Trikonasana in Hindi: Sharir Ke Liye Faydemand Tribhuj Mudra

Yog hamare rishi muniyo dwara diya gaya anutha uphar hai, jisko apnakar hum sadachaar ka jivan vyatit kar sakte hai. Yog karna sharir ke liye bahut faydemand hota hai isko karne se kai rog dur ho jate hai tatha aatma, man aur sharir ek sath mil jate hai. Isko lagatar karne se mansik dhyan ek jagah kendrit hota hai aur man ki chanchalta shant hoti hai.

Jaisa ki ham sabhi jante hai aajkal ki galat dincharya aur khan pan ke karan kai log motape ka shikar ho chuke hai. Iss motape se pareshan hokar log kai tarah ke petre apnate hai jaise gym jate hai, dieting karte hai aadi. Lekin inse bhi unhe man layak parinaam nahi milta hai.

Par yog ka abhyas karke aap naa keval vajan kam kar sakte hai balki kai bimariyo se bhi chhutkara pa sakte hai. Yog ke antargat aane wala aasan “Trikonasana” vajan ghatane mai madadgar hai.

Iss aasan ko angreji mai triangle pose bhi kehte hai. Jo log vajan kam karke apne sharir ko aakarshak banana chahte hai unhe iss aasan ko jarur karna chahiye. Iski vidhi aur anya labh janne ke liye padhe Trikonasana in Hindi.
 

Trikonasana in Hindi: Jane Vidhi, Labh aur Savdhaniya

 

 
Trikonasana yog karte samay aapka sharir trikon aakar jaisa ho jata hai. Yahi karan hai ise trikonasana kehte hai. Vajan ghatane ke alawa yeh manspeshiyo ko bhi majboot banata hai.

Sath hi jo bhi ladke apna sina chouda karna chahte hai unke liye bhi yeh aasan kaafi labhprad hai. Pet, kulhe aur kamar ko sahi aakar dene ke liye isse accha asana ho hi nahi sakta.
 

You May Also Like:- Butterfly Yoga Benefits in Hindi – Titli Aasan Ke Fayde Janiye

 

Trikonasana Steps – Jane Ise Karne Ki Vidhi

Trikonasana Yoga Pose karne ke liye sabse pehle dono pairo ke bich mai samanya se jyada duri ya fir 2 se 3 foot ki duri banaye rakhe aur dono hatho ko samantar rakhe.

Iske paschat dahine pair ko dhahine tarah moud de. Ab kandhe ke yaha se dono hatho ko failaye, tatha saans lete huye dai taraf jhuk jaye. Dhyaan rakhe niche jhukate samay aapke aankhe samne ki taraf hona chahiye.

Ab aapke daye hath se daye pair ko chune ki koshish kare. Yadi aapka hath aasani se pair tak ja raha hai to hatheli ko jameen par rakhne ka prayas kare. Yad rakhe aapka baya pairo mudna nahi chahiye. Iske pashchat bai hath ko upar ki taraf khole aur aapki najar hatho ki ungliyo par hona chahiye. Iss stthi mai 90 degree ka kon banna chahiye.

Iss stihi mai kam se kam 15 se 20 second tak rahe aur fir sidhi avastha mai aa jaiye. Ab iss prakriya ko dusre hath se isi tarah dohraye. Sharir ko uthate samay saans andar ki taraf le aur jhukate samay saans chhode. Iss asana ko kam se kam 20 bar dohraye tatha apni dincharya mai shamil kare.
 

Trikonasana Benefits in Hindi – Iske Labh Pehchaniye

  1. Iss aasan ko rojana karne se pair, kamar tatha kulhe ki charbi kam hoti hai. Iske alawa pet aur sine ke taraf ki manspeshiyo ko aaram tatha majbuti milti hai.
  2. Yadi aapko samanya si kabj ki bimari hai to yeh aasan karne se iski shikayat dur ho jayegi.
  3. Iss aasan ko karne se pairo mai khichaav aata hai pair majbut bante hai. Iss aasan ka jaldi jaldi abhyas kare taaki aapko pura fayda mile.
  4. Benefits of Trikonasana kai hai. Yeh Sharir ka santulan sahi karne ke sath sath mansik shanti bhi pradan karta hai.
  5. Yeh bhukh badata hai tatha pachan pranali ko sudharne mai madad karta hai aur acidity ki samasya ko dur bhagata hai.
  6. Sharir ke sare ang khul jate hai tatha chinta, tanav, kamar aur peeth dard ko gayab karne ke sath rakt sanchar mai bhi madad milti hai.
  7. Kai maao ko yeh shikayat rehti hai ki unka baccha khana nahi khata hai. Yeh aasan unn baccho ko jarur karwaye taki baccho ki bhukh bade aur wo samay par khana khaye.
  8. Mahilao ki apeksha purusho mai chhati choude karne ki iccha jyada dekhi jati hai. Yadi wo trikonasan ko karenge to kuch hi samay mai unki chhati choudi ho jayegi.

 

You May Also Like:- Tadasana Yoga in Hindi – Jane Iski Vidhi, Labh aur Savdhaniya

 

Trikonasana Triangle Pose ki Savdhaniya

  • Slip disk se pidit vyakati ko iss aasan ko nahi karna chahiye.
  • Agar aapko pet ya pair mai surgery hui hai to iss aasan ko na kare.
  • Citica pain ke marij ko bhi trikonasana nahi karna chahiye.
  • Uccha ya nimn raktchaap, migraine, julab, gardan aur peeth mai chhot aapko yadi yeh samasyae hai to iss aasan ka abhyas naa kare.
  • Yadi aap iss aasan ko kar rahe hai aur aapko sar dard, chakkar aana ya peeth dard jaisi samasyae ho raha hai to ise karna turant band kar de.

 
Upar aapne jana Trikonasana in Hindi. Aap bhi iss aasan ko karke uprokt labh paa sakte hai. Yeh karne mai bahut hi aasaan hai. lekin yadi aap swasth nahi hai, ya aapko kisi tarah ki samasya hai to chikitsak se pehle paramarsh lena uchit rahega.

Loading...

This website uses cookies.