Apanaye Kuch Natural Tips for Upper Lip Hair Removal

Unwanted hairs ki samsya kisi bhi girl ya lady ke liye bahut pareshani wali hoti hai. Kyuki bar-bar unhe Upper Lip Hair Removal ke liye beautician ke pas jana padta hai. Agar normally bhi hair remove karne me kuch dino ka gap aa jaye to ye baal aapke beautiful face ki sundarta kum kar dete hai.

Aapko chahiye kuch ese gharelu nuskhe jo aapko is samsya se bina kisi side effect ke mukti dila sake. To aaiye aaj hum jante hai inhi kuch khas aur natural nuskho ko.

Upper Lip Hair Removal ke Liye Gharelu Nuskhe

Agar aap upper lip hair removal ke liye waxing ya threading ka use karti hai, to hum aapko bata de ki ye aapki skin ki tightness dhire-dhire khatm kar dega. Isiliye apanaye ye natural remedies:

You may also like:- Best Natural Ways for Unwanted Facial Hair Removal

Muli ka Ras

Week me 3 se 4 bar muli ka ras apane upper lip pe rub kare, shuru me aapko iske istemal se irritation ho sakti hai kyuki ye skin ke pores me jakar baalo ko jad se khatm karne ki koshish karta hai. Is remedy ko aap month me 2 bar istemal me la sakti hai. Regular iska istemal aapko unwanted hair ki samsya se chutkara dilayega.

Upper Lip Hair Removal

Scrub

Ghar par hi natural ingredients ka use karke scrub banaye, ye aapki twacha ko bina rukha kiye aapke un unchahe baalo ko hatane me help karta hai. Week me ek bar homemade scrub ka use kare.

1 spoon dahi (curd) me ½ spoon Shakkar (sugar) milaye, ye mixture best aur banane me bahut hi aasan scrub hai. Is scrub ko apani fingers se circular motion me pure face pe 3-5 minutes tak gently rub kare, 4-5 istemal ke bad se hi aap results dekhenge.

Haldi

Haldi (Turmeric) kai goono ki khaan hai. Isme hair removing ka goon bhi hai. Raw haldi ko pani me 10 minute tak galaye aur fir ise apane un unwanted hair pe gently rub kare. Iska continue kuch weeks tak use karne se aap dekhenge ki aapke hair kum ho gaye hai aur naye hair ki growth bhi kum ho gayi hai.

Ye gharelu nuskhe Upper Lip Hair Removal ke sath-sath aapki skin ko fair aur glowing bhi banate he. Ye tips apply karne me bahut aasan aur kum kharch wale hai. Isiliye in natural remedies ko use karna aapke liye har tarah se faydemand hi he. To ab se parlor ki un mehangi aur in-natural tips ko kahe bye aur apanaye ye natural remedies.

Get more details about Upper Lip Hair Removal from Beauty.

Loading...

You may also like...