Khansi ka Ilaj (Cough in Hindi) – Khansi ka Gharelu Upchar

Khasi ka Ilaj – Khasni ko English mai “Cough” bhi kaha jata hai. Cough ki samasya hona kaafi aam baat hai. Jab bhi yeh samasya hoti hai to hame accha mehsus nahi hota aur har wakt aesa lagta hai maano gale mai kuch atka hua hai. Kai bar gale mai sukha cough ho jata hai jo ki dhul mitti ya fir kisi allergy ke karan hota hai.

Iske karan hame sukhi khasi aati hai, jiske chalte gale mai dard, khujli aur sine mai dard jaise lakshan dekhne ko milte hai. Vaise jaruri nahi hai ki dhul mitti hi sukhi khasi hone ke karano mai se ek hai.

Yeh kai wajaho ke chalte ho sakta hai jaise viral bukhar, sardi-jukham, dhumrapan karna aadi. Kuch swasthya sambandi bimariyo jaise asthma aur lung cancer ke karan bhi aapko sukhi khasi ho jati hai.

Sukhi khasi ko khatam karne ke liye aap cough syrup lete honge. Lekin yadi aap jad se iss samasya ko khatm karna chahte hai to aapko gharelu upchar ka sahara lena chahiye. Isme bhale hi wakt lagta hai lekin aapki samasya jad se khatam ho jati hai. To chaliye jante hai Home Remedies for Dry Cough in Hindi.

Khasi ka Ilaj – Sukhi Khasi Se Nijat Gharelu Khasi ki dawa Se

Khasi ka Ilaj Haldi Se

Haldi gale mai moujud cough aur infection ko dur karne ke liye prabhavi jadibuti hai aur khaskar yeh sukhe cough par kaam karti hai. Haldi mai curcumin namak tatva paya jata hai jisme antibacterial, anti viral aur anti inflammatory gun paya jate hai. Isliye yeh viral infection jaise sardi aur khasi ko dur karne mai madad karta hai.

Istemal Vidhi 1:

  • Ek glass dudh ek tapeli mai ubalne ke liye rakhe, usme ek chammach haldi dale aur ubalne de.
  • Dudh ko aadha hone tak ubale aur fir channi se chhan le. Garam garam chuski ke sath piye.
  • Yeh prayog raat ke wakt sone jane se pehle kare.

Istemal Vidhi 2:

  • Ek chammach haldi ka powder le aur usi anupat mai ajwain bhi le.
  • Ab dono chizo ko pani mai dalkar, pani ko aadha ubalne tak rakh de.
  • Iss mishran mai thoda sa shahad dale aur ise do se teen bar le, aapko khud farak najar aane lagega.

Khasi ka Ilaj  Adrak Se

Sukhi khasi ho ya gili khasi, adrak dono se hi rahat dilane mai kafi madad karti hai. Yaha tak ki iska istemal cough syrup ko banane mai bhi kiya jata hai. Yeh aapke gale mai hone wali kharas se rahat dilati hai. Isme moujud gun aapki shvasan pranali ko bhi theek karte hai.

  • Adrak ka chota sa tukda lekar us par thoda sa namak laga le. Iss tukde ko muh mai rakhkar chuse.
  • Aap yadi adrak ki chai banakar peete hai to isse bhi aapko thoda aaram milta hai.

Khasi ka Ilaj  Namak Ke Pani Se

Namak ka pani aapke gale se sujan to dur karta hi hai sath hi sath isse sukhi khasi mai bhi aaram milta hai. Aap chahe to namak ko sek kar ek potli mai bharkar usse sek le, tab bhi fayda milta hai.

  • Ek galss garam pani mai do chammach namak dale aur acche se hila le.
  • Pani ka ek ghut muh mai dale, ise nigale nahi aur gale mai hi rok kar rakhe.
  • Kuch seconds gargle kare, fir wapis muh mai pani lekar gargle kare.
  • Baad mai acche pani se muh dho le. Cough Relief ke liye yeh ek accha tarika hai.

Khasi ka Ilaj Garam Pani Ki Bhap Se

Yadi aapko na haldi ka dudh lena pasand hai na kadwa kadha peena pasand hai to bhi aap apne gale ki samasya ko theek kar sakte hai. Garam pani ki bhap lene se gale ka cough dhila hokar nikalta hai jisse aapko aaram milta hai.

  • Iske liye garam pani le aur usme vicks vaporub ka aadha chammach dalkar hilaye aur bhap le.
  • Din mai 3 bar 10 minute ke liye bhap lene se fayda milta hai. Bhap lete wakt khud ko towel se cover karna na bhule.
  • Aap chahe to garam pani mai vicks ki jagah kuch bunde eucalyptus oil ki aur 3 bunde tree tea oil ki bhi daal sakte hai.

Khasi ka Ilaj  Shahad Se

Shahad mai antibacterial gun moujud hote hai. Yeh cough ko khatam karta hai sath hi sath immunity system ko bhi accha karta hai. Isliye ham keh sakte hai ki yeh Best Medicine for Dry Cough hai.

  • Prayog ke liye 2-3 adrak ke tukde ko keeskar uska ras nikal le. Ras ko ek bottle mai bhar le.
  • Jitna ras aapne liya hai utna hi shahad usme milakar acche se hila le.
  • Din mai teen bar iss mishran ko lene se sardi, khasi sab theek ho jata hai.
Ingredients Kiske Sath Sevan Kare
Haldi Dudh mai Dalkar Piye
Adrak Garam Pani mai Ubal Kar
Nimbu Nimbu Ke Ras mai Shahad Dal Kar
Lahsun Lahsun Ko Ubal Kar Shahad Ke Sath
Kali Mirch Ise Ghee mai Bhunkar Khaye

Upar aapne jana Khasi ka Ilaj . Bataye gaye upay kaafi prabhavi aur asardari hai. Ise lene se aapko fayda milega aur dawai lene ke baad jis tarah ki weakness aati hai wo bhi nahi aayegi.

Loading...

This website uses cookies.