakti hai. Aisa karne me aapki madad karega Shikakai. Iske aapke baalo ko avashyak poshan milta hai aur aapke baal ghane ho sakte hai.

Shikakai Benefits for Hair

  • Majboot Baal:

    Agar aapke baal majboot nahi hai to wo tutege aur jhadege. Baalo ki kamjori ki vajah se bahut se logo ke liye to kangha karna tak mushkil ho jata hai. Shikakai iss samasya se aapko nijaat dila sakta hai. Isse baalo ko majbooti milti hai. Ye baalo ki growth ko naturally bada deta hai.

  • Choti Choto me Aaram:

    Shikakai me aushadhiya tatva hote hai. Scalp me lage chote-mote cut aur kharoche ka ilaj isi Shikakai se ho jata hai. Agar aisi choto me aap shampoo aur dusre lotion lagate hai to aapki twacha ko aur nuksaan pahuch sakta hai. Par ye aisio choti choto ko thik karta hai aur aapko sundar banata hai.

  • Cleanser:

    Shikakai baalo ke liye ek bahut accha cleanser ka kaam karta hai. Ye scalp ki safai karta hai jo baalo ki growth ke liye bahut accha hai. Iska istemaal se aapke scalp me chemical bhi nahi pahuchta jisse baalo ka swasth sunischit hota hai.

 

  • Sar mai Khujli:

    Shikakai aapke baalo ko swasth banane mai madadgar hai. Isme antifungal gun moujud hote hai. Inhi guno ki wajah se isse rusi ki samasya bhi nahi hoti hai. Sath hi jin logo ke sar mai sukhapan ho raha hai ya fir papdi jam rahi hai, unke liye bhi shikakai faydemand hai.

 

  • Shikakai Sabun:

    Yadi aap working hai aur aapke pass shikakai ko kutkar, peeskar shampoo banane ka wakt nahi hai to aap bajar se redimate shikakai shampoo la sakti hai. Yeh baalo ki acche se safai karta hai. Yaha tak ki isse sar ki twacha bhi acche se saaf ho jati hai. Yadi aap baalo ko iss sabun se dhote hai to aapko conditioner ka istemal karne ki jarurat bhi nahi hoti hai.

    Aap shayad nahi jante honge lekin shikakai mai vitamin C aur Vitamin D hota hai. Isliye ise lagane se baalo mai acchi khasi chamak aa jati hai.

 

Amla, Reetha aur Shikakai se Ghar Par Banaiye Shampoo

Upar aapne jane Shikakai Benefits, ab hum aapko herbal shampoo banane ki vidhi batane jaa rahe hai jisse aap ghar par hi aap Shikakai, amla aur reetha ke saath shampoo bana sakte hai.

Ghar me banaye gaye prakritik shampoo bazaar me bikne wale anya shampoo ke mukable kahi behtar hote hai. Yeh herbal shampoo banane me aasan hote hai aur baalo ke liye bhi acche hote hai. Aap iss shampoo ko apne hisaab se bhi bana sakte hai. Aaiye jante hai iski sahi vidhi:

  • Raat bhar amla, reetha, shikakai ko alag alag bartano me pani daal kar bhigo de. Subah baal dhote vakt pani ko chhan le aur usse sir dho le. Iss shampoo se sar me roosi, rukhapan aur baal jhadna ruk jayga.
  • Shikakai, bhringraj aur amla powder le aur garam pani me mila le. Uske baad usme nimbu ka ras aur sirka mila kar 30 minute tak aise hi rakhne ke baad baalo ko dho le. Isse scalp ki samasya aur roosi dono hi gayab ho jayegi. Isko jyada dino tak istemaal karne ke liye freeze me rakhe.
  • Lagbhag ek matra me reetha, shikakai, sukha amla ur brahmi ki pattiyo ko pani me ubal le. Isko chhan le aur baalo me laga le. Yeh herbal shampoo conditioner ka bhi kaam karta hai.
  • Raat bhar sukha reetha pani me bhigoye aur subah usko piss kar pani nithar le. A buss ghol me Shikakai Shampoo dale aur acche se mix kar ke baalo me lagaye. Aap chahe to iss ghol ko apne shampoo me mila kar bhi laga sakti hai. Isse aapko bahut fayda milega.
  • 24 ghante ke liye 1 liter pani me amla, reetha aur shikakai ko bhigo de. Phir iss ghol ko ubal kar thanda kar le. Ab isme sirka mix karke baal ko dhoye.

 

Ghar Par Aese Banaye Shikakai Hair Wash Powder


Jaruri Samagri Iska Fayda
500gm Shikakai+ 100 grams of Reetha Baalo Se Gandagi Hataye
500gm Shikakai+ 250 grams of Methi Damage Baal Repair Kare
500gm Shikakai+ Tulsi Ki Kuch Pattiya Juye aur Rusi Hataye
500gm Shikakai+ 250 grams Moong Bean Baalo Ko Badhaye

 

Dekhiye Baal Badane ke Liye Video

Upar aapne jane Shikakai Benefits. To aaj se hi iska istemaal kare aur banaiye baalo ko mulayam aur Ghana, taki aap sundar aur attractive dikh sake.

Hair Growth se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.

Loading...

You may also like...