Types of Breast Cancer in Hindi: Jane Stan Cancer Ke Prakar

Cancer ek aesi bimari hai jo bahut gambheer hone ke sath kisi bhi umra ke vyakti mai ho sakti hai. Kyonki aajkal ki jeevansheli aur adhunkikta ke chalte yeh bimari kisi par bhi havi ho sakti hai. 

Cancer ke kai sare prakar hote hai lekin aaj hum stan cancer ke bare mai bat kar rahe hai.

Wese to aksar dekha jata hai ki stan cancer mahilao mai hota hai paarntu iska matlab yeh nahi hai ki yeh purusho mai nahi ho sakta. Lekin purusho mai iske hone ki sambhavna bahut kam hoti hai. Iski shuruvat stan ke kisi bhi hisse se ho sakti hai, jaise dhudh le jane wali nalikao mai, dhudh banane wale palika aadi mai.

Cancer ka yeh prakar mahilao mai sabse adhik dekhne ko milta hai aur samay rahte iska illaj na hone par mrity bhi ho jati hai. Aaiye jante hai Types of Breast Cancer in Hindi.
 

Types of Breast Cancer in Hindi – Janiye Sampurn Jankari   

 
Types of Breast Cancer in Hindi
 

Non-invasive Cancers

  1. Non invasive cancer ko ductal carcinoma in situ (DCIS) ya fir pre cancer bhi kaha jata hai. Yeh iss rog ki prarambhik avshtha hoti hai.
  2. Stan cancer ki shuruwaat dudh le jane wali nalikao tatha banane wali palikao se hoti hai. Tatha cancer koshikaye stan tissue ke anadar aniyantri tour par badne lagti hai.
  3. Kai baar yeh koshikaye lasika parv mai aur sharir ke kisi aur bhag mai aniyantrit rup se failne lagti hai.

 

Invasive cancer

  1. Invasive cancer stan ke dudh mai ducts ke rup mai viksit hota hai aur isse pidit koshikaye swasth koshikao mai vraddhi karti hai, jyadatar stan cancer invasive hi paye jate hai.
  2. Karib 75% mahilao mai invasive cancer hota hai jo ducts valve se hote huye stan ke charbi wale bhag mai pahuch jata hai.
  3. Iss rog mai koshikaye stan se badti hui rakt koshikao tatha lasika pranali mai pahuch jati hai. Kyonki lasika pranali underarms mai hoti hai aur stan cancer isme aasani se fail sakta hai.

 

Inflammatory Breast Cancer

  1. Ise inflammatory brest cancer isliye bola jata hai kyonki iske hone par breast par lal rashes aur sujan adhik ho jati hai.
  2. Yeh bahut kam logo mai dekhne ko milta hai parantu yeh stan cancer ka sabse jyada aakramak aur gambheer rup hota hai.
  3. Agar sujan aur lal rashes ke lakshan aapko stano par hafte ya mahine tak dikhe to yeh stan cancer ho sakta hai isliye iski turant doctor se janch karwaye.

 

Stano Par Paget Ki Bimari

  1. Iss prakar ka cancer bhi bahut kam mahilao mai hota hai. Yah stan ke nipple ki twacha ke aaspas hota hai. Iss avashta mai nipple ke aaspas ki twacha sikudne lagti hai.
  2. Iske alawa nipple ke aaspas rakt ka thakka jam jata hai jis karan vo hissa kala padne lagta hai.
  3. Iss tarah ke cancer mai stano mai khujali, dard aur sankraman aadi lakshan dekne ko milte hai.

 

Metaplastic Breast cancer

Metaplastic breast cancer bhi kam mahilao mai hota hai tatha yeh baaki cancer ke mukabale iski tumor bade ho jate hai. Iska nidan karna bhi bahut mushkil hai.
 

Jane Kab Hota Hai Stan Cancer

Breast Cancer Types to ham jan chuke hai. lekin hame yeh bhi pata hona jaruri hai ki yeh kaise hota hai. Stan ki charbi sahayak aur lasika uttak se bani hote hai. Hamara sharir kai sari koshikao se milkar bana hota hai aur yeh koshikaye samay samay par tutkar nai koshikao ka nirman karti hai.

Yeh nai nirmit koshikaye niyantrit rup mai banti hai lekin jab yeh koshikaye aniyantrit rup se badne lagti hai tatha jarurat se jyada ho jati hai to ganth ke rup mai ekatrit ho jati hai aur dhire dhire bada rup dharan kar leti hai. Yeh ganth ka rup tumor koshikao mai badal jata hai aur stan cancer mai pariwartit hone lagta hai.
 

Breast Cancer Causes – Jane Iske Hone Ke Karan

Wese to stan cancer kisi bhi karan se ho sakta hai lekin kai bar yeh anuvanshik karan ya fir kisi laparwahi ke chalte bhi ho sakta hai. Iske atirikt had se jyada motapa, pehle kabhi stan mai gathan ka hona, badhti umra aadi iske lakshan hai.
 
Upar aapne jana Types of Breast Cancer in Hindi. Stan cancer ke kai prakar hote hai kintu shuruwati samay mai stan ke aaspas ganthe banne lagti hai aur unme dard hota hai inhe davai ke dwara nasht kiya ja sakta hai. Isliye hume apne sharir ka pura dhyan rakhna chahiye aur kisi bhi tarah ki ganth hone par turant chikitsak se sahyog lena chahiye.

Loading...

You may also like...