Types of Coffee in Hindi – Sehat Ke Liye Bhi Hai Faydemand

Bharat ek aisa desh hai jaha subah ki shuruvaat garma garam chai se hoti hai. Jab tak chai na mil jaye subah adhuri si lagti hai. Lakin ab dhire-dhire chai ki jagah coffee leti ja rahi hai. Yah chai ki tarah hi dusra pay padarth hai. Yah arab nivasiyo ke sath bharat aayi.

Chai aur coffee alag-alag padarth hai. Inn dono ke gun-avgun lagbhag saman hi hai. Humare desh mai coffee keval dakshin bharat mai hi paida ki jati hai. Nilgiri par 300 se 400 feet ki uchai par iske bag paye jate hai. Iske pad ke beej se coffee tyyar ki jati hai. Unn beejo ko Bund Dana kaha jata hai. Inn bund daano ko seka jata hai. Ism eek vishesh prakar ki sugandh hoti hai.

Coffee mai chakori ka mishran kiya jata hai. Adhiktar coffee ka sevan karne wale log mishrit kism hi pasand karte hai. Yah anek kism ki hoti hai. Jisme Nescafe sabse acchi mani jati hai. Aaj hum aapko vishv bhar mai prasiddh alag-alag prakar ki coffee ke bare mai batane wale hai. To aaiye jante hai Types of Coffee in Hindi.

 

Types of Coffee in Hindi: Janiye Inke Prakar aur Labh

 


 

Coffee ab ek aisa pay padarth ban gaya hai, jiski lat har vyakti ko lag chuki hai. Thakan dur karne, man bahlane ya dosto ke sath kuch time bitane ke liye log coffee pite hai. Isme koi shak nahi hai ki yah sharir ko energy pradan karta hai aur relax feel karwata hai. Pure vishv mai kai prakar ki coffee tyyar ki jati hai.

Sabhi prakar ki Coffee Beans bilkul saman hoti hai, inme koi antar nahi hota hai. Coffee ka prakar sirf usme milai jane wali samagri aur tyyar karne ke tariko ki wajah se alag-alag lagti hai. Isme milai jane wali samagri coffee ke flavor aur aroma ko badal deti hai. Aaj hum aapko duniya bhar mai prasiddh kuch coffee ke prakar batane ja rahe hai.

 

You May Also Like:- Coffee Mai Butter Milaiye aur Rahiye Swasth

 

Espresso Coffee

Yah coffee ka ek prakar ka shudh roop hota hai. Duniya bhar mai jitney bhi prakar ki coffee tyyar ki jati hai wo sabhi isi mai milakar banai jati hai. Ise black coffee bhi kaha jata hai. Yah hard coffee hoti hai, jo vishv mai sabse adhik bikati hai. Ise banana ke liye garm pani mai espresso powder ko gholkar isme sugar milai jati hai.

Espresso Coffee adhik vajan wale ya motape se pareshan vyaktiyo ke liye bahut hi faydemand hai. Sath hi yah energy level ko badata hai aur kuch samay ke liye bookh ko kam karta hai. Jisse adhik khane ki wajah se mote ho rahe logo ko fayda milta hai.

 

Espresso Macchiato Coffee

Yah unn logo ke liye hai jinhe hard coffee pina bahut pasand hai. Espresso coffee ke iss prakar mai dudh ka upyog bhi kiya jata hai. Yah espresso ka hi ek prakar hai bas isme dudh ko milakar iska taste badal diya jata hai. Yah blood pressure ko control karne aur mansik sttar ko badane mai madad karta hai.

 

Cappuccino Coffee

Coffee ke iss prakar ke bare mai to aap jante hi honge, bharat mai to iske naam par song bhi bana hai. Yah coffee ka ek aisa prakar hai jo dunia bhar ke sabhi coffee shops par aasani se mil jati hai. Coffee ke iss prakar mai espresso coffee mai pahle dudh ko milaya jata hai aur baad mai ise coffee syrup ya chocolate powder se garnish kiya jata hai. Yah aapko sar dard aur depression se bachata hai sath hi yah wajan ko kam karne mai bhi sahayak hota hai.

 

Café Latte Coffee

Espresso coffee mai teen guna dudh milakar iss prakar ki coffee ko banaya jata hai. Isme dudh ki matra adhik hone se yah safed dikhai deti hai, isme sugar bhi milai jati hai. Cookies aur pastry ke sat hiss coffee ka combination bahut accha rahta hai.

Yah tajgi lata hai, muscles pain ko kam karta hai, cancer aur parkinson’s disease se raksha karta hai, sath hi yah colon cancer ke prabhav ko kam karne mai bhi madadgar sabhit hota hai.

 

Mochaccino Coffee

North America mai ise cappuccino kaha jata hai, lekin isme dudh mix nahi kiya jata hai. Yah cappuccino coffee mai coco powder milakar tyyar ki jati hai au rise garnish karne ke liye cream ka upyog kiya jata hai.

 

Americano Coffee

Aap soch rahe honge ki yah kaisa vichitra naam hai. America ke logo ko apni pure espresso flavor ko gholna padta hai, isliye ise iss naam se jana jata hai. Puri dunia mai yah coffee bhi bahut adhik matra mai pee jati hai. Iss prakar ki coffee ko tyyar karne ke liye espresso coffee mai, aadha cup garam pani, thoda dudh aur chini milai jati hai. Yah sharir ko halka mehsus karwata hai aur muh ki kadwahat ko dur karta hai.

 

You may also like:- Tea Benefits in Hindi: Chai Pine Ke Hai Kai Fayde

 

Irish Coffee       

Yah coffee ke prasiddh ke prakaro mai se ek hai. Jo dunia ke kone-kone mai aasani se mil jati hai. Irish coffee banana ke liye whisky, espresso aur chini ka upyog kiya jata hai. Yah 1952 se bajar mai famous hai. Yah sharirik aur mansik tanav ko kam karta hai aur freshness banaye rakhta hai.

 

Indian Filter Coffee

Bharat dunia ka pachva sabse bada coffee niyatak desh hai aur kul coffee utpadan ka char guna bharat mai hota hai. Bharat mai is eek khas tarike se ugaya jata hai. Jisse iska swad aur bhi behtarin ho jata hai.

Indian filter coffee bharat ke dakshini shetro mai paida hoti hai. Ise coffee ki sukhi faliyo ko piskar tatha dudh aur chini ko milakar banaya jata hai. Anya sabhi prakar ki coffee ki tulna mai yah adhik mithi hoti hai.

Yah blood circulation ko badata hai aur cholesterol ko kam karta hai. Sath hi yah sharir ko rogo se bachata hai aur mansik urja ka vikas karta hai.

 

Turkish coffee

Turkish coffee ke beej bahut sukhe hote hai, isliye inhe piskar powder banakar upyog kiya jata hai. Ise banana ke liye iss powder ko garm pani mai milakar ghol banaya jata hai aur iss ghule huye paste ko ubala jata hai. Aisa karne se coffee ka swad aur bhi bad jata hai. Iske baad mai pani ko pura sukha diya jata hai aur keval powder rah jata hai. Baad mai isme falvor mila diya jata hai. Vishv mai turkish coffee isliye prasiddh hai kyoki ismi chothi parat patli aur crème hoti hai.

Yah pachan tantra ko thik rakhta hai, alzheimer’s disease aur heart disease se raksha karta hai aur mansik sttar ko bhi badata hai.

 

White coffee  

Yah bhi coffee ka ek prasiddh prakar hai, jise malasia puri dunia ke samne laya hai. Iss coffee ko banana ke liye palm tel mai coffee ko bhunkar banaya jata hai. Ise swadisht banana ke liye dudh aur sugar ki avashyakata hoti hai. Yah sharir ko swasth rakhta hai aur bimario se bhi bachata hai.

 

Benefits of Coffee: Jane Iske Labh

Coffe ke adhik sevan se nuksaan hota hai yah to apne bhi suna hoga, lekin ek nayi shodh ke anusar ise pine se hone wale anek labho ke barae mai bataya gaya hai. Aaiye jante hai Benefits of Coffee

Harvard University ke shodh kartao ne apni nayi research mai yah khulasa kiya hai ki pratidin 3 cup coffee pine se kuch bimario ke karan asamay hone wali maritu ko roka ja sakta hai. Iss shodh ke mutabik caffeine yukt ya caffeine rahit dono hi prakar ki coffee pine se anek labh milte hai. Anya samanya faydo ke alawa dil ke rog, madhumeh tatha atmhatya ka khatra bhi kam ho sakta hai.

Shodhkarta Ming Ding ke anusar, coffee mai mojud bioactive insulin pratirodh aur pranaligat sujan ko kam karte hai. Unhone bataya ki, coffee pine ke prabhav ko manya bhojan prashnawali ke madhyam se har 4 saal mai 30 varsho ki avdhi tak jancha gaya. Janch mai yah paya gaya ki iske sevan se dil ke rogo, Parkinson’s Disease jaise mashtishk sambandhi rog aadi anek prakar se rogo se rahat mili hai.

Uper apne jana Types of Coffee in Hindi, se sambandhit kuch mahatvpuri jankario ko, jinhe samjhkar aap bhi apne sharirik aur mansik sttar ko bada sakte hai tatha isse hone wale labho se swasth rah sakte hai. Yah sharirik aur mansik dard, sujan aadi anek rogo se mukti dilate hai aur samanya jivan jine ki aur agrasar karta hai. Lekin iska atydhik upyog bhi thik nahi hota hai. Coffee ka adhik sevan ya lambe samay tak coffee pite rahne se snayu durbal rahta hai aur swasthya kharab rahta hai. Isliye iska istemal aushdhi ki tarah avashyakata padne par hi karna chahiye.

Loading...

This website uses cookies.