Tension matlab tanav jo har vyakti ki jindi ko ghere huye hai. Saath hi jiske chalte insaan kai bimariyo se bhi grasit ho jata hai. Lekin dekha gaya hai ki, bahut si baar log tanav mai hote par, unhe ptaa hi nahi hota hai ki unhe kya ho raha hai.
To chaliye aaj iss article mai hum aapo batate hai, Stress Symptoms. Jisse aap tanav ke lakshano ko pahchan kar jaldi iss paresahni hamesha ke liye bach kar swasth rah sakte hai.
Tanav acche se ache sharir ko behal bana deta hai. Kai bar tanav ke karan kai logo ki jindgi mai uljhane paida ho jati hai. Aaj kal ke dor mai lifestyle bahut busy hone ke karan bacche se lekar badhe tak tension mai rahte hai.
Kai bar to hume samjh nahi aata hai ki, kya hume stress hai? hume lagta hai ki shayad work pressure ki vajah se ya jyada thakan ke karan hume aisa ho raha hai. Lekin vastav mai tanav hi mulye karan hota hai, aapki sari pareshani ko ka.
Vese kuch logo ki icchashakti itni majbut hai ki, vah tanav mai nahi padte hai aur har baar buri prasthiti se bahar nikal jate hai. Lekin kai logo bahut jyada pareshan rahte hai. Tanav ko dur bhagane ke liye sabse jyada jaruri hota hai ki, aap yeh jane ki aap tanav se grasit hai. matlab iske lakshano ko thoda sa bhi ahsaas hone par isse bache.
Tanav se Bachne Ke Liye Stress Symptoms ko Pachaniye
Vajan Badhna
Stress Symptoms ki baat kare to vajan badhna iska sabse badha lakshan hai. Ha, agar pichle kai dino se aapka vajan badh raha hai, jabki aap kuch bhi extra diet nahi leti hai. Tanav ka ucch istar hone par body mai aisa hormone nikalte hai, jinse sharir fhul jata hai aur vajna badhne lagte hai. Aise mai aapko lagega ki aapka vajan badh gaya hai. Lekin vastav mai aap stress mai hai, kyoki aapki body ko jitni matra mai calorie kharch karni chaiye, utni matra mai vah calorie kharch nahi kar pata hai.
Maspeshiyo mai Khichav
Stress ke douran aise hormone nikalte hai hai ki jisse na sirf blood pressure badhta hai. balki heart rate bhi badh jati hai. Aur manspeshiyo mai khichav aa jati hai. Logo ko lagta hai ki shayad vah sahi tarike se soye nahi the, Iss vajah se maspeshiyo mai dard ho raha hai, lekin tanav ke karan aisa hota hai. Tanav ki vajah se kamar mai bhi dard hota hai.
Pet Dard
Pet mai guggudi hona ya halka-halka dard hona, sirf exercise ke karan nahi hota hai. Balki tanav ke karan bhi hota hai. Ek study ke mutabik, jab dimag mai tanav hota hai, to pet mai dikkat hoti hai. Kyoki dimag aur pet aapas mai connected hota hai. Harvard Medical School ke dwara gastro related bimari jese kabj, irritable bowel syndrome aur acidity aadi hoti hai, to matlab hai ki aap tanav mai hai. Aise mai aap Stress Relief Tips ko apna kar iss pareshani se bach sakte hai.
Baalo ka Jhadna
Jyada tanav hone se hormone bhi jyada istravit hota hai. Iss hormone ke chalte baal bahut jhad jate hai. Agar pichle teen-char mahine se aapke baal bahut jyada jhad rahe iska matlab hai ki aap tanav mai hai.
You may also like:- Hair Fall Tips: Baalo ki Problems ka Solution Minto Mai
Bhul Jana
Agar aap pichale kuch dino se ya lambe samay se baato ko sahi tarike se yaad nahi kar pate hai, to aap nisandeh hi tanav mai hai. Tanav ke douran aise hormone nikalte hai, jo aapke dimag ki kshamta par negative prabhav dalta hai aur cheezo ko yaad nahi rakh pate hai. Tanav ke douran sharir mai cortical namak hormone niklta hai, jo short term memory lose kar deta hai. Aur jisse chhoti chhoti baato ko yaad rakh pana mushkil hota hai. To hum bol sakte hai ki, short term memory loss hona ek bahut Stress Symptoms mai se ek hai.
Period Sahi Samay Par na Aana
Mahilao mai period mai aniymita yeh baat darshati hai ki vah mansik roop se paresahn hai aur tanav mai hai. Tanav ki vajah se pituitary gland jo ki hormone ko control karti hai, usme changes aa jate hai, jisse ovulation ki prakriya bandhit hoti hai aur mahilaye ki prajann kshamta par asar pdta hai.
You may also like :- Janiye Home Remedies for Irregular Periods in Hindi
Palako ka Girna
Aankhon mai jalan aur palako ka girna, yeh baat darshata hai ki aap tanav mai hai. Kai bar palako bhi fhadkne lagti hai. Jo sharir mai stress level jyada hone ke karan hota hai. Agar man shant hoga to aankhon ko bhi aarm milta hai aur palke fhadkti nahi hai.
Dane Nikalna
Stress level ucch hone par chehre par dne nikalne lagte hai. Kyoki twacha mai achanak se androgens ka level badh jata hai. Iske alawa, jab aap tanav mai hote hai, to body ki healing power bhi kam ho jata hai.
Emotional Feel Karna
Tanav ke douran vyakti bahut jayda bhavnatamk ho jata hai. Agar pichle kai dino se aap har baat par pareshan ho jate hai aur emotional hokar socahte hai. To aap tanav mai hai.
Negative Khayal Aana
Stress level jyada hone par vyakti ko hamesha negative khayal aate hai aur vah accha sochne ki vajah bura sochta hai. Usse har baat mai negative khayal aate hai. Baat baat mai vah pareshan ho jata hai.
Upar aapne jane Stress Symptoms. To bas aagar aapko bhi apne andar inn lakshan ka ahsaas ho raha hai , aaj hi iska ilaj karva ke iss bimari se bache aur hamesha swasth rahe.