Stomach Cancer ke marijo ki sankhaya din pratidin badti ja rahi hai. Pet ka cancer mahilao ki comparison me purusho ko aadhik hota hai. Vese is cancer ka pata 60 saal ki umar ke baad chalta hai. Vese shuruvaat me yeh cancer lakshahin hote hai. Yeh pet ke andar asamanya koshikao ki hone vali aniyamit vradhi ke karan hota hai.
Desk job karne vale me pet ke cancer ki sambhavna adhik hoti hai. Bas agar samay se pahle thodi si savdhani barti jaye to aap is cancer se bach sakte hai, kyoki badne ke baad ye cancer bhaut nuksandayak ho jata hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai Causes of Stomach Cancer.
Causes of Stomach Cancer: Pet ki Samasyo ke Mukhya Karan
• Pet ke Cancer ki problem aamtor par jayada smoking karne valo aur madak padartho ka sevan karne vale me hota hai. Iske alawa ve log jo jyada masaledar bhojan karte hai, unhe bhi is cancer ke hone ka khatra hota hai.
You may also like: Recognize Few Extreme Pancreatic Cancer Symptoms
• Adhik vajan badne ke karan bhi yeh cancer hota hai.
• Epstein-Barr virus infection ke karn bhi yeh cancer hota hai.
• Causes of Stomach Cancer ke karano me ek karan yeh bhi hai ki, pet ke koi purane vikar jese lambe samay tak gastritis problem se pareshan hona.
• Vese jab tak pet ka cancer bahut aadhik bad nahi jata tab tak iske lakshnao ka pata lagana thoda muskil hota hai.
• Pet ke cancer ko malashay cancer ke roop me jana jata hai. Pet ka cancer badne par mout ka khatra bad sakta hai.
• Pet ka cancer large intestine ka cancer hota hai. Jo ki panchtantra ke nichle hisse me hota hai. Yeh vah jagah hai, jaha par bhojan se urja ka utpadan hota hai.
• Yeh cancer pet ki bhitari parat se shuru ho kar andar ki parto par failta hai. Isliye yeh batana thoda muskil hota hai ki, yeh cancer kitne andar tak faila hai.
Vese pet ke cancer ke lakshan nahi hote hai, phir bhi expert batate hai, ki kuch lakhshano ka anuman laga kar aap ise pehchan sakte hai.
Symtoms of Stomach Cancer
• Pet me dard
• Mal me se rakt aana
• Achanak se weight badna
• Anemia ki shikayat hona
• Bahut aadhik kamjori hona
Upar aapne jane Causes of Stomach Cancer. To bas dhyan rahe ki in karano se bach kar aap pet ke cancer se chutkara pa sakte hai.
See more details about Stomach Cancer from Diet and Fitness.