Hair Care Tips in Hindi: Baalo Ki Dekhbhal Ke Tarike

Har ladki ya mahila apne baalo ko khubsurat aur swath rakhna chahti hai. Kyonki acche baal unki khubsurti ko aur bhi jyada bada dete hai. Lekin global warming ke chalte tapman badta hi ja raha hai. Tej dhup aur garam hawae aapke baalo ko bahut nuksaan pahuchti hai. Garmi aur dhul mitti dono se hi baal damage hokar jhadne lagte hai.

Iss mosam mai baalo mai bahut adhik gandgi jama ho jati hai. Iske atirikt baal ke rom chhidro mai se sebum tel adhik matra mai nikalne lagta hai. Garmiyo ke mosam mai aapka dhup ke samprak mai aana to swabhavik hi hai. Jiski wajah se sar mai pasina aane ke karan baalo ke jhadne ki samsya bahut bad jati hai.

Wahi jab aap ghar se thoda sa bahar niklte hai tej dhup aapke baalo ko jhulsa deti hai. Yadi aapke baalo ko aap swasth sundar aur chamakadar rakhna chahti hai to baalo ki dekhbhal karna bahut jaruri hai warna asamay hi aapke baal jhadne lagenge.

Hum mosam ko to nahi badal sakte lekin baalo ki dekhbhal karke unhe swasth to rakh sakte hai. Inhe swasth rakhne ke liye aaiye jante hai Summer Hair Care Tips in Hindi.

Summer Hair Care Tips in Hindi: Garmiyo mai Baalo ki Dekhbhal

    1.  Dhup mai Jane Se Bache – Tej dhup baalo ki chamak to kam kar deti hai sath hi isse baal sakth bhi ho jate hai. Kyonki garmi mai chalne wali lu baalo ko kamjoor banati hai. Isliye ghar se bahar nikalte samay baalo ko kapde se bandh kar nikale aur aesi hairstyle banaye jisse baalo ko kam se kam exposure ho.
    2. Swimming Ke Douran Cap Ka Istemal – Kai log garmi ke dino mai swimming pool mai nahana pasand karte hai lekin kya aapo jante hai swimming pool ke pani ma chlorine mila hota hai jo baalo ko kharab kar deta hai. Isse bachne ke liye jab bhi aap swimming pool mai nahane jaye swimming cap pehankar nahane jaye. Jisse aapke baal kharab nahi honge.
    3. Herbal Tea Se Baalo Ko Dhoye – Aapne herbal tea ke kai fayde sune honge lekin kya aap jante hai ki herbal tea ki madad se aap baalo ki bhi dekhbhal kar sakte hai. Darahsal kadi dhup aapke baalo ke rang ko feeka kar deti hai. Aese mai baalo ke prakratik rang ko barkarar rakhne ke liye use herbal tea ki madad se dhoye. Yadi aapke baal sunhare rang ke hai to herbal tea mai nimbu ka ras dalkar lagane se fayda hoga. Agar aapke baal bhure hai aur aap unhe bhure hi rakhna chahti hai to black tea se baalo ko dhoye. Parantu dhyaan rakhe ki garam chai se baal na dhoye use thanda hone ke bad hi dhoye warna aapke baal kharab ho jayenge.
    4. Tel Se Malish Kare – Hafte mai do bar halke gungune tel se baalo ki malish karne se baal acche hote hai. Isse sar mai rakt sanchaar badta hai aur sar ki acchi kasrat ho jati hai. Yeh ek faydemand Tips for Healthy Hair hai. Lekin baalo ki aavyashakta anusar hi tel lagana chahiye. Lekin kai mahilaye aesa sochti hai ki wo ek hi baar tel laga rahi he to pure tel ki bottle hi undel deti hai. lekin itne tel ko aapka sar pura sokh nahi pata aur iski wajah se aapko jyada shampoo lagana padta hai taaki baalo se pura tel nikal jaye. Lekin shampoo mai bahut sare chemical hote hai jisse jyada lagane par baal kharab hote hai.
    5. Hair Spa Bhi Fadyemand – Har mosam mai rusi ki samsya aapke baalo ko ghere rehti hai. Isse bachne ke liye baalo ki acche se saf safai kare taki aapke baal swasth rahe. Darahsal rusi se baal bahut jhadte hai aur patle ho jate hai. Hair spa baalo ko nami pradan karta hai. Rusi se nijat pane ke liye aap gharelu upay bhi kar sakti hai.
    6. Baalo Ko De Conditioning – Garmi ke dino mai dhup ki wajah se baal jhulas jate hai. Isse bachne ke liye hair conditioning kare. Taki aapke baal naram aur suljhe huye rahenge. Conditioning se garmi ke mosam mai baalo ko rahat milegi. Bajar mai kai tarah ke condition uplabdh hai. Jise aap apne baalo ke anusaar chun kar uska istemal kar sakti hai.
    7. Shampoo Ka Istemal Kam Kare – Koshish kare ki hafte mai do bar se jyada shampoo ka istemal na kare aur ise hamesha scalp par lagaye. Ise baalo ki jado par lagane se bache. Baalo ko dhote samay shampoo ko acche se saaf kare.
    8. Baalo Ko Moisturize Kare – Baalo ko swasth bane rehne ke liye inka moisturize hona bahut jaruri hai. Lekin jyada tel lagane se jyada shampoo ka istemal karna padta hai. Isse baalo ki nami khone lagti hai aur baal sukhe bejaan hone lagte hai. Iske liye bear ko baalo mai tel ki tarah malish karte huye 20 minute tak lagaye aur uske bad baalo ko acche se dho le. Ise hafte mai sirf ek bar kare.
    9. Garmiyo Ke Hair Mask – Garmiyo mai baal jhadne ki samasya bahut adhik hoti hai aur yahi samay hai jaha aapke baalo ki dekhbhal karna bahut jaruri hai. Iske liye aapke baalo mai natural hair mask lagaye jisse aapke baalo mai protein ka sanchaar hoga. Ande ke safed bhag ko fet kar usse baalo mai lagaye tatha isse kuch der bad dho le. Ande mai protein hota hai jo aapke baalo ko acchi tarah se protein pradan karta hai. Isse aapke baal swasth ho jate hai. Iske alawa aap dahi ka hair mask bana kar laga sakti hai. Kyonki dahi mai bhi kafi matra mai protein hota hai.
    10. Gile Baalo Mai Naa Kare Kanghi – Gile baalo mai kanghi karne se wo jaldi sulajh jate hai. Lekin yadi aap gile baalo mai kanghi karte hai to baalo ki jado mai khichav jyada banta hai jisse jade kamjoor hoti hai. Isliye jab tak ki baal acche se sukh na jaye aap gile baalo ko aapki ungliyo se suljha sakte hai. Iske atirikt baalo ko suljhane ke liye hamesha choude danto wale kanghi ka istemaal kare. Yad rakhe gile baalo mai kabhi bhi hair dryer ka istemal na kare aur na hi baalo ko toliye se ragad ragad kar sukhaye unhe apne aap sukhne de.
    11. Baalo Ko Khula Na Rakhe – Garmiyo mai baalo ko dhili si choti bana kar rakhe. Kyoki aapke baalo ka style aesa hona chaiye jisse garmi mai aapke baal na to jyada dhup ke samprak mai aaye na hi pasine ki wajah se baalo mai jhadne ki samasya ho. Dhili chhoti se aapke baal dhup aur pasine se bache rahenge kyuki pasina aane ke karan baal mai gandagi jamne lagti hai aur baal aswasth ho jate hai. Iske alawa rusi tatha sar mai ghav jaisi pareshani bhi ho sakti hai.
    12. Uljhe Baalo Ki Pareshani Se Bache – Garmi ke dino mai tej hawaye chalti hai jisse baal udte hai aur uljh jate hai aur kai logo ke ghughrale baal hote hai jo aur bhi jyada uljhte hai. Darahsal yeh hawao mai moujud nami ke karan hota hai. Aese mai aap natural hair mask ya fir silicon yukt serum ko lagaye. Isse aapko baalo ki samasya se nijat mil jayega. Aapke baalo ko poshan dene ke liye avocado, til ka tel aur ande ko mix karke baalo mai lagaye fir aadhe ghante bad baalo ko dho le. Avocoda mai vitamin E aur fatty acid hota hai jo baalo ko poshan aur protein deta hai.

Upar aapne jana Summer Hair Care Tips in Hindi. Upar diye gaye tariko se aap garmi mai apne baalo ki dekhbhal kar sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.