Aaj kal manushya ki life style pahle se bahut badal gayi hai. Pahle vyakti ka har kaam ka ek samay huwa karta tha lekin aaj kal office ka pura kaam karne ke baad log ghar par der raat tak alag se kaam karte hai, ghanto tak TV ya Computer par lage rage rahte hai. Kabhi puri raat nind nahi aati hai to kabhi weekend par sote hi rahte hai.
Jaise nind ka balance bigda samjho wahi aapki sehat, safalta aur vikas hona ruk gaya. Adhuri nind hume kisi bhi kaam ko pura karne nahi deti hai.
Acchi sehat aur swasth ke liye poshtik aahar, yoga-vyayam ke sath-sath niyamit dincharya bhi bahut jaruri hai aur sahi wakt par nind lena bhi iss list mai shamil hai. Nind se judi aapki galat aadate aapki sehat ke liye nuksaandayak to hai hi, sath hi aapki personality aur karya shamta par bhi iska galat asar hota hai.
Shaastro mai bhi iss bare mai bataya gaya hai ki sone ka sahi tarika kya hona chahiye, jo aapke swasth ke liye aur anek bimariyo ko dur karne mai avashyak hai. Aaiye jante hai Sleeping Positions in Hindi.
Sleeping Positions in Hindi: Janiye Tarike, Labh aur Nuksaan
Kitne Ghante ki Nind Hai Jaruri
Samanya vyakti ke liye kitne ghante ki nind jaruri hai, iss vishay par kai prakar ke shodh ho chuke hai, lekin alag-alag vyakti ki nind kam ya adhik ho sakti hai, wo uss vyakti par nirbhar karta hai. Parantu shodhkartayo ke anusar, kam se kam 6 ghante aur adhik se adhik 9 ghante ki nind ek samanya vyakti ko lena chahiye. Nind pyaryapt na hone par yeh anek vikaro ko janm de sakti hai. Isliye nind puri karna bahut hi avashayak hai.
You May Also Like: Natural Home Remedies for Sleep Apnea: Jane Prakratik Upay
Best Sleeping Position: Jante Sone Ke Sahi Tarike
Agar aap sehatmand rahna chahte hai to parayapt nind lijiye lekin agar aap sahi tarike se nahi soyenge tab bhi aapko nind thik se nahi aayegi, isliye sone ke sahi tariko ko samjhe.
Humare sone ke tarike se humare vyaktitv ke bare mai bhi pata chalta hai, sath hi inka humari sehat se bhi gahra rishta hota hai. Ek shodh ke mutabik, humare sone ke tarike se sehat par accha aur bura asar padta hai.
Aise tarike se sone ka prayas kare, jisme aapki back ka prakratik carv bana rahe. Pith ke bal soye, tab ghutno ke niche patla takiya lagakar rakhe. Jinki kamar mai dard rahta hai wo log jarur aisa kare. Ghutno ko halka modkar side lekar soye, lekin ghutno ko itna bhi na mode ki vah apke sine se chipke rahe. Pet ke bal sone se bachana chahiye, iska sidha asar aapke pachan par padta hai sath hi kamar ke dard aur akdan ki sambhavna bhi rahti hai. Kabhi bhi bed se sidhe na uthe, pahle side mai karvat le, phir hath ke bal uthkar baith jaye, uske baad hi utna chahiye. Aisa karne se kamar ya merudad par sidha prabhav nahi padta hai. Aaiye jante hai Best Position to Sleep in Hindi–
Pith Ke Bal Sona
Iss position mai sone ke kuch fayde hai to kuch nuksaan bhi, jaise kamar dard hai to sar aur ghutno ke niche takiya lagakar sone se aaram hota hai. Iske liye ridd ki haddi sidhi rakhkar hi sona chahiye.
Surgeon Dr. Gojes Ansn ke anusar, pith ke bal sone se chahra khubsurat rahta hai, jhuriya aur daag bhi nahi hota hai, kyoki aise sone se aapka chehtra dabta nahi hai.
Anek shodho ke mutabik yeh bhi bataya jata hai ki pith ke bal sone se kharate adhik aate hai. Aisi sthiti mai agar aap kuch second tak sans nahi le paate hai to ucch raktchap, madhumeh, tanav jaise vicar utpann ho sakte hai.
Bhrun ki Tarah Sona
Iss avastha mai sone ke bhi anek fayde hai, kyoki aise mai aap raat mai kabhi bhi aaram se karvat badal sakte hai aur ridd par adhik jor bhi nahi padta hai. Aise sone wale log subah uthkar adik tarotaja mehsus karte hai.
Fayde ke sath iske nuksan bhi hai. Agar gardan mai kisi prakar ka dard hai to aise sone se dard aur bad sakta hai. Isliye behtar hoga ki gardan ke niche naram takiya lagakar soye, jisse gardan aur ridd ki haddi ek sidh mai rahenge.
Dayi Karvat Se Sona
Dayi karvat lekar sone se ucch raktchap ki pareshani dur hoti hai, kyoki isse dil ko, joki bayi taraf hota hai, use chect cavity mai jagah adhik mil jati hai. Blood pressure thik rahta hai to dil ki bimariya bhi nahi hoti hai. Shodhkartayo ke anusar, aise sone se dimag ki gandgi bhi saaf hoti hai.
New Zeeland ke vegyaniko ki ek report ke anusar, garbhvati mahilao ko dayi taraf karvat lekar nahi soan chahiye, kyoki aise sone se pet mai bacche par dabav padta hai, jisse kabhi-kabhi bacche ki pet mai mot bhi ho jati hai sath hi bacche ko thik se khoon ka pravah nhi ho pata hai.
Pet Ke Bal Sona
Pet ke bal sone se aapki gardan par adhik bojh padta hai tatha kai ghanto tak sar muda huya rahta hai jisse manspeshiya akad jati hai. Sath hi sar sard aur kamar dard ki samasya bad jati hai. Yadi aap iss stithi mai sote hai to lower adnominal ke niche ek takiya lagakar soye. Yadi aisa karne se adhik dabav nahi padta hai to apne sar ke niche bhi takiya laga sakte hai. Agar aisa karne se aapki kamar par fdabav padta hai to bina takiya laga kar hi soye.
Kamar Bal Sona
Agar aap kamar ke bal sote hai to, iss avsatha mai sote samay kamar ke carv ko thik banaye rakhne ke liye ghutno ke niche takiya lagaye. Isse aapke lower back ka prakratik carv bana rahega aur uss par dabav bhi nahi padega. Agar aap kamar ko atirikt support dena chaute hai to takiye ke sthan par toliya roll karke bhi laga sakte hai.
You May Also Like: Side Effects of Oversleeping: Jyada Sone ke Nuksaan
Bistar aur Takiya Ho Sahi
Agar aapka bistar aur takiya aaramdayak nahi hai to aap kitne bhi thake huye kyo na ho aapko prayapt nind bilkul nahi aayegi. Isliye aapko aaram dayan narm aur mulayan bistar par sona chahiye. Sath hi agar aap adhik mota ya adhik patla takiye ka istemal karte hai to yeh abhi aapko thik se sone nahi dega. Isliye aapka takiya bhi soft hona chahiye jisse aapki gardar par adhik dabav na pade aur vah aaram se takiye par adjust ho jaye.
Pahle ke samay mai ruyi ka gadda istemal kiya jata tha, aap bhi aisa kar sakte hai lekin yeh adkin purana nahi hona chahiye. Aisa na ho ki gadda 10-12 saal purana ho jo puri tarah se chapta ho chukka ho. Zamin par sone se bhi bachana chahiye kyoki zamin sakt hoti hai jo ridd ke carv par dabava dalta hai. Bahut ucha takiya ya takiya bilkul na lagane se bhi samasya ho sakti hai.
Agar aap sidhe sote hai to bilkul patna takiya ka istemal karna chahiye. Karvat se sote hai to 2 se 3 inch motai ka takiya lagaya kare. Takiya adhik soft ya hard nahi hona chaiye. Takiya iss tarase lagaye ki kandhe aur kaan ke bich ke area ko support mile. Kandhe ko takiye ke upper nahi rakhana chahiye aur jinki gardan mai dard rahta hai unhe patla takiya istemal karna chahiye.
Apni Aadato Ko Badale
Agar aap prapart nind lena chahte aur apne sharir ko swasth rakhana chahte hai, yo aapko kuch savdhaniya bhi rakhani hongi.
- Bhojan ke turant baad na soye. Dono ke ke bich karib 1 ghante ka antar rakhe.
- Spne aur TV dekhne ke bich mai lagbhag 45 minute ka gap rakhe.
- Adhik samay tak TV dekhna ya computer par kaam karne ki aadat par niyantran rakhe. Sath hi raat mai adhik der tak kaam na kare.
- Sone se purv kitab padne ya sangit sunane ki aadat dale.
- Chai aur Coffee ka sevan kam kare.
- Sharab se duri banaye rakhe.
- Sone se pahle ya raat ke samay samanya bhojan graham kare.
America ki University of Rochester mai kiye gaye ek shodh ke anusar, pet ya pith ke bal sone ki apeksha karvat lekar sone se alzheimer aur parkinson’s jaisi bimariyo ke hone ki sambhavna kam hoti hai.
Iss adhyaan ke anusar, karvat lekar sone se mashtishk ke andar mojud rasayanik ya apshisht viley acchi tarah se nikal jate hai. Inn rasayanik vileyo ki wajah se kai bimariyo ka khatra bad jata hai.
Jankari ke abhav mai hum kai aise karya karte hai jo hume to thik lagte hai lekin wo kahi na kahi galat ho sakte hai. Aise hi hum sote to apne tarike se hai lekin unke nuksaan bhi hota hai. Isliye aap bhi inn Sleeping Positions in Hindi ko dhyan purvak samjhe aur apne sone ke taike ko badalkar paryapt nind ka anand lijiye.