Skin Care During Pregnancy : Garbhavastha mai Twacha ki Dekhbhal

Garbhvati hona har mahila ka sapna hota hai. Lekin iss douran aapko apna khas khayal rakhna hota hai. Saath hi iss samay aapko aapki twacha ka bhi vishesh roop se dhyan rakhna hota hai.

To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Skin Care During Pregnancy in Hindi. Jisse aap  hamare dwara bataye gaye tips ko apna kar apni twacha ka khas khayal rakh sakte hai aur hamesha sundar dikh sakte hai.

Baccho ke pyaare –pyaare se gudgude gaal, unki bina daanto ki hansi aur unke nahne-nahne haath aapko unko chumne lene par majbur kar dete hai aur agar aapko jaldi hi aise  bacche ki maa banana ka sobhagye milne vala to aapko andar se bahut khushi hoti hai

Lekin maa banana itna  aasan nahi hota hai. Kokha mai 9 mahine bacche ko palne mai istri ko kafi samamsya ka samna karna padta hai. Iss douran , pura parivaar aur pati milkar mahilao ki dekhbhal karte hai. Lekin istri ko bhi khud apni care karni padti hai.

Garbhavastha har mahila ki jindgi ka sabse haseen vakt hota hai. Iss vakt mai vah har roz ek naye ahsaas ko jiti hai. Inn dino kuch mahilaye ki twacha badrang aur dabbedar ho jati hai.To kuch mahilao ki twacha mai ek khas tarah ki chamak aa jati hai.

Pregnancy ke douran har mahilao mai kai prakaar ki hormone changes hote hai. Jis ke karan unki skin kharab ho jati hai. Isliye aap ko aise samay par apni skin ka khaas khayal rakhna chahiye

To aaiye aapki twacha ki dekhbhal karne ke baare mai iss article mai kuch khas tips batate hai. Jo ki aapki twacha ki khubsoorati ko hamesha banye  rakhegi.

Skin Care During Pregnancy  ke Dwara Rakhiye Apni Twacha ka Khayal

Skin Care During PregnancySkin Care During PregnancySkin Care During Pregnancy

Twacha Par Muhase

Skin Care During Pregnancy in Hindi  ki baat kare to sabse pahli baat aati hai ki, aapko apni twacha ki par accha cream lagan chahiye. Garbhvstha ke douran twacha par dane ho sakte hai. Iske liye aapko apni dermatologist se sampark karna chahiye. Isliye aap koi bhi cream ka istemaal na kre, varna aapko dikaat ho sakti hai. Kisi bhi naye product ka istemaal karne se pahle uska test kar le. Kyoki iss douran aapko Precautions During Pregnancy ka khaas khayal rakhna hota hai.

You may also like:- Pregnancy Care Tips in Hindi: Maa aur Bacche ki Dekhbhaal

Twacha ka Rukhapan

Pregnancy  ke doran aksar twacha mai rukhapan aa jata hai. Isliye aapko kuch-kuch der mai cream ka istemaal karna hoga. Acche brand ka cream hamesha istemaal kijiye. Jisee aapko bahut fayda milega.

Chehra Saaf Rakhe

Chehre ko saaf rakhe popular ghrelu aur acchi si cream lagiye. Isse skin ka glow bana rahta hai. Saath hi aapki skin saaf najar aati hai.

Chinta na Kare

Garbhavastha ke dino mai faltu ki baato mai dimag na lagaye. Isse aapke bacche ke swasth par asar pad sakta hai. Meditation kare aur din mai kuch samay shant hokar bethe. Kyoki agar aap jayda tension lengi to aapke swasth ke saath-saath aapki skin bhi kahrab ho jayegi.

Neend Puri Kare

Kam se kam 8 ghante ki neend jarur lijiye. Din ke samay kamar mai shanti se soye. Kyoki neend puri hone se na sirf aapki sehat acchi rahegi. Balki aapki aapko skin bhi khubsoorat dikhai degi.

Dudh ka Prayog

Garbhavastha ke dino mai twacha ko sahi banaye rakhane ho to garam dudh ka sevan kijiye. Saath hi thande dudh ko twacha par lagaiye. Iss time mai halke gungune dudh ko hi upyog mai laye. Dudh aapki skin ke glow ke liye ek bahut asardar ilaj hai . Jo aakpi twacha ko bahut sundar banati hai.

Makke ka Aata se Chehre ki Safaai

Makke ke  aata le aur isme shahad mila le. Iss misharn ko apne chahre par lagaiye aur halke haatho se scrub kijiye. Isse aapke chehre ek dam saaf ho jayega. Saath hi aapki skin andar se glow karegi.

Pregnancy Skin Care Tips mai Chupa hai Garbhavastha mai Sundar Twacha ka Raaz

Pregnancy Skin Care Tips 

Aankhon ki Care

Agar aapko aankhon mai tanav lag raha hai, to kheere ke slice kat kar unhe aankhon par rakhe. Fir kuch der ise aisa hi rakha rahne de . Baad ise hata dijiye. To hum bol sakte hai ki , yhe ek accha Skin Care During Pregnancy hai.

Baalo ko Katav Le

Agar aapko garbhvastah ke douran bahut jyada baal ke jhadne ki samasya aa rahi hai. To apne baalo ko chhota karva lijiye. Isse unke baal jhadna band ho jayenge.

You may also like:-Long Hair Tips in Hindi: Baalo ki Lambai Badhana Hua Aasan

Sunscreen Lagaye

Sunscreen ka istemaal karna kabhi bhi na bhule. Isse aapki twacha ki surksha hoti hai. Saath hi skin par ultraviolet kirno ka koi bhi asar nahi hota hai.

Na Lagaye Sabun

Sabun ka istemaal se bache. Isse twacha rukhi hoti hai aur is par chatte padh jate hai. Jyada se jyada pani pijiye.

Facial

Iss samay par facial karvane ke koi nuksaan nahi hote hai. Bas dhyan rakhiye facial mai use hone vale cream aur product hamesah acchi company ke hone chahiye. Kyoki aise mai aap job hi product istemaal karenge vah sab aache hona  aapki skin ke liye bahut jaruri hote hai.

Hair Color

Aap chahe to iss douran hair color  ka istemaal bhi aasani se kar sakte hai. Lekin bas dhyan rahe ki yeh color hamesha chemical free hona chahiye. Taki inka koi side effect aapki twacha par na padhe.

Skin Treatment

Aap chahe to palar ja kar bahut se skin care treatment bhi le sakte hai. Jo ki aapki twacha ke glow ko hamesha barkarar rakhta hai. Saath hi aapki skin wrinkles bhi nai aane deta. Aap chahe to aroma therapy bhi le sakte hai. Lekin yeh tharepy aap kisi acchi jagah se lijiye. Taki aapko koi bhi nuksaan na hai

Homemade Face Pack

Rozana apne chehre par home made face pack ka istemaal kar sakte hai.  Iske liye aap kuch gharelu samagri ka use kijiye. Bas dhyan rahe ki, aap jo bhi saman ka use kare vo aapki skin par suit karna chahiye.   Jisme aap haldi besan, kesar , chandan , malai aadi ko shmail kar sakte hai.

Upar apne jane Skin Care During Pregnancy in Hindi. To bas sabhi garbhvati mahilaye inn tips ke dwara garbhavastha mai apni twacha ki dekhbhal kijiye.

Loading...

You may also like...