Kisi bhi shadi ya party mai jane se pehle haatho ki khubsoorat mehndi hamari sundarta mai char-chand laga deti hai. Aajkal har umra ki ladkiyo aur mahilaye alag-alag mehndi designs pasand karti hai. Mahilao ke haatho mai mehndi hone se unme ek alag si khushi hoti hai kyoki isse unki khubsoorati aur bhi badh jati hai. Sath hi yeh kuch hi samay ke liye kyu nahi unki pehchan ban jati hai.
Mahilaye aur ladkiya aajkal shadiyo aur sabhi functions mai apne haatho ke sath-sath pairo par bhi mehndi lagati hai. Iske alava teej, karvachouth, eid aadi tyoharo mai bhi mehndi lagane ka prachalan badh gaya hai. Yeh pratha sabhi desho jaise India, Pakistan, arabi desho aadi mai sadiyo se chali aa rahi hai. Alag- alag desho mai alag prakar ki mehndi design hoti hai. Iske alava bharat mai bhi alag sanskritiyo ki mehndi design banai jati hai.
Alag alag mehndi designs ke bare mai janne ke liye yaha dekhe Types of Mehndi Design in Hindi. Inn designs ki sahayta se aap bhi apne haatho ko aur bhi khubsoorat dikha sakte hai.
Har Tyohar ke Liye Yaha Dekhe Types of Mehndi Design in Hindi
Indian Mehndi Designs
Mehndi lagane ki pratha ki bat ki jaye to bharat ka naam sabse pehle aata hai. Yaha ki mehndi designs bhi bahut mashhur hai. Yeh designs simple se lekar bahut kalatamak hoti hai. Simple mehndi designs mai haath ke piche aur hatheli ke bich mai ek bada bindu rakha jata hai aur ungaliyo ke sire henna se bhar diye jate hai. Inhe lagane mai kam se kam 5 minute lagte hai. Iske alava kathin mehndi design ko lagane mai bahut adhik samay lagta hai aur yeh designs aksar shadiyo mai dulhano ko lagayi jata hai.
Pakistani Mehndi Designs
Pakistani mehndi designs, bhartiya aur arebic designs ka mishran hoti hai. Inhe shadiyo mai dulhano ko bahut bariki se lagaya jata hai iske alava yeh design eid ya fir kisi anya tyohar ke mouko mai bhi lagayi jate hai.
African Mehndi Designs
African mehndi designs ki baat ki jaye to inhe bhi arebian designs ki tarah puri tarah se bhara nahi jata hai. African designs geometry ki tarah kai aakar ki hoti hai yane ki yeh rekhao, chokor aakar, bindu aur golakar se bani hoti hai. Isme rekhao ke bich jyada jagah nahi hoti hai. Ise haatho aur pairo dono mai lagaya jata hai.
Arabic Mehndi Designs
Arabic mehndi design lagane mai bahut hi aasan hoti hai kyoki inhe phul, patti aur daliyo aur rekhao ke dwara banaya jata hai. Iss designs ki sabse khas bat yeh hai ki inhe puri tarah se bhara nahi jata hai isliye inhe na hi banane mai jyada samay lagta hai aur na hi jyada mehdi lagti hai.
Indo – Arabic Mehndi Designs
Iss prakar ki mehndi designs ko arebic mehndi designs ke upar bahari ruprekha banakar lagayi jati hai aur inn ruprekha ko acche se bhara jata hai. Iss prakar ki designs mai Indian style ki mehndi lagakar uski saaj sajja ko ukara jata hai, jise aap apne hisab se bana sakti hai. Yeh designs shadiyo mai upyog hone wali sabse lokpriya design hai.
Bangle Style Mehndi Design
Iss Mehndi Design mai design chudiyo ke aakar ki tarah hoti hai. Ise haatho aur pairo par lagane se bahut sundar dikhai deti hai. Ise lagane ke baad aapko chudiya pehnne ke bare mai jyada sochna bhi nahi padega. Yeh ek aesi designs hai jisse aap apne haatho ko khubsoorat dikha sakte hai.
You May Also Like:- Mehndi Design for Legs: Pairo Ke Liye Aakarshak Aakratiya
Moroccan Mehndi Designs
Yeh design bahut adhik golakaar hoti hai. Isme phulo ke samaan pattern hote hai jo ki mehndi ko bhut khubsoorat banate hai. Yeh design kalaiyo ki lambai par bahut sundar dikhayi deti hai isliye mahilaye ise lagana bahut adhik pasand karti hai.
Rajasthani Mehndi Designs
Rajasthani designs mai bahut adhik kalakari ki jati hai. Iss prakar ki design mai mor, phul, bich mai kangure aadi aakrati banai jati hai. Yeh bahut barik aakrati hoti hai jisme haatho aur pairo ko kohniyo aur ghutno tak acche se bhara jata hai.
Glitter Mehndi
Yeh design bhartiya aur arebic design ka mishran hoti hai. Aajkal yeh bahut prachlit design hai aur ise kai prakar ke rango se sajaya jata hai. Isme designs bahut ubhri hui, najuk aur alag-alag aakaro se bharpur hoti hai. Inhe aur adhik behtar banane ke liye inpar chamk ka prayog kiya jata hai.
Bridal Mehndi Designs
Dulhan ki mehndi design kai prakar ke phulo, namuno aur upar niche kisi bhi prakar ke pattern ko banakar lagayi jati hai. Yeh design haatho ki ungaliyo se lekar aadhe haath tak lagayi jati hai. Dulhan mehndi design ko bharat ke alava asia ke anya desho mai bhi pasand kiya jata hai.
Upar aapne dekha Types of Mehndi Design in Hindi. Yadi aap bhi kisi shadi ya fir function mai jane ki taiyari kar rahe hai to diye gaye designs ki sahayata se apne haatho ko khubsoorat dikhaye.