Garbhavastha ki janch (Pregnancy Test) karne ke liye kai tarah ki kit bajar mai aasani se uplabdh ho jati hai, tatha iske alawa bhi kai aese upkaran hai jo aapko yeh pata karne mai madad karte hai ki aap pregnant (Garbhavati) hai ya nahi. Lekin kai aesi jagah bhi hai jaha parikshan tantra aasani se nahi milte.
Khas kar gavo mai inka milna thoda mushkil hota hai. Kuch mahilaye ghar par hi pregnancy test karne ki koshish karti hai kyonki unke pas hospital ki suvidha nahi hoti hai aur na hi koi medical store hota hai ki unhe pregnancy kit aasani se mil jaye. Lekin aap iss bat ki chinta mat kijiye ki aapke aas pas medical store aur clinic hai ya nahi.
Hum aapko aesa tarika batane ja rahe hai, jiske dwara aap ghar par hi pata laga sakti hai ki aap garbhavati hai ya nahi. Aap sugar ki sahayata se ghar mai garbhavati hone ki janch kar sakti hai tatha yeh aapke liye nuksan dayak bhi nahi hoga to janne ke liye padhe Sugar Pregnancy Test in Hindi.
Sugar Pregnancy Test in Hindi: Jane Kya Aap Garbhavati Hai
Jab bhi aap garbhavastha parikshan karte hai to yeh parinam sakaratmak tab hota hai jab aapke urine mai pregnancy hormones aur HCG dikhai de. Mahila mai upastith HCG Hormones ki matra ki tadat nirdharit karti hai ki mahila garbhavati hai ya nahi.
Jab mahila garbhavati hoti hai usme pregnancy hormone HCG bahut adhik matra mai dikhai deta hai. Aur yeh iss bat ki pushti kar deta hai ki mahila garbhavati hai.
Aap garbhavati hai ya nahi iska pata lagne ke liye sabse accha samay subah ka hota hai. Iss janch ko karne ke liye subah ke urine se janch kare, dhyan rakhe uthne ke bad na hi aap pani piye aur na hi kuch khaye jaise aap uthte hai washroom mai jakar iss test ko kare.
Jane Kaise Kare Test?
- Iss test ko karne ke liye 1 disposal le aur usme 2 se 3 chammach shakkar dale.
- Ab shakkar ke disposal mai aapka urin dale aur kuch der dekhe.
- Iske bad dekhe ki shakkar aur urin aapas mai ghul rahe hai ya nahi.
- Yadi shakkar puri tarah se ghul jaye to samajh lijiye aapka test negative hai.
- Agar shakkar puri tarah guccho mai ho jaye samajh le ki aapka test positive hai.
- Iska sahi parinam janne ke liye subah subah ka urine prayog mai laye.
Pregnancy Test Ko Jachte Samay Dhyan Rakhe
Jab bhi aap Pregnancy Test at Home karne wali hai to kuch chije aapke dimag mai hona bahut jaruri hai. Jaise jab aapne sugar se pregnancy test kiya hai aur jo bhi parinaam aaya hai to ek baar doctor se janch karwaye aur iss baat ki pushti kar le.
- Kyonki ho sakata hai jo bhi parinaam aaya hai wo ek dam sahi na ho. Yadi aap garbhavati hai to aese samay mai aapko aapke swasth ka dhyan rakhna bahut jaruri hai aur aap inn sab baaton par dhyan na de.
- Yadi aap gharelu nuskho se garbhavati hone ka parikshan karti hai to buddhimani se janch kare taaki aapko iske koi nuksan na ho.
- Kai log pregnancy test karne ke liye sabse jyada bleach ka istemal karte hai aur yeh aapke liye hanikark hota hai isliye jab bhi aap ghar par iss baat ka praikshan karne ka soche aap sugar ka istemal kare taki aapko kisi tarah ka koi nuksan na ho.
Upar apne jana Sugar Pregnancy Test in Hindi. Uprokt di gai jankari ko dhyan mai rakhte huye iss test ko kare taki aap ek safal parikshan pa sake aur aapko pata chal jaye ki aap garbhavati hai ya nahi. Ise aap ghar par bahut aasani se kar sakte hai.