Slip disc koi bimari nahi hai. Yeh sharir ki machinery me takniki kharabi hai. Bharat me 20% se jayada log is bimari se jhujh rahe hai. To jo log is pareshani se grasit hai wo dare nahi. Aaj is article ke jariye hum aapko batate hai, Slip Disc Treatment in Hindi.
Slip Disc Kya Hoti Hai?
Disc slip nahi hoti hai, balki spinal cord se bahar aa jati hai. Disc ka bahri hissa ek majboot membrane se bana hota aur beech me liquid Jalinuma padarth hota hai. Disc ke mojud jelly or cushions jesa hissa connective tissues ke circular se bahar nikal jata hai aur age bad hua hissa spinal cord par dabav bnata hai. Kai bar umar ke saath ye taral pdarth sukhne lagta hai aur achank jhtke ya dabav se ye membrane tutne lagti hai. Is karan slip disc hota hai.
Causes of Slip Disc
Slip Disc Ke Aam Karan
• Galat posture iska aam karan hai. So kar ya jhuk kar padna ya kaam karne se ya phir computer aage beithe rahne se.
• Aniyamit dincharya, achanak jhuk jane se ya phir jayad weight uthane se.
• Sust life style, sharirik gatividhiya ka kam hona, galat tarike se uthna- bethana.
• Koi chhot lag jane se, jayad sharm karne se, der tak driving karne se.
• Kabhi umar badne par bhi ye taklif ho jati hai.
Slip Disc Ke Khas Karan
• Joint ke degeneration
• Kamar ki haddi ya rid ki hadi ne janmjaat deformity or infection
• Pairo me koi jamjaat bimari ya baad me vikaar utpaan hone se.
You may also like:- Padmasana Benefits: Yoga ko Karne ke Steps aur Laabh
Symptoms of Slip Disc
• Naso me dabav ke karan kamar me dard pairo me dard aur addiyo ya pairo ki ungliya ka sunna hona.
• Spinal cord ke beech me dabane par hip or thighs ke aas-paas sunna hona
• Rid ki haddi ke nichle hisse me ashani dard.
• Chalne-phirne, jhukne ya samanya kaam karne me asahniye dard.
Slip Disc Treatment in Hindi: Isse Bachne ke Liye Upchar
Slip Disc ke jayadtar marijo ko araam karne ya physiotherapy ki salah di jati hai. Isme 2 se 3 week tak araam karna chahiye. Doctor ki salah ke baad dawa ka sevan karna chahiye. Bahut se mamlo me surgery ke bina bhi is pareshani se bacha ja sakta hai. Sanshep me ilaaj ki prakiya is tarah hai.
• Dard-nivaark dawa ko sevan kare se bhi rogi ko araam milta hai.
• Kam se kam 2 se 3 week tak rest kare.
• Dard kam hone par Physiotherapy or chiropractic treatment le.
• Par parmpragat tarike se araam na pahuche to surgery hi ek tarika hai.
Lekin surgery hogi ya nahi yeh baat puri vishagaye par nirbhar karti hai. Orthopedic and Neuron vibhag ke visheshagaya checkup ke baad hi surgery karne hai ya nahi is bare me batate hai.
Aapni Lifestyle Me badlav
• Niyamit roop se 3 se 4 kilometer walk kare. Yeh sabse accha vyayam hai.
• Der tak kursi par jhuk kar na beithe. Agar aapki sitting job hai to dhyan rahe ki, araamdayak kursi par beithe.
• Sharirik sharm sharir ko majboot bnata hai. Lekin itna bhi sharm na kare ki, jisse aapke sharir ko nuksaan pahuche.
• High hill aur flat chapplo se bache. Ek study ke douran pata chala hai ki, high hill kamar ko nuksaan pahuchati hai aur flat chappal aapke pairo ke arch ko nuksaan pahuchati hai. Jisse sharir ka santulan bigad jata hai.
• Seedhiya chadte aur utharte vakta khas dhyan rakhe.
• Apne weight ko control me rakhe. Vajan badne se yeh dard aur bad jata hai.
• Jayad mulayam gadde par na soye. Aadhik mota takhiya sar ke niche na lagaye.
• Achanak jhatke ke saath uthe-bethe na.
• Kamar jhuka kar kaam na kare.
• Pet ke bal ulte ho kar na soye.
• Der tak driving karni ho to pith ya gardan ke piche cushion rakhe.
Slip Disc Ke liye Kare Yeh Exercises
Slip Disc Treatment in Hindi ki baat hoti hai to, exercises sabse accha tarike hai is problem se bachne ka. Jisse back pain me araam milta hai. Isme stretching yoga aur aerobics asaani se kar sakte hai. Bas in exercise ko karne se pahle ek bar physiotherapist se jarur mile.
Pet Ko Andar Kare:- Slip Disc ki problem hai to pet ko andar kare, iske liye sans ko andar ki or khiche. Isse pet par jor padega aur slip disc me rahat milegi. Aisa din me 3 se 4 bar kare. Jisse aapko jaldi hi araam milega.
Yogasana:- Aise kai Yoga asaan hote hai, jisse slip disc ki bimari dur ho jati hai. Yogasana se pith aur muscles me khichav ko sahi karne me aasni milti hai. Vese kai saral aur acche yoga asana hote hai. Jo ki rid ki haddiyo me aaram pahuchate hai.Saath hi aap inhe aasni se ghar par hi kar sakte hai.
Ijigoing Exercise: Kisi bhi marij ke dwara high energy aur mushkil se hone vali exercise karna kathin hota hai, lekin unke dwara halki exersice aasani se ki ja sakti hai.
Aerobics:-Slip Disc ke liye aerobics sabse acchi exercise hai. Bas isko karne se pahle doctor ki salah jarur le. Apne aap ko jayad thaye na.
Upar humne aapko Slip Disc Treatment in Hindi ke bare me bataya hai. Jisse aap aasani se dard se bach sakte hai aur swath rah sakte hai.
Vese Ye problem baithe rahne se bithe rahne badti hai. Scotland and Canada ke vishgaye ne MRI takniki ke dwara jayad bethne se pith me hone vale dard ke bare me study ki hai. Expert ka ye bhi kahna hai ki, baithne ka tarike pith ke nichle hisse me dard ka karan hota hai.
British Chiropractic Association ke anusaar 32% log 10 ghante roj office me beth kar kaam karte hai. Isme se aadhe log, jo lunch time me bhi kursi nahi chhodte. Yeh sab karan hote hai slip disc ke.
See more details of Slip Disc Treatment in Hindi from Diet and Fitness.