Triphala Benefits in Hindi: Sabhi Rogo Ka Ek Illaj

Triphala ayurvedic dawa hai. Jo chemicals or rejuvenation ke naam se popular hoti hai. Yeh Amla, myrobalan, bibhitaki teen jadi buti ka mishran hota hai.

Aaj kal ka yug kadi mehnat karne ka nahi balki smart work karne ka hai, lekin smart tarike se kaam karne par aapko kai tarah ki problem ka samana bhi karana padata hai aur vakt ke saath ye problem badti jati hai. Iss problem se bachana tabhi possible hota hai jab aap sharirik aur mansik roop se hash-pusht ho.

Apne sharir me fitness lane ke liye aapko apni daily life style me change lana bahut jaruri hota hai. Khane–Pine se lekar aapne sone tak sabme change lana hoga. Kuch jadi butiyo ka sevan karna hoga. To chaliye aapke swasth rahne ke liye aaj hum aapko Triphala Benefits in Hindi ke bare me batate hai.
 

Triphala Kese Help Karta Hai?

Triphala ek chamatkari ayurvedic dawa hai. Ayurvedic doctor ki duniya me yeh sabse pasandida dawa hai. ayurveda ki bahut si kitabo me triphala ke fayde ke bare me describe kiya hai. Triphala ek aisi dawa hai jo ki kisi bhi rog se ladne me help karta hai.
 
You may also like: Ashwagandha Benefits in Hindi: Ek Poudha Fayde Anek
 

Triphala Benefits in Hindi: Bimariyo Se Bachana Hua Aasan

Immunomodulator
  • Triphala sharir ke immunity system ko badati hai, jisse aapko kai bimariyo se ladne me help milti hai.
  • Yeh sharir me antibodies ke utpadaan ko badata hai, jo ki sharir me antigen ke khilaf ladte hai. Saath hi aapki body ko bacterial mukt rakhte hai.
  • Iske sevan se sharir me T-helper cells badte hai, jo ki aapki body ki raksha pranali ko majboot banate hai.

 
Triphala Benefits
 

Anti – Oxidant
  • Triphala me bharpur matra me anti – oxidant hote hai, jo ki cells ke metabolism ko niyamit rakhta hai.
  • Isse umar badne vale karak bhi kam hote hai. Issi karan iske sevan se umar kam dikhti hai.
  • Yeh sharir ki kai cell ko chalne me bhi help karta hai, jese mitochondria, golgi bodies aur knuckles .

 

Indigestion
  • Jab bhi Triphala Benefits ke bare me baat ki jati hai, to yeh sabse mukhaya fayda hai ki, yeh apchat problem ko dur karta hai aur aapko swasth jivan pradan kartan hai.
  • Halke dast hone par ya gastrointestinal tract me problem hone isska sevan karne se aapko araam milta hai.
  • Iske khane se pet intestinal me pitt ras nikalta hai, jo ki pet ki indigestion problem ko dur karta hai.

 

Constipation
  • Kabj ki problem hone par triphala bahut faydemand hota hai. Saath hi ise khane se kabj ki purani problem bhi dur hoti hai.
  • Isko khane se sharir me detoxification me help milti hai.

 

Anemia
  • Anemia matlab hemoglobin ki kami hone par triphala bahut laabh pahuchata hai.
  • Yeh sharir me red blod cells ko badata hai, jisse sharir me anemia ki dikkat kam hoti hai.

 

Diabetes
  • Diabetes treatment me triphala ek bahut accha upay hai.
  • Yeh pancreas ko uttejit karne me help karta hai. Jisse sharir me insulin utpann hota hai.
  • Sahrir me Insulin ki sahi matra blood sugar level ko control karti hai.

 


Triphala Benefits
Amalaki Bibhitaki Haritaki
Aankho Ki Roshni Badaye Aankho Ki Sujan Kam Kare Kabj mai Sahayak
Baalo Ko Kala Kare Bukhar Ko Thik Kare Vajan Kam Kare
Twacha Ke Liye Faydemand Sardi Jhukam Ko Thik Kare Muhanse Hataye
Liver Ko Sudhare Madhumeh Ke Rogo ko Dur Kare Acidity Dur Kare
Phal Vitamin aur Iron Sharir Ko Urja De

 

Weight Loss
  • Motape se pareshan logo ko triphala ka sevan karna chahiye.
  • Ise khane se sharir me fats ki matra kam hoti hai, kyoki sharir me motapa fat ke karan hi badta hai.

 

Aankho Ke Liye Faydemand
  • Triphala ke sevan se aankhon se jude kai rog dur ho jate hai.
  • Yadi aap niyamit rup se iska sevan karnege to aapki aankhon ki roshni bad jayegi tatha motiyabind hone ki sambhavna kam ho jayegi.
  • Iska sevan karne ke liye 1 chhoti chammach triphala churan aur isme 8gm gaay ka ghee aur 6 gm shahad lekar mila le.
  • Iske sevan se aapke rog dur ho jayenge.

 

Charm Rog Ko Dur Kare
  • Triphala har tarah ke charm rog ko dur karne mai madad karta hai.
  • Yadi aapko kisi tarah ka koi charam rog ho gaya hai to niyamit rup se subah sham 8 gm triphala churan ka sevan kare.
  • Iske sevan se dad khujali, fode funsi aadi thik ho jate hai.

 

Baalo Ko Jhadne Se Bachaye

Baalo ki jhadne ki samasya aajkal kaafi aam bani hui hai. Jiske karan baal rukhe bejan aur patle hone lagte hai. Jin logo ko bhi yeh samasya hai unhe triphala ka sevan roj karna chahiye, isse kuch dino mai baal lambe ghane aur majboot ho jayenge.

 

Upar humne aapko Triphala Benefits in Hindi ke bare me bataya hai. To bas der kis baat ki aaj se hi is ayurvedic dawa ka sevan start kariye aur swasth rahiye.
 
Get more update of Triphala from Food.

Loading...

You may also like...