Garmi ka akarshak aur avashyak phal Tarbuj sharir me pani ki kami ko pura karta hai aur iss mousam me yeh phal khane se aapka sharir tarotaaza mahsoos karta hai.
Watermelon Benefits ko dhyan me rakhkar iska use karna chahiye jo ki aapke sharir ko urja pradan karta hai aur yeh kai guno se bharpur hota hai
Tarbuj me anti-oxidant bhi hota hai aur yhi nahi research ke anusar tarbuj pet me cancer, heart disease aur madhumeh se bachata hai. Tarbuj me 92% pani aur 6% sugar hoti hai, yeh Vitamin A, Vitamin C aur Vitamin B6 ka sabse achha source hai.
Isme beta carotene hota hai jo heart diseases ke risk ko kam kar ke cell repair karta hai. Aajiye aur jante hai iss swadisht mithe phal, Watermelon Benefits in Hindi ke bare me:-
Watermelon Benefits in Hindi: Guno se Paripurna Tarbuj
1) Blackheads se Chutkara
Watermelon ka guda le aur isse blackheads ke prabhavit jagah par ragde. Ek minute uprant chehre ko gungune pani se saaf kar le.
You may also like: Benefits of Oranges – Jane Sehat ke liye Santre ke Fayde
2) Dil aur Cholestrol ke Liye
Tarbuj me anti-oxidants hota hai jo ki dil ki bimari ko dur rakhta hai aur cholesterol ko ghol deta hai.
3) Budapa Bhagaye
Isme beta carotene aur anti-oxidants hone ke nate ise khane se sharir par free radicals ka asar nahi padta. Sharir humesha jawan hota hai aur twacha humesha chamakti rehti hai.
4) Heart attack, Asthama, Stroke Jesi Bimari ko Dur Rakhe
Isme lycopene hota hai jo ki free radicals ki kshamta ho kam karta hai jo ki sujan, gathiya, asthama, stroke aur heart attack jesi bimariyo ko hata sakta hai.
5) Flu se Bachaye
Aapko Watermelon Benefits ka andaza bhi nahi hoga. Iska ek sabse bada fayda ye hai ki ye humare sharir ke pratiraksha tantra ko majboot banata hai. Sharir me Vitamin C hone se aapko kabhi flu nahi hoga saath hi aapki skin bhi swasth rahegi.
6) Motapa Ghataye
Yeh fat free hota hai, jise befikra ho kar khaya ja sakta hai. Agar aap dieting par hai to tarbuj kha kar bhi apni bhook mita sakte hai.
7) Sex Power Badata Hai
Agar aapko viagra ki goli khane me asuvidha hoti hai, to roz tarbuj ka sevan kare. Tarbuj me aise tatva paye jate hai jo aapki sex power ko bada dete sakte hai. Research ke anusar watermelon juice ki iccha ko jagane wale hormones testosterone ki matra ko badata hai.
8) Cancer se Lade
Isme lycopene ki matra anya phal aur sabjiyo ke mukable sabse jyada hoti hai. lycopene vahi hota hai jo phal ko laal rang deta hai. Research ke mutabit lycopene breast, protate, pet aur cancer ko paida hone se rokta hai.
Upar aapne jane Watermelon Benefits in Hindi. Khaiye garmi ke season ka sabse healthy food aur rakhiye apne aap ko tarotaza.
Get more update about Benefits of Watermelon from Food.