Hamare desh mai prachinkal se hi jadi butiyo ka bahut mahatva hai. Jadi butiyo ka prayog kai prakar ki bimariyo ke illaj ke liye kiya jata hai. Spirulina bhi ek prakar ki jadi buti hai. Iska upyog bhi swasth ko kai labh deta hai.
Darahsal Spirulina ek prakar ka jaliya vanaspati hai. Aapko jankar shayad yakin naa ho lekin isme khadya padhartho se bhi jyada poshak tatva paye jate hai. Isliye ise superfood ke naam se bhi jana jata hai. Yeh kai prakar ke vitamins, khanij aur poshak tatvo se bharpur hota hai. Iske alawa isme minerals, potassium, calcium, selenium aur zinc bhi paya jata hai.
Spirulina gumavdar aakar ka sukshm shaival hai jo ki taje pani ki jheelo, prakratik jharno aur khare pani mai utpanna hota hai. Yeh pani ke andar gehre neele-hare rang ka dikhai deta hai. Iski do mukhya prajatiya hoti hai, ek hai Spirulina Maxima jo ki Maxico mai paya jata hai aur dusari hai Spirulina Platensis jo ki Chad mai paya jata hai.
Yeh sabhi poshak tatvo se bharpur hone ke sath sath sharir ki shakti ko bhi badhane mai sahayak hai. Iski madad se kai bimariyo ko bhi dur kiya ja sakta hai. Iske fayde janne ke liye padhiye Spirulina Benefits in Hindi.
Spirulina Benefits in Hindi: Kai Bimariyao mai Faydemand
Spirulina mai chlorophyll ki matra payi jati hai. Iss wajah se yeh atmosphere mai oxygen ki matra ko santulit karne mai bhi sahayak hota hai. Yeh sharir ke pachan tantra ko sudharta hai sath hi twacha ki dekhbhal ke liye anti-oxidant ka karya bhi karta hai. Spirulina ki rojana 3 se 5 gram matra ka sevan karne se, sharir mai 1 glass phalo ke juice ki purti ho jati hai.
Bad Cholesterol Ghataye
Spirulina ek prakratik aushadhi hai. Yeh hamare sharir ke rakt mai se kharab cholesterol ki matra ko kam karta hai aur acche cholesterol ki matra ko banaye rakhta hai. Yeh weight loss karne mai bhi sahayak hota hai.
Madhumeh Mai Faydemand
Health Benefits of Spirulina ki baat kare to yeh madhumeh ke rogiyo ke liye bhi bahut hi faydemand hota hai. Iske sath hi madhumeh ke rogiyo mai badhne wale uccha raktchaap ko kam karne mai bhi sahayak hota hai.
Hriday Rog Ke Liye Faydemand
Yeh dil, jigar aur gurde ke rogiyo ke liye bhi labhprad hai. Yeh sharir ki koshikao ko badhane mai madad karta hai. Isse immunity system behtar banta hai. Yeh oral cancer, gude ke cancer ko badhne se bhi rokta hai.
Aankho Ke Liye
Badhati umra ke sath kuch logo ke aankho mai pani aana, motiyabind jaisi bimari ho jati hai. Aese mai Spirulina ka sevan labhkari hota hai. Yeh badhti umra ke sath aankho ke kai rog jaise drastipatal kshati, motiyabind aadi ko thik karne mai madad karta hai.
You May Also Like:- Dalchini Benefits in Hindi: Jane Cinnamon Se Milne Wale Labh
Twacha Ke Liye Labhkari
Spirulina mai kai poshak tatv aur vasa ki matra payi jati hai. Iss wajah se yeh twacha ke liye bhi bahut faydemand hai. Spirulina Benefits mai aaiye jane iske fayde.
- Isme Vitamin A, B2, K, E,Calcium, Iron aur phosphorous ki bharpur matra payi jati hai. Yeh sabhi tatva twacha ko komal aur chamakdar banane mai sahayak hote hai. Yeh dhoop ki wajah se hone wali tanning ko bhi dur karti hai.
- Badhti umra ke sath twacha mai aane wali jhurriyo ko dur karne mai bhi yeh labhdayak hai.
- Isse aankho ke niche ke kale ghere aur twacha ke daag dhabbe bhi dur hote hai.
Balo Ke Liye
Spirulina mai balo ke vikas ke liye aavyashak fatty acid, vitamin A, Beta carotene aadi tatv paye jate hai.
- Yeh patle balo ki samasya aur ganjepan ko dur karta hai.
- Isse balo ki rusi se bhi chutkara milta hai.
- Yeh balo ko mulayam aur chamakdar banane ke liye conditioner ka bhi kam karta hai.
Jane Spirulina Ke Bare Mai Kuch Jaruri Tathya
Spirulina ka juice aur powder dono upyog mai laya ja sakta hai. Yeh aur sabhi aaharo se kiss tarah se bhinna hai? Iske liye aaiye padhe Spirulina Facts.
- Isme ande(Egg) se 6 guna jyada protein ki matra payi jati hai.
- Palak se 50 guna jyada iron hota hai.
- Isme dudh se 7 guna jyada calcium hota hai.
- Sabhi falo aur sabjiyo ke mukable 10 guna jyada potassium ki matra payi jati hai.
- Isme gajar ke mukable 30 guna jyada beta-carotene ki matra payi jati hai.
Spirulina Benefits in Hindi: Anya Fayde inhe Bhi Padhe
- Garbhavastha ke samay baccho ke vikas aur unke badhti umra ke liye bhi yeh faydemand hota hai.
- Rojana iske 1 chammach powder ka sevan karne se sharir ki urja shakti badhti hai aur vajan bhi kam hota hai.
- HIV/AIDS ko janm dene wale dushprabhavi virus ko nasht karne mai sahayak hota hai.
- Spirulina mai phosphorous ki prachur matra payi jati hai iss wajeh se yeh daanto ko majbut banane mai sahayak hota hai.
- Iske prayog sharir aur maspeshiyo ki thakan ko dur karne ke liye kiya jata hai.