Side Effects of Weight Loss Pills – Sharir Ke Liye Nuksandayak

Aajkal har vyakti chahe wo kisi bhi umra daraj ka ho apne aap ko fit banaye rakhna chahta hai, jiski shuruvat wo vajan kam karne se karta hai. Iske liye woh koi bhi rasta chunne ka prayas karta hai, taki uska vajan kam ho jaye aur isi vajan kam karne ki chah mai log vajan kam karne wali davaiyo ka sevan karne lag jate hai.

Yeh davai aapka vajan to kam kar deti hai parantu kuch samay bad inke dushparinam dikhne lagte hai aur yeh ek gambheer samasya ka rup le leti hai. Inn davaiyo ko lene ka karan yeh hota hai aap vyayam nahi karna chahte aur vajan bhi ghatana chahte hai.

Jaldi vajan kam karne ki chah mai aap inn davaiyo ka sevan karne lagte hai. Lekin jaldi vajan kam karne wale inn supplements ke atirikat prabhavo ke bare pata hona bhi aapke liye bahut jaruri hai. Aaiye jante hai Side Effects of Weight Loss Pills ke bare mai taaki  inse hone wale dusprabhav se bacha ja sake.

Side Effects of Weight Loss Pills: Jane Davao Ke Dushprabhav

Side Effects of Weight Loss Pills

Apachay Tatha Dast Lagna

Yadi aap vajan ko kam karne ke liye weight lose pills ka sahara le rahe ho to khana ko pachane mai kai dikkato ka samna karna pad sakta hai. Inn davaiyo ko lene se sabse aam jo samasya hoti hai wo hoti hi gas ki samasya. Kyoki inn davaiyo ka jab aap sevan karte hai to pet mai jami hui charbi to ghat jati hai kintu apchaya aur dast lagna shuru ho jate hai. Jab yeh pareshani sharir par asar karti hai to sharir mai vitamin ki kami hone ki sambhavnaye bad jati hai.

You may also like:- Zumba Dance for Weight Loss – Vajan Ghatane mai Madadgar

 

Nind Na Aane Ki Samasya

Shodkartao ke dwara pata chala hai ki Weight Loss Drugs ka sevan karna aapke nind par bhi kaafi prabhav dalta hai. Inn davaiyo ko lene se aapki nind har thodi der mai tut jati hai jisse ratbhar aaram ki nind nahi le pate aur iss wajah se aap dinbhar thakan ko mehsus karte hai. Inn davaiyo se nind na aane ki samasya gher leti hai aur iss wajah se kai aur bimariya aapke sharir par havi ho jati hai.

Bhukh mai Kami Hona

Vajan ko kam karne wali davai ko lene se aapki bhukh lagne mai kami hone lag jati hai, tatha jab aap lambe samay tak khana nahi khaoge to aapko bhukh lag rahi hai ya nahi iska ehsaas bhi hona band ho jata hai. Inn davaiyo ka sevan karne se bhukh ko sahan karne ki shamata bad jati jati hai. Jisse aapko dil sambandhit kai bimariya ho sakti hai tatha vajan kam karne wali davaiyo ko lene se raktchaap asaman rup se sharir mai badne lagta hai. Aur bade huye raktchap ke karan dhamniyo mai rakt ka thakka jamne lagta hai. Iske atirikt jab aapko bhukh nahi lagti hai to nind mai kami hone lag jati hai.

Gurdo mai Kharabi

Motapa ghatane wali davaiyo ka sevan karne se liver par sabse jyada iska dusprabhav hota hai. Iska prabhaa shuruwati dour mai to nahi dikhta kintu kuch samay baad inka nakaratmak prabhav dikhne lag jata hai. Gurde kharab hone ka mukhya karan oxalic acid dheere dheere karke aanto mai jamne lag jata hai, aur jamav itna bad jata hai ki isse gurde kharab hone lag jate hai. Iske alawa inn davaiyo ko lene se gurdo mai pathri ki bimari hone ki sambhavnaye bhi bad jati hai ya fir patri bhi ho sakti hai.

Thakan aur Kamjori Ka Ehsas 

Supplements for Weight Loss ki baat kare to jab aap in davaiyo ka sevan karte hai to kai baar aapko thakan aur bimar bimar hone ka ehsaas hone lagta hai. Aapko pure din kamjori ka ehsas hoga, tatha kai baar yeh kamjori ka anubhav heart attack hone ki sambhavnao ko bada deti hai. Aapke hath pairo mai dard ya kai logo mai sujan bhi aa jati hai.

You may also like:- Weight Loss Mistakes in Hindi: Inn Galtiyo Ko Karne Se Bache

 

Cancer Ki Bimari

Shodhkartao ke anusaar pata chala hai ki charbi ko ghatane wali davaiyo ka sevan karne wale logo mai agnashya cancer hone ka khatra bad jata hai. Inn davaiyo ki sahayata se cancer koshikaye aakar mai badne lagti hai. Jisse cancer failne lagta hai tatha inse cancer koshikaye bahut jaldi sakriya ho jati hai.

Jane Kuch Anya Dusparinam

  1. Inn davaiyo ke sevan se sar mai dard hone ki samasya bani rehti hai.
  2. Jab aap inka sevan karte hai to pet mai dard ho sakta hai.
  3. Vajan ghatane ki davai ko khane se gala aur muh sukha sukha mehsus hota hai.
  4. Kai logo ko inn davaiyo ko rojana khane se iski lat si lag jati hai jo ki ek nasha ka rup le leti hai.
  5. Iske alawa inn davaiyo ke sevan se uccha raktchaap ka khatra bhi badh jata hai.
  6. Jaisa ki aapko bataya gaya hai inn davaiyo ko jab khate hai apchaya ki samasya hoti hai jisse pet mai kabj bhi hone lagta hai.

Upar aapne jana Side Effects of Weight Loss Pills. Yeh hamare sharir ke liye kisi bhi tarah se sahi nahi hai isliye dhyan de ki inn davaiyo ka sevan karne ke bajaye vajan kam karne ke liye aap apni dincharya mai vyayam shamil kare taki bhavishya mai hone wali inn sab bimariyo se aap bache rahe.

Loading...

You may also like...