Nind mai chalne ki bimari kisi bhi vyakti ko ho sakti hai. Isse ek samanya bimari to nahi kaha ja sakta hai, kyoki yeh rog kam logo mai dekha jata hai. Jab log nind mai uthkar achanak chalna shuru kar dete hai. Unhe iss baat ka ehsaas bhi nahi hota ki wo nind mai chal rhe hai. Apne kamre mai, apne ghar mai aur kai baar to log nind mai bahut door tak nikal jate hai, jo adhik khtarnak ho sakta hai.
Sleepwalking Disorder in Hindi mai vyakti nind mai uthkar bistar par baith jata hai aur aankhe khol leta hai. Achanak baat karne lagte hai aur kabhi-kabhi apne dainik dincharya ke kaam bhi karne lagta hai. Agar koi unki baat ka javab deta hai to unhe hosh nahi hota hai aur aap unhe nind se jagate hai, to unhe nahi pata hota hai ki vo kya kar rahe the. Unhe yaad nahi rehta hai ki wo kuch aisa kar bhi rahe the.
Waise to sleepwalking ki samasya keval 10 se 15 minute ke liye hoti hai, lekin kisi-kisi vyakti ko yeh ½ hours ya usse bhi jayada samay tak ho sakti hai. Isliye iss samsya ka pura ilaj karna chaiye aur samay rahte chikitsak se salah le lena chahiye.
Sleepwalking Disorder in Hindi: Jane Iske Karan aur Upchar
Causes of Sleepwalking: Iske Karan Pehchaniye
Aaiye samjhte hai Causes of Sleepwalking, jinke jariye hum iss pareshani se bach sake-
- Badhak Nidra Ashvasan (Obstructive sleep apnea)
- Periodic Leg Movement
- Restlessness Leg Syndrome
- Gastro esophageal reflux
- Seizures
- Genetic
Agar kisi bhi vyakti ko nind mai chalne ki aadat hai, to bina samay nasht kiye iska upchar karwaye, kyoki kai baar dawao se bhi iska ilaj sambhav nahi ho pata hai.
Sleepwalking Symptoms: Iske Lakshan
Yeh samasya sabse adhik gehri nind mai chale jane par hoti hai, kabhi-kabhi halki nind mai bhi ho sakti hai. Aamtor par sone ke kuch ghanto baad hi nind mai chalne ka prakaran shuru ho jata hai. Aaiye jante hai kuch samanya Sleepwalking Symptoms–
- Nind mai chalte doran baat karne lagna.
- Aapko kuch yaad nahi rahta hai ki apne sleeps walk ke doran kya-kya kiya.
- Anuchit vyavhar karne ya baccho dwara peshab kar dena.
- Aankho mai kisi bhi tarah ki harkat na karna.
- Nind mai chalte samay aap kisi ke sath hinsak vyayhar bhi kar sakte hai.
Yeh sabhi kuch aise samanya lakshan hai jinke dwara aap iss bimari ko samjh sakte hai. Isse darne ki bajaye in lakshano ko samjhkar, apna upchar jaldi se jaldi shuru kar de.
You May Also Like: Kidney Infection Treatment in Hindi: Sankraman Ka Ilaj
Sleepwalking Treatment: Upchar ke Tarike
Nidra vichran se novaran ke kuch samanya upchar –
- Paryapt nind le
- Tanav kam rakhe
- Uttejit hokar na soye
- Niyamit yog aur vyayam kare
Home Remedies for Sleepwalking: Kuch Gharelu Upchar
Agar aap bhi iss samasya se jujh rahe hai to dare nahi hum aapko kuch Home Remedies for Sleepwalking ki jankari de rahe hai, jo apke liye faydemand honge.
- Jis bhi vyakti ya bacche ko nind mai chale ki samsya hai, unke ghar walo ko tab tak jagna chaye jb tak us vyakti ka nind mai chalne ka samay chala na jaye. Aise logo ko apne dainik samay se 15-20 minute pahle uth jana chaiye.
- Yadi yeh pareshani kisi bacche ko hai, unse baat karke unki samsya ka samadhan karne ki koshish kre.
- Tanav ek samanya samsya hai. Apne kaam aur pariwar mai chal rahi pareshani bhi iski wajah ho sakti hai. Aisi sthiti hone par kuch samay ke liye ghar se door kisi shant jagah par chale jaye.
- Baccho mai yeh bimari ho jane par bahut adhik samasya ho jati hai, kyoki baccho mai samjh ka abhav hota hai. Aise mai mata pita ko bacche mai ho rahi iss samasya ka samay jan kar, uss samay se pahle hi uth jana chaiye.
- Yog aur vyayam ke jariye aap iss pareshani se bach sakte hai. Pratidin jaldi uthkar sukhasan aur surya namaskar jaise samanya yog ka abhyaas kare.
Rog kisi bhi tarah ka kyo na ho usse mukti payi ja sakti hai, agar hum samay rahte unke lakshno ko samjhe aur sahi upchar kare to aap har preshani se rahat pa sakte hai. Agar aap bhi Sleepwalking Disorder in Hindi se pareshan hai to upper diye gaye karan aur upchar ko samjhe aur apne aap ko iss bimari se nijad dilwaye.