Aaj ke yug mai logo mai tattoo ko lekar lokpriyta badhti ja rahi hai. Har umra ke logo mai tattoo ke prati ruchi badhti ja rahi hai, chahe wo ladka ho ya ladki. Tattoo banwane ke bahut se karan hote hai. Bahut se log apne mata-pita ya partner ko dedicate karne ke liye tattoo banwate hai, to kuch log shaukiya taur par tattoo banwate hai.
Wahi kuch log khud ki alag pehchan banane ke liye tattoo design banwate hai, kuch log kisi vishesh vyakti ya koi aadarsh vyakti se inspire hokar unki yad mai tattoo banwate hai, wahi kuch log apni ruchi (jaise ki– sangeet se lagav, prakrati, pashu-pakshio ke pyar aadi) ke anusar tattoo design banwate hai.
Yahi nahi, log apni pasand aur suvidha ke aadhar par apne sharir mai kisi bhi ang par tattoo banwane lage hai. Tattoo design karna ek kala hai. Ise jitna bakhoobi ke sath design kiya jaye, utna hi achha tattoo ubhar ke aata hai. Ladke bhale hi apne dressing sense ko lekar choosy naa ho lekin tattoo ko lekar bahut choosy hote hai. Aajkal ladke aur purush aese tattoo design karwana pasand karte hai, jo baki sab se alag hat ke ho. Agar aap bhi tattoo design karwana chahte hai, to aapko jyada search karne ki jarurat nahi, hum aapko bata rahe hai Tattoo Designs for Men jo abhi prachalan mai hai.
Tattoo Designs for Men – Purusho Ke Liye Latest Ideas
Tribal Tattoos for Men
Tribal tattoos ko design karne ke liye kali syahi (ink) ka istemaal kiya jata hai. Iska ek accha fayda yeh hota hai ki black ink se bana tattoo ka rang dusre rang ki tulna mai jaldi fika nahi padta hai. Kuch tribal tattoos mai purane samay ke aadivasio ki jeevan-shaili aur yuddha, ladhai aadi ko bhi darshaya jata hai. Tribal tattoo bahut hi sahsi aur bold tarike ke chhavi ko darshata hai. Isd tattoo ki moti, kali, ghumavdar lines aur iske interlocking patterns jyadatar vyakti ke upari arm (Upper-arm) mai achhe lagte hai.
You May Also Like:– Hair Tattoo Designs- Banaiye Apna Alag Style Statement
Angel Tattoo
Angel tattoo ek bahut hi prachalit tattoo design hai. Yeh design banwane se bahut hi stunning look dikhta hai aur yeh design bhakti, shakti, pavitrata aur divyata ko pradarshit karti hai. Kuch lokpriya angel tattoo mai angel wing tattoos, cherubs, archangels aur guardian angels aadi shamil hai. Angel Tattoo ko dharmikta (religious-icon) ka hi pratik bhi mana jata hai. Inn tattoos mai moksh aur devdoot ke sath prem ki chhavi aadi ko bhi chitrit kiya jat ahai. Angels ko bhagwan ka ek manav-roop pankh wala doot mana jata hai, jiska yahudi, muslim aur christian aadi dharmo mai ullekh milta hai.
3D Tattoos
3D Tattoos sadharan tattoos se bahut hi alag hote hai. Jaha sadharan tattoos twacha par kuch drawing ki tarah dikhte hai, wahi 3D tattoos ek chavi ya rachna ki tarah dikhte hai, mano ki yeh chhavi aapki twacha ke uper virajit ho. 3D tattoos ko iss tarah design kiya jata hai ki uske aamne, samne, aag picche, dono sides sab nazar aaye. Ise hi 3D effect kahte hai aur iske liye vibhinn tarah ke rango aur lights ka istemal kiya jata hai. Ise banate samay dimensions ka dhyan rakhte hue alag alag rang ka upyog kiya jata hai, kyunki bina iske 3D tattoo adhura hota hai. 3D design ko jitna bakhoobi design kiya jata hai, logo ki nazar mai wah utna ki asali pratit hota hai.
Arm Sleeve Tattoo
Aamtour par Arm Sleeve Tattoo ek bade design ya chhoti-chhoti designs ka samuh hota hai, jise vyakti ki arm par design karke pura cover kar diya jata hai. Ek bahut hi gambhir aur stylish tattoo ko kandhe (shoulder) ki asteen se banana shuru kiya jata hai, jo ki niche pure haath tak jari rakhte hue puri bhujao tak design kiya jata hai. Tattoo Ideas for Men ki agar baat kare to yeh tattoo design ladko me bahut prachlit ho rahi hai. Lekin iss tattoo ko banwane se puri arm cover ho jati hai, isliye ise banwane se pehle acche se soch-vichar jarur kar le.
Om Tattoo
Om ek sanskrit shabd hai, jo ki ek tarah se bramhand ki sabse mahatvpurn dwani ko uchharit karta hai. Yeh ek sabse adhik bola jane wala shabd hai, jo ki pavitrata ka pratinidhitv karta hai. Om ka Rig-Veda mai bhi ullekh milta hai. Isliye jo bhi vyakti adhyatmikta mai vishwas aur ruchi rakhta ho, use hi Om ka tattoo banwana chahiye. Kayi bar log is tattoo ko apni thigh ya pairo me niche tarak banwa lete hai, aisa karne par adhyatm se jude log ise apmanjanak mante hai. Isliye dhyan rakhe, agar aap bhi Om kaTattoo design karwana chahte hai to “Om” shabd ka samman rakhte hue use kamar ke upar, apne hath, gardan aadi par hi banwaye.
You May Also Like:–Mehndi Design for Legs: Pairo Ke Liye Aakarshak Aakratiya
Skull Tattoo
Skull ko ek anokhe aur manav ki mritu- visheh ke roop mai jana jata hai. Magar Skull-tattoos har bar kisi ki mritu ya vinash ko nahi darshate hai, balki ise ek sakaratmak roop se bhi pradarshit kiya jata hai, jo ki yeh chhavi dikhata hai ki jeevan ek hi bar milta hai, iska jitna acche se aanand liya jaye utna achha hai, warna ant to nishchit hai.
Iss tarah ka tattoo wo log jyada banwate hai, jinhone kisi apne parivar ke sadsya ya achhe dost ko kho diya ho ya fir aise log banwate hai jo ki iske sandesh ko samajhte hai ki jeevan bahut hi chhota hai. Iske alawa aksar log parties ya Halloween events mai jane ke liye bhi skull-tattoo ko apne sharir mai design karwate hai.
Upar aapne jana Tattoo Designs for Men. Agar aap bhi apne sharir mai tattoo design karwana chahte hai, to apni ruchi aur iccha ke aadhar par hi manpasandida tattoo banwaye.