Stress and Weight Gain: Tanav ke Karan Badhta hai Motapa

Tanav jo ki har kisi ko ho sakta hai. Lekin kya aap jante hai ki, aapke iss tension ke karan aapka motapa bhi badhta hai?  Shayad nahi, to chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai Stress And Weight Gain.

Aaj kal ke samay mai baccha ho ya baudha, tanav sabhi ko rahta hai. Isse bachna mushakil hai.Lekin  cool personality ke liye yeh kaam kathin bhi nahi hai. Tanav ki vajah se mansik hi nahi balki sharirik nuksaan bhi hota hai.

Aapko jankar ashcharye hoga ki, tanav ki vajah se aapka vajan badh sakta hai. Aap tanav mai hai aur kuch samay baad aapko lagta hai ki aapka sharir ekdam se mota ho gaya hai, aapko purane kapde fit nahi aa rahe hai. Jiska karan sirf aur sirf aapke tensions hote hai.

Tanav ko kabhi bhi apne upar havi nahi hone dena chahiye kuch log tanav ko asaani se jhel lete hai. magar  kuch log tanav sahan nahi kar pate aur badhte tanav ka prabhav unki manodasha, kaam aur yaha tak ki rishte par bhi padta hai. Yadi aap chahe to apani dincharye mai kuch aasam badlav aur ichashakti se tanav ko dur rakh sakte hai.

Vese tanav bahut sari pareshani lekar aata hai. Lekin  Bahut jyada tanav hone se aap badhi-badhui bimariyo se ghir sakte hai saath hi aapka motapa bhi badh sakta hai. Isliye hamesha apne tension ko control kijiye.

Stress and Weight Gain: Achanak Motapa Badhne ka Karan Stress Hota Hai

High Calorie le Lena

Weight Gain Due to Stress ke douran aapko dhyan nahi rahta hai aur aap high calorie ko cheese bhi khane lagte hai. Lekin aap workout karte nahi karte hai, Jisse uski khapat nahi ho pati hai.

Neend na Aana

Tanav ke douran neend bahut kam aati hai. Isse biometric cycle chakra thoda disturb ho jata hai aur neend nahi aa pati hai. Aise mai vyakti kuch na khuch khata hai aur uske pachan ki prakriya sucharu roop se nahi ho pati hai, fir kya vajan badh jata hai. Stress and Weight Gain mai neend na aana ek babut mukhaye karan hai.

You may also like:- Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike

Khana na Khana

Tanav ke douran dimag itna uljhan mai rahta hai ki kai baar bhojan ko sahi samay par karna bhul jata ehai. Isse body ki metabolism prakriya mai badha pahuchati hai. Vese na khane se kabhi bhi motapa kam nahi hota hai. Aisa mai aap chahe to Diet Chart for Weight Loss ko bhi apna sakte hai.

Har Samay Kuch Chabate Rahna

Stress ke douran vyakti har samay kuch munching karta hai. Isse use kuch rahat lagti hai. Lekin iss  chakkar mai vah kitni calorie le leleta hai. Iska andaja bhi use nahi rahta hai. Isi karan, vahajn badh jata hai.

Caffeine, Cigarette aur Sharab

Tanav ke douran kisi ko bhi yeh teeno cheezo hi apni dost lagti hai. Lekin inke sevan se sharir mai cortical ka istar badha jata hai aur body ka fats burn nahi ho pata hai, jitna ki ek din mai hona chahiye.

Tanav Hormone ka Nikalna

Tanav ke douran Adrenal Gland ek hormone ko istravit karti hai. Jisee cortisol  kahte hai. Iss hormone mai aise gun hota hai ki tanav ki trivta aur badha jati hai. Iss hormone ke karan  fats ke istar mai bhi badhotari hoti hai.

You may also like:- Stress Relief Tips in Hindi, Tanav se Bachne ke Upay

Aant ki Charbi ka Badhna

Tanav ke karan aant ki charbi badh jati hai, jo pet ke nichale hisse mai badhi huye lagti hai. Ek swasth vyakti mai 1 se 10 % aant ki charbi hoti hai. Lekin tanavgrast vyakti mai iska pratishat jayda hota hai.

Stress and Weight Gain:  Tanav ke Douran Bachiye Motape se

  • Motapa badhne par dhyan rahe ki, jab bhi aapko koi tension ho aap apni pasand ka kaam kijiye. Jese dance, music aadhi. Jisse aapko bahut aaram milega. Saath hi aap apne tanav se aasani se bahar bhi aa sakte hai.
  • Subah uthkar ghari sans lijiye. Isse bhi aapko tanav kam karne mai madad milti hai. Isliye aap hamesha inn tanav se dur rahiye aur apne aap ko swasth rakhiye.
  • Saath hi poshk aahar lijiye. Jisse aapko bahut fayda hoga. Iske saath hi vyayam bhi kjijiye, jisse tanav ke karan aapka vajan nahi badhega aur aap hamesha swasth rahenge.
  • Kisi expert ki salah se aise yogaasn apnaiye jisse aapko bahut jaldi acche result milenge. Saath aapka vajan bhi niyantran mai rahega.

Upar aapane jana Stress and Weight Gain se judhe kuch tathaye. To bas der kis baat ki, agar aapk vajan bhi tanav ke karan badh raha hai. To aaj  iska ilaj kare aur agra  aap chahe to kisi expert ki salah bhi le sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.