Urinary Tract Infection in Hindi: Iske Lakshan, Karan aur Upchar

Mutra marg mai jalan hona aam bat hai lekin jab yeh jalan hamesha hone lage aur dard mehsus hone lage to to iske piche koi gambhir karan ho sakata hai. Darahsal yeh Mutra Marg ke Sankraman ka sanket hai.

Jab bhi koi vyakti peshab ko bahut det tak rokkar rakhta hai to peshab mai upasthit bacteria aur yeast gurde aur mutravahini ki or badhte hai to yeh sankraman ko failate hai.

Mutra marg mai sankraman ke kai karan hote hai jaise logo ka office ya fir school/collages mai common toilet ka upyog karna, peshab ko bahut der tak rokkar rakhna. Yeh sabhi bate mutra marg mai sakraman ko bulava dete hai. Jiss tarah se ek jagah ekattha huye pani mai bacteria paida hone lagte hai usi tarah vyakti ke sharir mai peshab ko ek jagah bahut der tak rok liya jaye to mutrashay mai bhi bacteria ki sankhya badhne lagti hai.

Purusho ki tulna mai mahilao mai mutrashay hone ka khatra sabse adhik hota hai. Mahilao ki mutravahini, purusho ki tulna mai bahut chhoti hoti hai. Yon kriya ke doran jab bhi isme chot lagti hai tab bhi mutra marg ka sankraman hota hai. Mutra marg ke sankraman ke aur bhi karan, lakshan aur iske ilaj ke bare mai janne ke liye aaiye padhe Urinary Tract Infection.
 

Urinary Tract Infection: Bache Mutra Marg Ke Sankraman Se

 
Urinary Tract Infection in Hindi
 

Mutra Marg Mai Sankraman Ke Lakshan

Mutra marg mai sankraman ke kai lakshan hote hai, Symptoms of Urinary Tract Infection mai aaiye padhe iske mukhya lakshan

  1. Bukhar ke sath-sath thakan lagna
  2. Peshab karte samay mutra marg mai jalan aur dard hona
  3. Bar-bar peshab jane ki iksha hona
  4. Pet ki pasaliyo ya pith ke niche dard hona
  5. Pet ke nichle hisse mai davab hona
  6. Peshab se buri badbu aana
  7. Guptango mai khujali hona
  8.  Halke laal rang ya fir kale rang ki peshab aana

 

Mutra Marg Mai Sankraman Ke Karan

Gurde rakt ko saaf karke , rakt mai mojud vishele aur anupyogi tatvo ko hatakar mutra ke jariye sharir se bahar nikalne ka kam karta hai. Yeh padarth gurde se mutravahiniyo ke raste se hote huye mutrashay mai jama ho jata hai. Jab mutrashay pura bahar jata hai to urethra mai davab padta hai aur vyaktiyo ko mutra tyagne ki jarurat mehsus hoti hai. Aesi sthiti mai vyakti yadi kisi karan vash peshab ko bahar nikalne mai badha banta hai to yeh sankraman ka karan banta hai.

Mutra marg mai sankraman ka karan Escherichia Coli yaani ‘Coli E’ hota hai. Coli E ek prakar ka bacteria hai jo ki mutra marg mai sankraman ka karan banta hai. Yeh Coli E, vayktiyo ke gurde aur mutra marg mai paye jate hai aur pure sharir mai ghumte rehte hai. Yaha padhe aur bhi Causes of Urinary Tract Infection.

  1. Saaf-Safai ka na hona bhi mutra marg ke sankraman ka karan hota hai. Isliye hame apne bathroom ko swacch rakhna chahiye aur common bathroom ko share nahi karna chahiye.
  2. Sambhog ke dwara bhi mutra marg mai sankraman hota hai. Aur yeh sankraman mahilao mai adhik hota hai. Sambhog ke doran jab bhi mutra marg ke dwara mutrashay par davab padta hai to yeh coli E bacteria pet se mutrashay tak pahuch jata hai. Jisse sankraman hone ki aashanka badh jati hai. Iske alava Condom ka prayog karne se jab twacha par ragad lagti hai tab bhi mutra marg mai sankraman ho sakta hai.
  3. Madhumeh rog se pidit vyaktiyo ko bhi mutra marg ka sankraman hone ka khtra sabse adhik hota hai.

 

You May Also Like:- Low Blood Pressure Treatment in Hindi – Karan aur Nivaran

 

Mutra Marg Mai Sankraman Ke Nidan

Mutra marg mai sankraman se bachne ke kai tarike hai. To aaiye yaha padhe treatment of Urinary Tract Infection.

  1. Pani pine swasth ke liye bahut jaruri hai. Shayad aap jante honge ki pani pine se mutra marg ke sankraman se bacha ja sakta hai. Pani sharir mai mojud bacteria aur jeevanuo sharir se bahar nikalne mai madad karta hai. Isliye din mai lagbhag 8 se 10 glass pani jarur piye.
  2. Vyaktiyo ko hamesha cotton fabric se bani underwear hi pehanna chahiye. Cotton se bani underwear se twacha hamesha dry bani rehti hai.
  3. Sambhog ke bad hamesha peshab karna chahiye. Aesa karne se track ke paas yadi koi bacteria hoga to wo saaf ho jata hai.
  4. Kabhi bhi tej peshab ko nahi rokna chahiye. Jab bhi peshab lage turant jana chahiye. Isse UTIs hone ka khatra nahi rahega.
  5. Peshab karne ke bad pani se dhoye, jisse bacteria jama nahi rehte hai.

Upar aapne jana Urinary Tract Infection. Yadi aap bhi upar diye gaye mutramarg ke lakshano se pareshan hai to sahi chikitsa aur upayo ko apnaye aur iss pareshani se bache.

Loading...

You may also like...