Humare sharir ko sakriya rakhne ke liye 8 ghante ki neend kafi hoti hai. Lekin kuch log aise hote hai, jo ki neend ko itna pasand karte hai ki vo bistar se uthane ka naam hi nahi lete hai. Vese kuch logo ke liye jyada sona kaam se chutkara pana ka ek saral tarika hota hai. Lekin kya aap jante hai ki, oversleeping aapki health ke liye bahut nuksaan dayak hota hai.
Vese jab hamare pass koi kaam nhi hota hai tab hum der tak sote rahte hai. Ek study ke douran ptaa chala hai ki, adhik sone vale vyakti jyada sust hote hai tatha ve log rojmarha ke kaamo ko theek se nahi kar pate hai. Kuch log sochte hai ki jyada sone se unhe aaram milega lekin yeh galat hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Side Effects of Oversleeping.
Side Effects of Oversleeping: Jyada Sona bhi Hota Hai Kharab
Diabetes
Ek study ke douran ptaa chal hai ki, jo log 9 ghante se adhik sote hai. Unhe diabetes hone ka khatra hota hai. Ve log kam umar me hi is bimari se grasit ho jate hai.
You may also like: Symptoms of OCD: Dimagi Vaham Hone ke Lakshan
Askriya Jivan
Adhik neend lene se aap sust rahte hai tatha aapke sharir me energy fats ke roop me jam jata hai. Jisse ki aapka jivan askriya ho jate hai aapke jivan me alas se bhar jata hai.
Motapa
Jyada sone vale ka motapa bahut jaldi bad jata hai. Jiske karan vah bahut si bimari se grasit ho jate hai. Saath hi yeh motapa jaldi se kam bhi nahi hota hai.
Sar dard
Sukun ki neend kise pyari nahi hoti hai. Lekin kya aap jante hai ki sukun aapke liye sar dard ka karan bhi ban sakta hai. Jyada sone ka asar sidhe aapke Brain ke neurotransmitters par padta hai, jiske karan aapko sar dard hota hai.
Kamar Dard
Side Effects of Oversleeping ki baat kare to yeh iska sabse bada nuksaan hai ki, ghanto tak sidhe sone se hamari kamar akad jati hai. Jiske karan hamari nase bhi akad jati hai tatha hamare khoon ka dour bhi theek nahi rahta hai. Jo ki aage chal kar ek badi problem ban sakta hai.
Gangrene
Kuch log gangrene ke karan bhi adhik sona pasand karte hai. Vo sochte hai ki adhik der tak kamre me sone se har masle ka hal nikal jayga lekin aisa nahi hai.
Heart Diseases
Adhik sona aapke heart ke liye bahut nuksandayak hota hai. Study ke douran ptaa chala hai ki jyada samay tak sone vale vyakti ko heart rogo se grasit hone ki sambhavna adhik hoti hai.
Sleep Drunkenness
Jyada sone se aap sleep drunkenness ka shikar ho jate hai. Tab aapka mann jagte huye bhi soti huyi avastha me rahta hai. Yeh hi karan se aadhik sona aapke swasth ke liye hanikarak hota hai.
Upar aapne jane Side Effects of Oversleeping. To bas dhyan rahe ki, jarurat se jyada neend na le aur swasth rahe.
See more details of Oversleeping from Diet and Fitness.