Summer Health Tips in Hindi: Garmiyo mai Swasth Ka Khayal

Garmiyo ka mousam aate hi aap apne aur apno ke swasth ko lekar bahut satark ho jate hai. Garmiyo ke shuruwat se hi iska asar hamare swasth par padne lagta hai. Har mousam mai swasth rehne ke liye jivan sheli ko bhi mosam ke anusaar badlna padta hai. Kyuki garmiya aate hi khane ki shamata kam ho jati hai jisse sharir ko paryapt urja nahi mil pati hai.

Garmiyo mai sharir ko kai tarah ki pareshaniya jaise ki thakan, pet mai jalan, apach aadi hoti hai. Iss samay sharir ko alag tarah se dekhbhal ki jarurat hoti hai, isliye jaruri hai ki aap garmiyo mai khane pine ke sath pehnave ko bhi badle.

Sari baato ka pehle se hi khayal rakhkar aap mosam ki maar se khud ko aur aapke apno ko bimariyo se bacha sakte hai. Garmi se bachne ke liye sabse pehle subah uthkar dincharya ko banaye aur aapke diet ka bhi khyaal rakhe. Khane mai jyada se jyada salad khaye.

Garmiyo ke wajah se kabhi bhi apne vyayam ko band na kare. Iss mousam mai jaldi dhup aa jati hai, isliye vyayam ka samay subah ka chhun le. Yadi aap jaldi nahi uth pate hai to aap sham ke samay bhi vyayam kar sakte hai. Apni sehat ka khayal rakhne ki aur jankari ke liye padhiye Summer Health Tips in Hindi.
 

Summer Health Tips in Hindi – Garmiyo mai Aese Kare Dekhbhal

 
Summer Health Tips in Hindi
 

Khub Pani Piye

Garmiyo ke dino mai garam hawaye behti hai aur dhup bhi bahut tej hoti hai. Isliye aese mai jaruri hai ki aap jab bhi ghar se bahar jaye 1 glass pani pee kar nikle aur din bhar mai bhi kam se kam 10 se 15 glass pani jarur piye.

Garmiyo ke dino mai pasina bahut aata hai. Jiske chalte aapko dehydration ho jata hai. Sharir mai pani ki kami ko dehydration kaha jata hai. Isse bachne ke liye bharpur pani pina jaruri hai.
 

Phalo Ka Ras

Garmiyo ke dino mai kuch bhi khane ka man nahi karta hai. Jisse sharir mai kamjori aa jati hai. Inn dino aapko kuch thanda thanda pine ka man karta hai. Lekin bahar milne wali cold drink sehat ke liye acchi nahi hoti hai. Isliye chilled fruit juice aapke liye accha vikalp hai.

Garmiyo mai phalo ka sevan ya fir unka ras ka sevan aapke sharir mai vitamin, protein, aur minerals ki puri hoti hai sath hi yeh pani ki kami ko bhi pura karta hai. Phalo ke ras ko pine se aapke sharir ki urja aur rog pratirodhak shamata badti hai jisse garmiyo mai hone wali pareshaniyo se chhutkara milta hai.

Mosami phalo ka ras jaise tarbooj, mosambi ,angur aadi ka sevan kare jisse aapke sharir mai pani ki kami nahi hogi. Inn raso ko aap nashte ke samay aur sham ko bhi pee sakte hai.
 

Alcohol Se Banale Duri

Inn dino mai alcohol ka sevan kam se kam kare, ya ho sake to na kare kyunki usse aapko kuch der to rahat milegi par yeh aapke swasth ke liye hanikark hota hai. Isliye beer wagerah pine ke bajay behtar hoga yadi aap upar bataye gaye phalo ka ras le.
 

You May Also Like:- Summer Beauty Tips in Hindi: Garmiyo Mai Aese Kare Dekhbal

 

Faydemand Hai Hari Sabjiya

Hari sabjiyo ka sevan karna har mosam ke liye accha hota hai. lekin garmiyo ke dino mai masaledar sabji banane ke bajay iska prayog salad ke roop mai kare ya fir ise ubal kar khaye. Namak ka sevan bahut kam kare kyunki sharir mai organic ke rup mai namak hota hai jo sabjiyo ka sevan karne se aapke shair ko mil jata hai.

Iske atrikt lunch mai halka bhojan kare aur jyada mirch masale wale khane ka sevan bhi kam kare.
 

Loo Se Bache

Garmi ki wajah se garam hawa aur garam lapte uthti hai. Jab bhi aap ghar se bahar nikalte hai to uska sidha asar hamare nervous system par padta hai jiske karan aapko kai bar loo lag jati hai kai bar pani ki kami ke karan bhi loo lag jati hai.

Loo se bachne ke liye dhoop mai keval adhik jarurat padne par hi nikle. Iske atirikt inn pey padartho ka sevan kare, jaise kacche aam ka pana, chahch, dahi, lassi, dudh ki shikanji aadi. Inka sevan karne se aapke sharir mai pani ki kami nahi hogi aur bahar ka tapman ka asar aapke sharir par nahi hoga.
 
Health Tips in Summer Season
 

Taja Bhojan Kare

Garmi ke mousam mai jyada bhari aur basi bhojan karne se bache kyuki garmi mai hamara pachan tantra kamjor ho jata hai jisse basi bhojan ko pachane mai mushkil hoti hai. Iss tarah ke bhojan mai pet kharab hone ka khatra bana rehta hai. Isliye jitna ho sake halka poshtik aur santulit aahar ka sevan kare. Bhojan mai kam tel masale ka khana apne bhojan mai shamil kare.
 

Twacha Ka Rakhe Khayal

Summer Seasons mai dhup ki wajah se twacha par rukhapan aur tanning ki samsya bahut ho jati hai isliye chehre ko suraksha dene ke liye herbal pack ka istemal karna chahiye kyuki jayda samay tak twcha par rukhapan hone se twacha sambandhi kai rog ya allergy ho sakti hai. Aese mai herbal pack se aapki twcha komal aur tanning mukt hoti hai.

Iske atirikt summer skin care tips ke anusar jab bhi aap ghar se bahar nikale sharir ke sare khule bhag par kapda bandhkar nikle aisa karne se aap dhup se aane wali sidhi hanikarak kirno se bache rahenge sath hi twacha dhul aur dhup se khrab nahi hogi aur kisi bhi tarah ki twcha sambhandhi samsya hone ki sambhavna kam hoti hai.
 

You May Also Like:- Summer Drinks in Hindi – Sharir Ko Shitalta Pradan Kare

 

Aankho Ki Dekhbhal

Aankho mai kai tarah ki samasya hoti hai unhi mai se ek conjunctivitis hai jo garmiyo ke dino mai kisi ko bhi ho jati hai. Iske douran aankho mai sujan, khichd aur dard hota hai. Iss samasya ke douran aankho ki palke bhi jhapka nahi pate hai. Conjunctivitis mai aankho ka lal hona, khujali hona, aankhon se pani nikalna jaise lakshan dikhai de to aapko doctor ke pas jana chahiye.

Garmiyo ke mousam mai sehat ke sath sath aankho ka bhi khayal rakhna chahiye. Inn samayao ko andhekha nahi karna chahiye.

Conjunctivitis bimari yadi aap ko hui hai to chashma pehan kar rakhe kyoki isse dusro ko infection hone ka khatra bana rehta hai aur suraj se aane wali ultraviolet kirne aapki aankho ko nuksaan nahi pahucha pati hai. Ultraviolet kirno ki wajah se aankho ke retina par dush prabhav padta hai chahe to aapki aankho ki surksha ke liye aap uvi-protected contact lance ka bhi istemal kar sakte hai. Conjunctivitis hatho ko lagane se bhi failta hai isliye hatho ke bar bar aankho par na ragde aur hatho ko bar bar pani se dhoye taki dusro ko isse infection na ho.
 

Garbhavati Mahilaye Rakhe Apna Khas Khayal

Garbhavati mahila garmiyo ko jyada sahan nahi kar pati hai. Kyonki garbhavastha ke samay mahilao mai kai tarah ke hormonal badlav aate hai isliye garmi mai garbhavati mahilaye apna khaskar ke khayal rakhe.

Aese samay mai garbhavati mahilao ko cotton ke aur dhile kapde pehnna chahiye aur jitna ho sake utna adhik pey padhartho ka sevan karna chahiye. Jyada se jyada pregnant women health tips ke bare mai janna chahiye.

Garbhavati mahilao ko electrolytes ki bahut aavashyakata hoti hai isliye phalo ka ras, dudh aur nariyal pani ko bhi apne dainik aahar mai shamil karna chahiye taki sharir ki sare ang acche se karya karne mai saksham ho. Garmi ke mousam mai pasina nikalne ki wajah se electrolytes kam ho jate hai. Electrolytes ki kami pet mai pal rahe bacche ke liye hanikark hota hai.

Garmi se rahat pane ke liye ac mai baithne ke bajay sham ko khuli hawa mai tehalne jaye. Garmiyo mai aane wale sabhi phalo ka sevan karna garbhavati mahila ke liye bahut accha hota hai. Garbhavati mahila ko sunburn ki samasya bahut adhik hoti hai isliye dhup mai jane se bache . Aur dehydration ki samasya se bachne ke liye pani ka adhik sevan kare. Kyoki isse aapke hone wale bacche ko bhi nuksaan pahuchta hai.
 
Upar aapne jana Summer Health Tips in Hindi. Garmiyo mai sehat ka acche se khayal rakhne ke liye upar diye gaye sujhao ko apnaye. Ho sake to din mai do baar snan kare. Wakt par khana khaye. Inn sabhi tariko se iss mousam mai bhi aap swasth rahenge.

Loading...

You may also like...