Anterrashtriya Madhumeh Sanga ke anusar, pichle varsho mai bharat mai lagbhag 6.1 crore se bhi adhik log aaj madhumeh se pidit hai. Sath hi yah anuman lagaya jar aha hai ki varsh 2030 tak iske rogiyo ki sankhya badkar 10 crore se bhi upper ho jayegi. Ek report ke mutabik varsha 2011 mai 9.83 lakh logo ki mrityu diabetes se ho gayi thi. Iss report ke anusar har 7 second mai ek vyakti diabetes se apni jaan gawa baithta hai.
Madhumeh ke bare mai to aap jante honge, lekin bahut kam log yah jante hai ki yah bhi kai tarah ka hota hai. Aaiye jante hai types of diabetes –
Type 1 Diabetes – Iss rog mai vyakti ke sharir mai insulin nahi ban pata hai.
Type 2 Diabetes – Iss prakar ke madhumeh mai insulin sharir mai thik tarah se nahi ban pata hai.
Aaj hum Type 2 Diabetes in Hindi, se sambandhit mahatvpurn jankariya dene wale hai. Jo log iss rog se pidit hai wo avashya iss jankari ko samjhe aur apna khayal rakhe.
Type 2 Diabetes in Hindi: Janiye Samay Rahte Iss Bimari Ko
Garmi ka mausam aa gaya hai, aise mai diabetes type 2 ke rogi apna vishesh dhyan rakhe. Kyoki garmi ka season apki pareshaniyo ko aur bada sakta hai. Iss mausam mai waise to swimming pool ya samudri ilako mai jane ka man karta hai, lekin iss rog ke shikar logo dwara iss mausam mai aisa karna unke liye pareshani paida kar sakta hai. Isliye type 2 madhumeh ke rogi garmi mai apna pura khayal rakhe.
Adhiktar logo ko yah to pata hota hai ki adhik garmi unke liye khatra ban sakti hai, par savdhani baratne ke bare mai shayad unhe adhik jankari nahi hoti hai. Agar aap bhi iss rog se grasit hai to adhik garmi aur umas wale sthan aapke liye thik nahi hai. Jab heat index 40 pratishat ke sath 80 degree forenhight tak pahunchta hai, to bahut savdhani baratni hoti hai. Aise mai jo bujurg jo isse pidit hai unhe apna adhik dhyan rakhna chahiye. Kyoki aise mausam mai dehydration aur per ki samasyaye aadi ho jati hai.
You may also like:- Sex and Diabetes: Madhumeha Rogi Ke Liye 5 Sambhog Tips
Effects of Diabetes Type 2: Jane Iske Prabhav
Diabetes Type 2, jise Non Insulin Dependent Diabetes bhi kaha jata hai. Yah ek madhumeh ka ek samay prakat hai. Ek report ke mutabik, pure vishv mai 90 crore log isse pidit hai. Iss roh mai vyakti ke sharir mai sthit insulit thik tarah se karya nahi karta hai. Yah rog adhiktar 35 varsh ki aayu ke logo mai payi jati hai. Lekin haal mai kuch mamle aise bhi aaye hai, jinme bahut adhik sankhya mai bacche isse pidit hai.
Yadi samay rahte iska ilaj nahi kiya gaya to daura padne se vyakti ki maut bhi ho sakti hai. Iske alawa insulin ke sahi tarah se kaam na karne ke karan vyakti ki aankhe kamjor ho jati hai tatha gurde bhi kharab ho sakte hai. Kabhikabhi kuch paristhitio mai ango mai kharab sancharan ke karan ang ko katna bhi pad sakta hai.
Waise to yah rog kisi bhi vyakti ko ho sakta hai, lekin kuch chije aisi hai jinke chalte vyakti mai madhumeh hone ki sambhavna aur bhi bad jati hai. Aaiye jante hai kya hai wo sambhavnaye-
- Yah rog 35 varsh se adhik aayu wale vyaktiyo mai adhik dekha jata hai.
- Adhik vajan wale vyakti ko yah ho sakta hai.
- Adhiktar mahilao mai prasav ke baad iss rog ki shikayat ho sakti hai.
- Anuvanshik karano se bhi yah ho sakta hai.
- Prediabetes
- HDL Cholesterol ka sttar kam hona ya triglyceride ka sttar bad jana.
- Blood Pressure ke rogiyo ko bhi yah ho sakta hai.
Type 2 Diabetes Se Hone Wale Sharirik Nuksan
Yah sharir ko kai tarah se nuksan pahunchata hai. Dhire-dhire rakt mai ekatra huya glucose humare sharir ke vibhinn bhago ko nuksan pahunchana shuru kar deta hai. Yah sharir ki rakt tantrikao, rakt vahikao aur kidniyo ke liye nuksandayak hota hai. Jisse Atherosclerosis dhamniyo ka kathor ho jana tatha attack aur stroke jaisi bimariyo ko paida kar deta hai.
Pani Ki Kami
Madhumeh ke rogiyo mai jab rakt mai glucose ki matra adhik bad jati hai, to sharir use sharir use urine ke jariye bahar nikalna shuru kar deta hai. Jisse sharkara aur pani ke sath sharir mai se aur bhi kai prakar ke minerals bahar nikal jate hai, jis wajah se dehydration yani pani ki kami ho jati hai.
Pairo Ka Khayal Rakhe
Iss rog se pidit vyakti ko apne pairo ka bahut dhyan rakhna chahiye. Iss rog ke dauran yadi kisi tarah ki chot ya sankraman ho gaya to uska jald-se-jald ilaj karwana chahiye, nahi to per ko alag karna pad sakta hai.
Garmi ke mausam mai pero mai pasina adhik aata hai, jisse moje bhi gile ho jate hai. Yah sthiti madhumeh rogiyo ke liye bilukl bhi thik nahi hai. Aapke par sukhe rahenge to adhik surakshit rahenge. Isliye ghar se bahar jane se pahle pero mai sunscream ay aise jute pahne jinme hawa aa sake aur pero mai pasina na aaye.
Madhumeh Coma
Jab vyakti mai madhumeh bahut jyada aage bad jata hai aur vyakti bahut adhik bimar ho jata hai tatha sharir se pani bahar nikal jata hai. Yah sthiti vyakti ke liye bahut hi ghatak sabit ho sakti hai aur wah vyakti Diabetic Coma mai bhi ja sakta hai.
Gurde Ki Kharabi
Madhumeh ke rogiyo mai din-pratidin kidniyo ke kharab hone ka khatra bana rahta hai. Yadi madhumeh ki pahchaan samay rahte na ho payi to kidniya bilkul kharab ho sakti hai.
You may also like:- Diabetes Diet in Hindi, Madhumaye Rogiyo ke Liye Aahar
Type 2 Diabetes Symptoms: Jane Iske Lakshan
Iss tarah ke madhumeh ke lakshan shuruvaat mai dikhai nahi dete hai tatha samay ke sath-sath badte rahte hai. Lekin type 2 mai jab blood sugar ka sttar bahut bad jata hai to, kuch iss tarah ke lakshan dikhai dete hai. Aaiye jante hai Type 2 Diabetes Symptoms–
- Bhook aur pyas ka adhik bad jana.
- Muh ka baar-baar sukhna.
- Peshab adhik aana.
- Bina wajah vajan ka adhik ghat jana.
- Sharirik kamjori, behoshi aur thakan hona.
- Sar dard ayr kam dikhai dena
- Twacha par daag aur yon vikar hona
Yadi aapme inme se koi bhi lakshan najar aa rahe hai to bina deri kiya chikitsak se sampark kare aur apna ilaj jald se jald shuru karwaye.
Type 2 Diabetes Treatment: Jane Iske Upchar
Agar aap madhumeh hone ke baad bhi ek aam jivan vyatit karna chahte hai to apni jivanshelly mai kuch badlav kare. Apne badte vajan par niyantran kare, apne aahar par dhyan de. Aaiye jante hai Type 2 Diabetes Treatment–
Vyayam aur Yoga
Agar aap diabetes se pidit hai to aap niyamit roop se vyayam ya yoga kare. Yah aapke liye bahut labhkari sabit hoga. Yadi aapo vyayam karne mai kuch samasya rahti hai to, aap iske liye unn khelo ya gatividhiyo ki suchi banaye jinme aapko maja aata hai. Dance, Yoga, ghumna aur teraki karna bhi aapke liye faydemand hota hai.
Agar aapne kabhi vyayam nahi kiya hai to aap shuruvaat mai 10 minute ise kare aur dhire-dhire samay avdhi ko badate rahe. Pratidin 30 minute tak vyayam karne se aap apni sharkara ke sttar ko niyamtrit kar sakte hai.
Carbohydrate Late Rahe
Apne niyamit aahar ke sath-sath, humesha apne pas carbohydrate yukt phal ya phalo ka juice rakhe taki jab bhi apki sharkara ka sttar kam ho jaye to aap ise le sake.
Sharab aur Caffeine
Agar aap sharab ya caffeine yukt padartho ka sevan adhik matra mai karte hai, to inse dur hi rahe to behtar hoga. Yadi aap inhe chod nahi sakte to inki matra ko kam kar de, nahi to yah sharir mai pani ki kami ka ban sakte hai.
Doctor Se Salah Jaruri
Apni niyamit dincharya mai kisi bhi tarah ka badlav akarne se pahle chikitsak se salah jarur leve. Waise vyayam karne ya khelne-kudne mai kisi tarah ki samasya nahi hai. Lekin aapke doctor aapki shamta ko sabse acche se jante hai. Shayad jis sthiti mai aap hai uss sthiti mai doctor aapko vyayam karne ki ijajat na de. Isliye pahle apne doctor se ek baar iss bare mai baat jarur kare. Sath hi doctor dwara bataye gaye treatment ko apnaye usme kisi tarah ki laparwahi na kare.
Upper aapne jana, Type 2 Diabetes in Hindi, agar aap ya aapke koi parochit iss rog se grasit hai to unse baat kare aur unhe inn sujhawo ko apnane ke liye kahe. Sath hi samay-samay par apni janch bhi karwate rahe.