Hamara bharat ek aisa desh hai jaha pradushan ki samasya ke karan sinusitis bimari ki samasya aam baat hai. Aise bhayawah pradushan ke chalte jyadatar logo ko Sinusitis ho hi jata hai. Iske alawa aapko jaldi thand lag jaane ki problem hai to sinusitis ka dard aur pareshani ka samna karna hi padega.
Sinusitis ek swasth samasya hai jise puri tarah se thik nahi kiya ja sakta. Halaki aap kuch Gharelu Nuskho se iss bimari ke prabhav ko kam kar sakte hai, saath hi niyamit inn nuskho ko apnane se aap naak ki allergy ka ilaj kar sakte hai. To aaiye aur jane yeh faydemand Gharelu Nuskhe for Sinus in Hindi.
Home Remedies for Sinus: Jane Prabhavi Gharelu Upchar
Sinusitis ke gharelu upcharo ko janne se pehle ham aapko yeh batana chahenge ki yeh kya hai aur iske lakshan kya hai. Tabhi aap iss bimari ko pehchankar iska sahi samay par illaj kar payenge.
Kya Hai Sinusitis?
Sinusitis sinus ki sujan (aur jalan) ke liye chikitsa shabd hai, aur aamtour par yeah sankraman ke karan hota hai. Sinus chehare ki haddiyon ke bheetar hawa se bhare rikt sthan hote hain aur gaal, maathe aur ankhon ke aaspas me sthit hote hain. Sinuses ek dusre se sankeern bhag Ostia ke madhyam se naak aur gale se jude hote hai.
Symptoms of Sinus in Hindi – Jane Iske Lakshan
Prathamik avastha mai sinusitis ke bahut se lakshan ho sakte hai jaise ki:-
- Naak band hona, sir dard hona, gadha ya ghana cough nikalna, khansi aur sine mai congestion, pure chehre mai dard hona, gale mai dard, swad aur gandh lene ki shakti ka kam hona aadi.
- Iske alawa yadi aap bheedbhad mai jate hai aur hamesha aapko sar-dard ya fir apni aankho ke aaspas sujan mehsoos kar rahe hain, to sinusitis ka laskhan hai.
- Sharirik stithi jyada bigad jane par yeh lakshan bhi ho sakte hai jaise ki bukhar, thakan, saans mai badbu, jabdo mai dard aadi pareshaniyo ka samna karna pad sakta hai.
- Aesi halat me dhool mitti aur dhumrapaan se Sinusitis ke marijo ko dur rehna chahiye. Saath hi adhik matra mai pani pina chahiye.
You may also like: Gharelu Nushke: Bukhar ka Rambaan Ilaj
Gharelu Nushke: Sinusitis ki Bimari Se Paye Nijat
Tulsi (Ocimum Tenuiflorum)
Gharelu Nuskhe mai aushadi roopi tulsi ke bahut se fayde hai. Das tulsi ke patto, das kaali mirch aur thoda sa adrak le. Ab inn sab ko acchi tarah se piss le, 250 ml pani mai iss mishran ko dalkar aadha ho jaane tak ubale. Isko chhaankar din mai 3 baar piye. Lekin iss baat ka dhyan rakhe ki kaadhe ko khana khane ke 2 ghante baad hi piye. Iss kadhe ko pine se sinusitis ki samasya aur dard mai rahat milti hai.
Jeera (Cumin)
Do cup pani mai ek chhota chamamch jeera ke kuch daane, thoda sa adrak aur tulsi ke kuch patto ko dalkar acchi tarah se ubaal le. Iss garam garam kaadhe ko din mai 2-3 bar garma-garam piye, jisse sinusitis ke infection se ladne aur congestion ko kam karne mai hame madad milti hai.
Methi (Fenugreek)
Methi synusitis jaise vibhinn rogo ke upchaar me upyogi hain. Methi ke daane lekar use chai mai milakar ubaal le. Iske pashchaat, swadanusar chai mai shahad bhi mila sakte hai. Iss tarah se bani hui garam chai ko niyamit roop se pine par Sinus ke dard se chhutkara milta hai. Yeh ek faydemand Remedy for Sinusitis hai.
Eucalyptus
Eucalyptus ke ped se nikale huye tel ke anek gun hai. Eucalyptus ke tel ki kuch bunde ek bartan mai daal kar uski bhaap le. Isse dard se chhutkara milne sath hi cough bhi kam ho jata hai.
Pani (Water)
Agar aapko is samasya ko kaabu mai rakhna hai to adhik paani piye. Isse mutra sambandhi koi vikar nahi hota hai. Iske alawa karib aadha litre pani mai ek chammach namak aur baking soda milakar uss paani se naak dhone se bahut rahat milti hai.
Upar aapne jana Gharelu Nuskhe for Sinusitis. To agar aap aesi koi samasya se pareshan hai to aaj se hi inn gharelu upayo ko jarur try kijiyega.