Ghar ke kaam kaj ke saath mansik tanav aur dinbhar ke kai karyo ko karne ke baad badan tutne lagta hai. Aise me Shoulder Pain hona bahut hi aam baat hoti hai. Har kisi ko jyada thakan ke baad sabse jyada kandho me hi dard hota hai. Kandhe ka dard hone par aap har baar doctor ke paas nahi ja sakte hai, isliye ghar par hi iske upchar ko apnana chahiye.
Sabse pahle aapko Shoulder Pain hone ke karan ko samjhna hoga. Thakan ke karan sharir ki mashpeshiya dard karne lagti hai, unme tanav aa jata hai. Aur vah kisi bhi prakaar ka kaam karne me asamrath ho jati hai hai. Aise me sharir ko aaram ke saath kuch upchar ki sakt jarurat hoti hai.
Har bar doctor ke paas bhagne se accha hai, ki aap khud se apna dhyan rakhe aur dard hone par kuch gharelu upchar ko apnaye. To chaliye hum aapko batate hai, Shoulder Pain Treatment.
Shoulder Pain Treatment: Gharelu Upchar se Kandhe ka Dard Bhagaiye
Ice Pack
• Shoulder me hone vale dard me ice treatment bahut faydemand hota hai.
• Ice pack banye aur use dard hone vali jagah par lagaiye. Jisse aapko kafi had tak rahat milega.
You may also like: Home Remedies for Back Pain: Kamar Dard ke Gharelu Nuskhe
Massage Le
• Kandho par halke hatho se massage karo, isse bahut aaram milega. Yeh dard me rahat pane ke liye sabse accha tarika hota hai.
• Isse mashpeshiya ko aaram milta hai aur rakt ka sanchar bhali bhanti hota hai.
Aaram Kare
• Dard hone par bhi kai log lagatar kaam karte rahte hai, vo kaam nahi karate hai, balki apne liye musibat khadi kar lete hai.
• To jab bhi dard ho to aaram kare. Aaram karne se sharir ko rahat milti hai.
Smoking na Kare
• Shoulder Pain Treatment ki baat kare to yeh iska bahut accha upay hai ki, agar aap smoking karte hai to karna chhod dijiye.
• Aise karne se sharir me rakt ka sanchar acchi tarah hoga aur aap is problem se jaldi hi chutkara pa sakte hai.
Takiya na Lagaye
• Kai bar galat tarike se takiye lagane se bhi dard hone lagta hai.
• Kandhe me dard hone par takiye na lagaye ya phir soft takiye ka use kare.
Rosemary
• Rosemary ek phul hai, jo ki kandhe ke dard me bahut faydemand hota hai.
• Ise ubal kar iska kadha peene se kafi had tak laabh milta hai.
Stretching Kare
• Kandhe me dard hone par stretching kare. Isse aapko dard me rahat milegi.
• Saath hi dhyan rahe ki bhari weight uthane se bache.
Apni Mashpeshiyo ko Feed Kare
• Kai bar kandhe me dard, mashpeshiye ki kamjori ki wajah se hone lagta hai. Aise me aap dard ko dur karne ke liye protein, calcium aur vitamin ka oral sevan start kar de.
• Isse aapko jaldi pain me rahat milegi.
Upar aapne jana Shoulder Pain Treatment. Jisse ki aap jaldi inn upchar ko apna kar kandhe ke dard se rahat pa sakte aur ek swasth life ko enjoy kar sakte hai.
See more details of Shoulder Pain from Diet and Fitness.