Kishore avastha me pregnant hone ko kishore Garbhavastha kaha jata hai. Vaise dekha gaya hai ki India me Teenage Pregnancy Rates prati din badti ja rahi hai. Jisse hamara samaaj aur piche jata ja raha hai.
Lekin aisa kyo hota hai? kay aap jante hai? Iska javab hai, in jankariyo ke parti adhura gyaan, jo ki kishore avastha ki dar ko badhata ja raha hai. To chaliye aaj is article ke jariye hum aapko batate hai Teenage Pregnancy in Hindi. Jisse ki is bare me sahi gyaan hone par ise roka ja sakta hai.
Teenage Pregnancy ko rokne ke liye sabse pahle hume iske karano ke bare me janana bahut jaruri hoga. Jisse ki sahi samay par ise roka ja sake.
Causes of Teenage Pregnancy
• Balvivah
• Kam umar me prem sambhandh
• Rape ( Balatkar)
• Sexual Abuse (sharirik shoshan)
• Peer Pressure (Sathiyo ka dabav)
• Teenage Drinking (kam umar me drink karne ki aadat).
• Bacche ko sahi samay par youn sambandhi gyaan nahi diya jata hai.
You may also like:- Best Time to Get Pregnant in Hindi: Sahi Samay Par Garbh
Agar koi ladki kishore avastha (13 se 19 saal ki umar me) me grabh dharan karti hai to use kishore Garvhavastha kaha jata hai.Teenage Pregnancy mamlo me kai jagah researches ki gai hai. Har desh me iske karan alag-alag hote hai.
Jese US me dekha gaya hai 30 % tak ladkiya 20 saal ki umar se pahle hi ek baar garbh dharan kar leti hai . Iska mukhya karan hai vaha ka culture.Vahi bharat me yeh hona ka sabse bada karan hai hai baal vivah.
Teenage Pregnancy Ko Rokne ke Upaye
Is mamalo me Parents ki responsibility hai ki, vo apne teenage baccho ko sambhale, unko sahi galat ki pahchan karna sikhaye. Unpar jyada dabav naa daale, balki unhe pyaar se samjhaye. Baccho me teen age ke time unki mansik aur sharirik isthitiyo me bahut se badlav aate hai. Unki problem ko samjhe aur uska solution nikale.
Baccho ko sahi gyaan de. Unse ek friend ki tarah baat kare. Saath hi sex se related baato ke bare me khul kar samjaye.
Teenage Pregnancy Facts: kishore Garbhavastha Ke Mukhya Pahlu
• Ek aniyojit Teenage Pregnancy galat nahi hai par yeh baat tab galat ho jati hai jab kishore maa iske liye taiyar nahi hoti hai, aur unme matratva ki bhavana der se aati hai.
• kishore maa ko apne hone vale bacche ke palan poshan ki bilkul bhi jankari nahi hoti hai. Isliye unhe turant poshan paramarsh ki jarurat hoti hai, kyoki paramarsh ke abhav se bacche ke janm ke samay ve kai bimariyo se grasit ho sakti hai.
• Teenager maa par bacche ko palne ka mansik tanav rhata hai.
• Dekha gaya hai ki, bharat me aadiktar teenager maao ki mout pregnancy ke douarn hoti hai.
• Bharat me kishore Garvhavastha ab shahri ilaako me bhi dikhai dene lagi hai. Iska ek mukhya karan yeh bhi hai ki, shaadi se pahle sambhog ki aadat hona.
Upar humne Teenage Pregnancy in Hindi ke bare me bataya. Lekin sahi aur galat ki pahchan aapko karni hai. Is Kishore Garvhavastha ko rokane ke sahi gyaan aur sahi disha ka hona bahut jaruri hai.
Get more updates about Teenage Pregnancy from Diet And Fitness.