Trichomoniasis ek sexually transmitted rog hai. Jayadatar mahilaye iss bimari se grasit rehti hai. Saath hi prusho me ye rog mahila ke saath youn samabandh banane par hota hai.
Mahilao me hone vala trichomoniasis rog ek samanya bimari hai. Jiska ilaj sambhav hota hai. Ek study ke doran pata chala hai ki, 74 lakh log iss bimari se preshan hai, jisme mahilaye aur purush dono shamil hai.
Trichomoniasis in Men: Purusho Me Is Bimari Ke Lakshan
• Ling ka chhota hona
• Ling ke bhitar jalan
• Halka sa discharge hona
• Mutra mukti ke samay jalan hona
You may also like: Vaginal Infection: Yoni Smasaya ke Mukhaya Symptoms or Precautions
Trichomoniasis Symptoms: Mahilao Me Is Bimari Ke Lakshan
• Durgandh ke saath istrav hota hai.
• Youni me jalan aur khujli
• Mutra tayag karte samay dard
• Sambhog karte samay uncomfortable feel hona
• Pet ki nichli maspeshiyo me dard hona
• Adhiktar mahilao me ye lakshan rog ke hone ke 28 din baad dikhai dete hai.
Kese Hota Hai, Trichomoniasis Ka Nidaan
• Trichomoniasis ke nidaan ke liye doctor sharirik aur prayogshala me checkup karte hai. Prayogshala me jach ke liye youni ke darvy ki jarurat hoti hai.
• Isme us parjivi ka pata lagate hai, jiske karan ye rog hua hai. Purusho me is parjivi ka pata lagana mahilao ke compression me mushkil hota hai.
Trichomoniasis Treatment: Janiye Iska Behatrin Ilaj
• Iske liye antibiotic dawa di jati hai, lekin dhyan rahe agar aap pregnant hai. To iska ilaj karane se pahle apne doctor ko aapni pregnancy ke bare me jarur bata de.
• Saath hi Jab aap iske treatment ke liye jaye to apne saathi ka bhi checkup karva le. Agar use bhi ye bimari hogi to sahi samay par uska ilaj bhi ho jayga.
Sex Se Duri
• Trichomoniasis rogiyo ko iska ilaj pura hone tak sex se duri banakar rakhni chahiye, kyoki is situation me infection phailne ka khatra hota hai.
• Jab tak aapke saathi ya aap is rog ke lakshan se puri tarike se theek nahi ho jate, tab tak sex se parhej kare. Saath hi doctor ki salah ke bina dawa band na kare.
Pregnant Lady Ke Liye Trichomoniasis Treatment Jaruri Hai
• Agar pregnant lady Trichomoniasis Treatment na karvaye to isse unke bacche ko khatra ho sakta hai.
• Saath hi sahi samay par treatment na hone par infection ke karan mahilao ko HIV ka khatra bhi bad jata hai.
Trichomoniasis Precaution
• Is rog se bachne ke liye bina condom sex na kare.
• Apne saathi ke prati vafadar rahe.
• Jese hi is baat ki ashanka ho to doctor se contact kare.
Bachiye iss bimari se aur kijiye apne swasth ko behtar. Agar aapko iss bimari se related ko bhi ashanka dikhai de rahi hai to turant apne doctor se sampark kare.
See more details about Trichomoniasis from Diet and Fitness.