Skin Care Tips for Men: Purusho ki Twacha ki Dekhbhal

Twacha ki dekhbhal ki baat kare to purush ho ya mahila sabhi ko apni skin ka khaas khayal rakhna chahiye. Jiske liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Skin Care Tips for Men in Hindi.

Jis tarah mahilao ki skin ko nuksaan dhul mitti ke karan nuksaan pahuchta hai. Vese hi purusho ki skin ko bhi vatvarn ke karan nuksaan hota hai. Isliye purusho ko bhi chahiye ki , vo apni twacha ki sahi dekhbhal kare.

Kyoki mahilao ko apne aur akrshit krane ke liye purusho ko apni personality ka khas khayal rakhana hota hai. Jiss ke liye unko bhi bahut si baato ka dhyan rakhna chahiye.

To fir chaliye padiye kuch khaas tips jiske dwara purush bhi apne aap skin ki care karke apni personality ko attractive bana sakte hai. Saath hi iske saath unka confidence bhi badhega.

Skin Care Tips for Men ke Dwara Purush Bhi Banaiye Apni Personality

Twacha ko Saaf Rakhe

Har roz nahaiye aur apne chehre ko saaf rakhiye. Dhul mitti aur tel chehre ke pores ka block kar dete hai.Isliye  apni skin care ke liye sabse pahle aapni twacha ko hamesha saaf rakhiye.

Sunscreen Lagaiye

Skin Care Tips for Men ki baat kare to yeh ek accha tarika hai ki, aap sunscreen lagaye. UV rays se apni  skin ko bachne ke liye bahar nikalte vakta sunscreen ka prayog kijiye. Ise rozana subah lagaiye aur jab avshaykta padhe tab lagaiye.

Hydrate Rahiye

Garmiyo ke mosam mai pani ki kami vajah  se hydration ho jata hai. Isliye roz subah uthe hi pani pijiye. Pani pine se sharir ki sari gandgi bahar nikal jati hai. Saath hi dinbhar mai 7-8 gliass pani pijiye.

Acche se Shave Kare

Shaving ke baad hamesha cream lagana chahiye. Jisse twacha mai nami bani rahegi. Iske alawa after shave lagana chahiy isse skin tone ho jati hai.

You may also like:- Grooming Tips For Men- Gentlemen Dikhne Ke Tarike

Mild Soap ka Use Kare

Agar aap kisi halke soaf ka proyog nahi kar rahe to dhyan rahe I aise sabun aapki skin ko rukha bana dengi. Rukhe sabun twacha se nami ko chura lete hai. Isliye rozana mild soap ka istemaal kijiye.

Facial Karvaye

Suraj ki dhup skin ko ganda ban deti hai. Facial karvane se pahle jesi chamak aa jati hai par dhyan rahe ki, facial vahi karvna chahiye jo aapki skin ko suit karta hai.

Scrub

3 Dino mai ek baar chehre se dead skin ko saaf karna hi chahiye. Iske liye aap bazaar mai milne vale scrub ka prayog kar sakte hai. Aisa karne se twacha saaf suthri ho jati hai. A

Olive Oil Lagaye

Garmiyo mai olive oil se massage karne par twacha mai chamak aa jati hai aur vah fresh lagne lagta hai. Isliye aap rozana olive oil ki maasge jarur kijiye.

Baalo ka Conditioner

Aksar purush baalo par shampoo lagane ke baad conditioner ka use nahi karte hai. Lekin jitni jarurat mahila ko hoti hai utni hi purusko bhi hoti hai. Isliye unhe bhi apne baalo ki sahi dekhbhal karna chahiye.

Moisturizer

Purusho ki twacha ka samna dhup aur pardushan se adhik hota hai. Isliye unki twacha ka bhi nami khona bahut normal baat hai. Aise mai rozana sone se pahle ya nahane se pahle halka sa cream jarur lagaye.

Deo ka Istemaal Kare

Aap apni body mai khushboo ko banaye rakhne ke liye deodarant ka istemaal kar sakte hai. Isse aapki body humesha sugandhit rahegi aur aapka partner humesha aapki taraf attractive rahega. Aap chahe to KS Kamasutra Deo ki madad se khushboodar ban sakte hai.

Homemade Face Pack for Men ko Apnakar Purush bhi Banaiye Apni Twacha Ko Komal

Vese bahut se push apne aap ko groom karna chate hai. Par kar nahi pate hai. Kyoki unhe iske baare mai jayad jankari nahi hoti hai. Saath vo apne skin ke prakaar ko bhi nahi jante hai. Jiske liye vo apne skin ke liye sahi treatment ka select nahi kar pate hai.

Ladke soche hai ki, unki skin rough hai aur unhe iski dekhabhl se kuch nahi milega. Par aisa nahi hota , agar aaj se hi apne chehre par kuch prakritik facepack lagana shuru kar denge to aapka bhi chehra ladkiyo ki tarah chamk jayega.

Taaza Pudina

Skin Care Tips for Men mai iss face pack ki aham bhunika hai. Garmi mai agar pudhina facepack lagaye, jisme haldi bhi mili huye ho. Isse face pack 10 se 15 minutes ke liye lagaye aur fir halke garam pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapko bahut fayda milga. Par dhyan rahe ki acche result ke liye rozana isse lagaiye.

Thanda Doodh

Ek cotton ball ko lekar thande doodh mai bhigoiye aur chehre par 10 se 15 minutes ke liye lagaiye. Ise halk sukhne de aur fir sade pani se dho lijiye. Aur dekhiye ki aapka chehra bahut accha dikhai dega.

Kela

Ek paka kela pis lijiye aur usme roz water, olive oil aur thoda sa coco better milaiye. Chehre dhone se pahle ise kuch der ke liye rahne de. Yeh ance, pimple aur chehre ki gandgi ko dur kega.

 Papita

Pise huye papita mai halka sa nimbu ka ras aur dudh milaiye. Iss pack ko chehre par lagaiye aur aur thodi der ke liye massage kijiye. Yeh oily type skin ke liye bahut accha hai.

Kheera

Jinhe apni twacha gori aur chamkdar rakhni hai, vah kheere ko mesh kar ke usme nimbu ka ras milaiye. Iss pack ko kuch der ke liye twacha par laga kar rakhe aur sukhane par sade pani se apne chehre ko dho lijiye.Fir dekhiye aapki skin kitni glow karegi.

 Multani Mitti

Multani mitti mai gulabh jal ko miliye aur saath hi usme chandan powder bhi  milaiye tatha iss mishran ko apne chehre par lagaiye. Tatha isse sukhane par sade pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapki skin ko koi bhi problem hamesha ke liye khatam ho jaayegi.

Aloe Vera

Bahut se ladko ke chehre par acne ho jate hai. Jiske karan unki skin kharab ho jati hai. Jiske aloe vera face pack ka istemaal kar sakte hai. Taki unke chehre ke pimpale aur pimle ke daag hamesha ke liye khatam ho jayenge.

Upar aapne jane, Skin Care Tips for Men in hindi . To bas aaj se inn tariko ke dwara sabhi purush apni twacha ki sahi dekhbhal karke attractive personality paiye.

Loading...

This website uses cookies.