Garmiyo ke mousam me hum humesha hi apne look ko lekar chintit rahte hai. Jis tarah fashion trend mousam ke anusar badalta rahata hai, thik usi tarah makeup bhi har season me badal jata hai. Aaiye jante hai Summer Makeup Tips in Hindi, aur banate hai apni skin ko pehle se behtar.
Garmi ki wajah se pasina aur sun tanning bahut hoti hai jisse pura makeup bigad jata hai. Isliye accha hoga ki aap garmiyo me simple aur halka makeup hi lagaye. Isse makeup ko baar-baar thik karne ka jhanjhat bhi khatam ho jayga aur aap simple bhi lagegi.
Mousam ke badalne par twacha bhi bahut prabhavit hoti hai. Baat yadi garmi ki kare to garmiya aate hi iska prabhav twacha par saaf dekha ja sakta hai. Chehre par muhase, pasina aur gandgi jam jana iss mousam me hone wali aam samasya hai.
Lekin aapko ghar se bahar to nikalna hi hoga. Isi ke chalte ladkiya apne chehre aur baki sharir ki twacha ko bachane ke liye muh par duppata bandh kar nikalti hai aur kuch Sunscreen lagakar apni twacha ka bachav karti hai. Aaiye jante hai aise hi kuch tips aur banate hai aapki skin ko khubsoorat.
Summer Makeup Tips in Hindi: Banaiye Aapki Skin ko Khubsoorat
- Concealer: Garmi me foundation aapke chehre ko thoda heavy dikh sakta hai. Isliye foundation se bachiye aur concealer ko prayog kariye. Yeh chehre se daag-dhabbo ko mitata hai aur bedaag khubsoorti ko samne lata hai. Agar aapko simple aur akarshak dikhna hai, to liquid concealer ka upyog kare.
- Blush: Light summer look ke liye makeup ko bilkul simple rakhe. Aapko kewal apne upar ke gaalo par ek blush marna hoga aur kuch nahi. Bas iss kaam se hi aap din bhar ke liye taiyar ho jayegi.
- Kajal: Garmiyo ke hisaab ko dhyan me rakhte huye yeh makeup ki best taknik hai. Halaki aap agar halka makeup kar rahi hai, to uss hisaab se aapko halka kajal lagana chahiye. Agar raat ki baat kare to uss samay ke liye gaadha kajal lagaya ja sakta hai, jisse aapki aankhe highlight ho sake.
- Lip Gloss: Koi bhi makeup adhura rahega jab tak aap apne hontho ko rangeen nahi karegi. Jesa ki garmiya aa chuki hai, to lihaaj se apne hontho par lipstick ki jagah kewal lip gloss hi lagaye. Halke aur khule rang inn dino kafi acche lagege, isliye aise color hi pasand kare.
- Rose Water: Aapke chipchipi aur murjhaye chehre ko har waqt safai ki jarurat hai. Rose water aapke iss chehre ko fresh look de sakta hai. Isse pores khul jate hai saath hi agar aapka makeup pure chehre par fail gaya ho to bhi aap cotton ki madad se saaf kar sakte hai.
You may also like: Face Glow Tips in Hindi: 2 Din me Apne Chehre ko Nikhare
Summer Face Mask: Garmiya me Inn Mask ka Istemaal Kare
Garmiyo me twacha ki dekhbhaal karna bahut hi jaruri hai. Twacha ko humesha cleansing, tanning aur moisturizer karne ki avashyakta hoti hai jisse wah chamakdar bani rahe. Saath hi suraj ki dhoop se bhi twacha ki chamak khatam ho jati hai isliye jaruri hai ki apne chehre ko bachaya jaye.
Wese to garmi ko beat karne ke liye kai saare product bazaar me hai par aaj hum aapko Summer Face Mask ke bare me batayenge jisko aap aasani se ghar me bhi bana sakte hai.
- Cucumber Mask: Twacha par thandak ka ahsaas karwane ke liye yeh ek aisi sabji hai jo aam tour par istemaal ki jati hai. Kheere ka prayog kisi bhi prakar ki twacha ke liye kiya ja sakta hai. Yeh facial mask aaram se ghar me banaya ja sakta hai. Bas kewal kheere ko piss kar usme gulab jal ko milaye. Agar aapka chehra dry hai to aap usme glycerin bhi mila sakte hai. Isko apni gardan aur chehre par 15 minute tak ke liye lagaye aur thande pani se dho le.
- Strawberry Mask: Agar aapke chehre par tanning hai to iss mask ka istemaal kare. Isko lagane se chehra chamakdar ban sakta hai aur dhoop ke daag se bhi nijaat mil sakta hai. Kuch strawberry mash kare aur usme olive oil, gulab jal aur ek spoon chini mila de. Aap chahe to dudh bhi mila sakte hai. Isko apni gardan aur chehre par 20 minute tak ke liye lagaye aur thande pani se dhole.
- Nimbu aur Dahi: Isko lagane se chehra khil uthata hai aur sun tanning bhi dur hoti hai. Suraj ki garmi se nijaat pane ke liye iss mask ko aapko roz lagana chahiye. Dahi le aur usme kuch bunde nimbu ki daal kar chehre par lagaye. Chahe to isme aap besan aur cream bhi mila sakte hai.
- Papaya Face Mask: Summer Makeup Tips in Hindi ke upay ko apnakar aap apni twacha ko sundar bana sakte hai. Aapko iss mask ko banane ke liye paka huya papita aur dudh ka mishran tayar karna hoga. Iske saath hi isme kuch bunde nimbu aur rose water ki bhi mila sakti hai. Chehre par laga kar sukhne ke baad ise thande pani se dhone par aap fresh feel karegi.
- Tamatar Mask: Iss mask ko banane ke liye aapko kewal tamatar ki jarurat hai. Uske gude ko apne chehre par ragad le. Isko kewal 15 minutes tak ke liye lage rahne de. Jab yeh sukh jaye tab ise dudh se dhoye aur phir thande pani se dobara dhoye. Isse aapki twacha fresh ho jayegi aur garmi se bhi rahat milegi.
Summer Makeup Tips: Garmiyo me Twacha ki Sahi Tarike se Dekhbhaal Kare
- Garmiyo me yadi aap bahut thakan mahsoos kar rahe hai to chehre par pani ki boond dalkar aap fresh mahsoos kar sakte hai. Sada pani bhi aapki twacha ko tarotaaza rakhta hai. Yeh ek prakritik moisturizer ki tarah bhi kaam karta hai.
- Aap kheere ke juice ko chehre par lagaye jisse chehre ki twacha ko thandak mahsoos hogi aur aap sun burn ki samasya se bhi bache rahege.
- Garmiyo me nimbu bhi twacha aur sehat dono ke liye faydemand hota hai. Isme bleaching agent hota hai, jo sun tanning ko dur karta hai. Aap kisi bhi facepack me nimbu ki kuch bunde milakar twacha par laga sakte hai. Isse twacha saaf hogi aur sun tanning bhi dur ho jayga.
- Shahad bhi twacha ke liye accha hota hai, yeh twacha ko nami pahuchahta hai aur twacha ko saaf karne ke saath-saath jhhaiya mitata hai aur twacha mai thandak ka ahsaas dilata hai.
- Papite ko masal kar iske paste ko dahi ke saath milaiye aur garmi me ise chehre, haato, aur gardan par lagaiye. Isse skin tight aur saaf hoti hai.
- Twacha ko hydrate kare. Hydration aapki twacha ko komal aur swasth banaye rakhne ke liye mahatvapurna hai. Aapki twacha ke liye pani ke mahatva ko jane aur apne aap ko hydrate rakhe. Twacha ko khubsoorat aur jawan banaye rakhne ke liye pratidin 8-10 gilass pani avashaya piye.
- Moisturizer ka istemaal aapki twacha ke prakar par nirbhar karta hai. Apni twacha ke anusar moisturizer ka istemaal kare. Isse aapki twacha ko hydrate kare, elasticity ko banaye rakhne aur jhurriyo ko rokhne me madad karta hai. Isliye mousam kesa bhi kyu na ho apni twacha ko humesha nami yukt rakhe.
Upar aapne jane Summer Makeup Tips in Hindi. To iss garmi bachaiye apni skin ko dhoop se aur paiye sundar twacha. Inn upay ko sahi dhang se karne ke baad aap apni skin me ek naya change payege.
Skin Care se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.